الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ النِّيَاحَةِ عَلَى الْمَيِّتِ:
Chapter. What (sort of) wailing over a deceased is disliked.
Show diacritics
Hadith Number: Q1291
وقال عمر رضي الله عنه: دعهن يبكين على ابي سليمان ما لم يكن نقع او لقلقة والنقع التراب على الراس واللقلقة الصوت.
Aur Umar razi Allahu anhu ne farmaya ‘ auraton ko Abu Sulayman (Khalid bin Waleed) par rone de jab tak woh khaak na urayein aur chillayein nahin . «naq-a» sar par mitti daalne ko aur «qalqa» chillane ko kehte hain .


Show diacritics
Hadith Number: 1291
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سعيد بن عبيد، عن علي بن ربيعة، عن المغيرة رضي الله عنه , قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , يقول:" إن كذبا علي ليس ككذب على احد من كذب علي متعمدا، فليتبوا مقعده من النار، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم , يقول: من نيح عليه يعذب بما نيح عليه".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Saeed bin Ubayd ne ‘ un se Ali bin Rabeeah ne aur un se Mughirah bin Shubah razi Allahu anhu ne ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke mere mutaliq koi jhooti baat kehna aam logon se mutaliq jhoot bolne ki tarah nahin hai jo shakhs bhi jaan boojh kar mere oopar jhoot bole woh apna thikana Jahannam mein bana le . Aur main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh bhi suna ke kisi mayyat par agar nuha o maatam kiya jaye to is nuha ki wajah se bhi is par azab hota hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1292
حدثنا عبدان , قال: اخبرني ابي , عن شعبة، عن قتادة، عن سعيد بن المسيب، عن ابن عمر، عن ابيه رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" الميت يعذب في قبره بما نيح عليه"، تابعه عبد الاعلى، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا سعيد، حدثنا قتادة، وقال آدم عن شعبة، الميت يعذب ببكاء الحي عليه.
Hum se Abdan Abdullah bin Uthman ne byaan kiya ‘ kaha ke mujhe mere baap ne khabar di ‘ unhein Shubah ne ‘ unhein Qatadah ne ‘ unhein Saeed bin Musayyib ne ‘ unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne apne baap Umar razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mayyat ko is par nuha kiye jaane ki wajah se bhi qabr mein azab hota hai . Abdan ke saath is hadees ko Abdul Ala ne bhi Yazid bin Zuray ne riwayat kiya . Unhon ne kaha hum se Saeed bin Abi Arubah ne byaan kiya ‘ kaha hum se Qatadah ne . Aur Adam bin Abi Iyas ne Shubah se yoon riwayat kiya ke mayyat par zinda ke rone se azab hota hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain