الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَوَاقِيتِ الصَّلَاةِ
The Book of The Times of As-Salat (The Prayers) and Its Superiority
بَابُ مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الْعَصْرِ قَبْلَ الْغُرُوبِ:
Chapter. Whoever got (or was able to offer) only one Raka of the Asr prayer before sunset.
Hadith Number: 556
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا ادرك احدكم سجدة من صلاة العصر قبل ان تغرب الشمس فليتم صلاته، وإذا ادرك سجدة من صلاة الصبح قبل ان تطلع الشمس فليتم صلاته".
Hum se Abu Naeem ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shaiban ne Yahya bin Abi Kathir se , unhon ne Abu Salama se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke agar asr ki namaz ki ek rakat bhi koi shakhs sooraj ghuroob hone se pehle pa saka to poori namaz parhe is ki namaz ada hui na qaza isi tarah agar sooraj tulu hone se pehle fajr ki namaz ki ek rakat bhi pa sake to poori namaz parhe .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 557
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، انه اخبره، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إنما بقاؤكم فيما سلف قبلكم من الامم كما بين صلاة العصر إلى غروب الشمس، اوتي اهل التوراة التوراة فعملوا حتى إذا انتصف النهار عجزوا فاعطوا قيراطا قيراطا، ثم اوتي اهل الإنجيل الإنجيل فعملوا إلى صلاة العصر ثم عجزوا فاعطوا قيراطا قيراطا، ثم اوتينا القرآن فعملنا إلى غروب الشمس فاعطينا قيراطين قيراطين، فقال اهل الكتابين: اي ربنا اعطيت هؤلاء قيراطين قيراطين واعطيتنا قيراطا قيراطا ونحن كنا اكثر عملا؟ قال: قال الله عز وجل: هل ظلمتكم من اجركم من شيء؟ قالوا: لا، قال: فهو فضلي اوتيه من اشاء".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya , kaha mujh se Ibrahim bin Saad ne Ibn Shihab se , unhon ne Salim bin Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se , unhon ne apne walid Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se suna aap salla Allahu alaihi wa sallam farma rahe thay ke tum se pehle ki ummaton ke muqable mein tumhari zindagi sirf itni hai jitna asr se sooraj doobne tak ka waqt hota hai . Torah walon ko Torah di gayi . To unhon ne is par subah se amal kiya . Aadhe din tak phir woh aajiz aa gaye , kaam poora na kar sake , un logon ko un ke amal ka badla ek ek qeerat diya gaya . Phir Injeel walon ko Injeel di gayi , unhon ne aadhe din se asr tak is par amal kiya , aur woh bhi aajiz aa gaye . Un ko bhi ek ek qeerat un ke amal ka badla diya gaya . Phir asr ke waqt hum ko Quran mila . Hum ne is par sooraj ke ghuroob hone tak amal kiya aur kaam poora kar diya humein do do qeerat sawab mila . Is par un dono kitab walon ne kaha . Aye hamare Parwardigar! inhein to aap ne do do qeerat diye aur humein sirf ek ek qeerat . Halanke amal hum ne in se zyada kiya . Allah azzawajal ne farmaya , to kya mein ne ajr dene mein tum par kuch zulm kiya . Unhon ne arz ki ke nahi . Allah Taala ne farmaya ke phir yeh zyada ajr dena mera fazl hai jisay mein chahun de sakta hun .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 558
حدثنا ابو كريب، قال: حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم" مثل المسلمين، واليهود، والنصارى كمثل رجل استاجر قوما يعملون له عملا إلى الليل فعملوا إلى نصف النهار، فقالوا: لا حاجة لنا إلى اجرك فاستاجر آخرين، فقال: اكملوا بقية يومكم ولكم الذي شرطت فعملوا حتى إذا كان حين صلاة العصر، قالوا: لك ما عملنا، فاستاجر قوما فعملوا بقية يومهم حتى غابت الشمس واستكملوا اجر الفريقين".
Hum se Abu Kuraib Muhammad bin Alaa ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usama ne Buraid bin Abdullah ke wastay se bayan kiya , unhon ne Abu Burda Aamir bin Abdullah se , unhon ne apne walid Abu Moosa Ashari Abdullah bin Qais raziyallahu anhu se . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke musalmanon aur yahood wa nasara ki misal ek aise shakhs ki si hai ke jis ne kuch logon se mazdoori par raat tak kaam karne ke liye kaha . Unhon ne aadhe din kaam kiya . Phir jawab de diya ke humein tumhari ujrat ki zaroorat nahi , yeh yahood thay phir is shakhs ne doosre mazdoor bulaye aur un se kaha ke din ka jo hissa baqi bach gaya hai yani aadha din isi ko poora kar do . Shart ke mutabiq mazdoori tumhein mile gi . Unhon ne bhi kaam shuru kiya lekin asr tak woh bhi jawab de baithe . Yeh nasara thay pas is teesre giroh ne jo ahl e Islam hain pehle do girohon ke kaam ki poori mazdoori le li .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة