الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجَنَائِزِ
The Book of Al-Janaiz (Funerals)
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 1293
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابن المنكدر , قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال:" جيء بابي يوم احد قد مثل به حتى وضع بين يدي رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد سجي ثوبا فذهبت اريد ان اكشف عنه فنهاني قومي، ثم ذهبت اكشف عنه فنهاني قومي، فامر رسول الله صلى الله عليه وسلم فرفع فسمع صوت صائحة , فقال: من هذه؟ , فقالوا: ابنة عمرو او اخت عمرو، قال: فلم تبكي او لا تبكي، فما زالت الملائكة تظله باجنحتها حتى رفع".
Hum se Ali bin Abdullah bin Madini ne byaan kiya ‘ un se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Muhammad bin Munkadir ne byaan kiya ‘ kaha ke main ne Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se suna ‘ unhon ne farmaya ke mere waalid ki laash Uhud ke maidan se laayi gayi . (mushrikon ne) Aap ki surat tak bigar di thi . Naash Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saamne rakkhi gayi . Oopar se ek kapra dhaka hua tha ‘ main ne chaha ke kapre ko hataoon . Lekin meri qaum ne mujhe roka . Phir dobara kapra hatane ki koshish ki . Is martaba bhi meri qaum ne mujh ko rok diya . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se janaza uthaya gaya . Is waqt kisi zor zor se rone wale ki awaaz sunayi di to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne poocha ke yeh kaun hai ? Logon ne kaha ke yeh Amr ki beti ya (yeh kaha ke) Amr ki behen hain . (naam mein Sufyan ko shak hua tha) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke roti kyon hain ? Ya yeh farmaya ke ro-o nahin ke malaika barabar apne paron ka saaya kiye rahe hain jab tak is ka janaza uthaya gaya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain