الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الْأَيْمَانِ وَالنُّذُورِ
The Book of Oaths and Vows
بَابُ إِذَا حَنِثَ نَاسِيًا فِي الأَيْمَانِ:
Chapter. If someone does something against his oath due to forgetfulness.
Hadith Number: Q6664
وقول الله تعالى: وليس عليكم جناح فيما اخطاتم به سورة الاحزاب آية 5، وقال: لا تؤاخذني بما نسيت.
Aur Allah Az-za wa Jal ne farmaya «wa laisa alaikum junaahun feemaa akhta'tum bi-hee» ke ”tum par is qasam ke baare mein koi gunah nahi jo ghalati se tum kha baitho .“ Aur farmaya «laa tu'aakhizhneee bimaa naseetu» ke ”bhool chook mein mujh par muakhizha na karo .“
Hadith Number: 6664
حدثنا خلاد بن يحيى، حدثنا مسعر، حدثنا قتادة، حدثنا زرارة بن اوفى، عن ابي هريرة يرفعه قال:" إن الله تجاوز لامتي عما وسوست، او حدثت به انفسها، ما لم تعمل به، او تكلم".
Hum se Khallad bin Yahya ne bayan kiya , kaha hum se Mis-ar bin Kidam ne bayan kiya , kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , kaha hum se Zhuraara bin Aufa ne bayan kiya , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Allah Ta'ala ne meri ummat ki in ghalatiyon ko maaf kiya hai jin ka sirf دل mein waswasa guzre ya دل mein is ke karne ki khwahish paida ho , magar is ke mutabiq amal na ho aur na baat ki ho .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6665
حدثنا عثمان بن الهيثم او محمد، عن ابن جريج، قال: سمعت ابن شهاب، يقول: حدثني عيسى بن طلحة، ان عبد الله بن عمرو بن العاص، حدثه: ان النبي صلى الله عليه وسلم بينما هو يخطب يوم النحر، إذ قام إليه رجل، فقال: كنت احسب يا رسول الله، كذا وكذا، قبل كذا وكذا، ثم قام آخر، فقال: يا رسول الله، كنت احسب كذا وكذا لهؤلاء الثلاث، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" افعل ولا حرج لهن كلهن يومئذ، فما سئل يومئذ عن شيء، إلا قال: افعل ولا حرج".
Hum se Usman bin al-Haysam ne bayan kiya ya hamase Muhammad bin Yahya Zhuhli ne Usman bin al-Haysam se bayan kiya , in se Ibn Jurayj ne kaha ke main ne Ibn Shihab se suna , kaha ke mujh se Esa bin Talha ne bayan kiya , in se Abdullah bin Amr bin al-Aas ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Hajjat-ul-Wada mein) qurbani ke din khutba de rahe thay ke ek sahabi khare huay aur arz kiya , ya Rasool Allah! Main falan falan arkan ko falan falan arkan se pehle khayal karta thu (is ghalati se un ko aage peeche ada kiya) is ke baad doosre sahab khare huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main falan falan arkan e Hajj ke mutalliq yunhi khayal karta tha in ka isharah (halq , rami aur nahr) ki taraf thu . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yunhi kar lo (taqdeem wa takheer karne mein) aaj in mein se kisi kaam mein koi haraj nahi hai . Chunanche is din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se jis masla mein bhi poochha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yahi farmaya ke kar lo koi haraj nahi .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6666
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابو بكر بن عياش، عن عبد العزيز بن رفيع، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال رجل للنبي صلى الله عليه وسلم: زرت قبل ان ارمي، قال:" لا حرج"، قال آخر: حلقت قبل ان اذبح، قال:" لا حرج"، قال آخر: ذبحت قبل ان ارمي، قال:" لا حرج".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Bakr bin Ay-yash ne bayan kiya , in se Abd-ul-Aziz bin Rafee ne bayan kiya , in se Ata bin Abi Rabah ne bayan kiya aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke ek sahabi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha , main ne rami karne se pehle tawaf e zhiyarat kar liya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi haraj nahi . Teesre ne kaha ke main ne rami karne se pehle hi zibah kar liya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya koi haraj nahi .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6667
حدثني إسحاق بن منصور، حدثنا ابو اسامة، حدثنا عبيد الله بن عمر، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة، ان رجلا دخل المسجد فصلى، ورسول الله صلى الله عليه وسلم في ناحية المسجد، فجاء فسلم عليه، فقال له:" ارجع فصل، فإنك لم تصل"، فرجع فصلى ثم سلم، فقال:" وعليك، ارجع فصل فإنك لم تصل"، قال في الثالثة: فاعلمني، قال:" إذا قمت إلى الصلاة، فاسبغ الوضوء، ثم استقبل القبلة، فكبر واقرا بما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع راسك حتى تعتدل قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تستوي وتطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تستوي قائما، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , kaha hum se Ubaidullah bin Umar ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Saeed ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke ek sahabi Masjid e Nabwi mein namaz parhne ke liye aaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam masjid ke ek kinare tashreef rakhte thay . Phir woh sahabi aaye aur salam kiya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ja phir namaz parh , is liye ke tu ne namaz nahi parhi . Woh wapas gaye aur phir namaz parh kar aaye aur salam kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi in se yahi farmaya ke wapas ja aur namaz parh kyunke tu ne namaz nahi parhi . Aakhir teesri martaba mein woh sahabi bole ke phir mujhe namaz ka tariqa sikha dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum namaz ke liye khade hua karo to pehle poori tarah wuzu kar liya karo , phir qibla-ru ho kar takbeer kaho aur jo kuch Quran Majeed mein tumhein yaad hai aur tum aasani ke saath parh sakte ho usay parha karo , phir rukoo karo aur sukoon ke saath rukoo kar chuko to apna sar uthao aur jab seedhe khare ho jao to sajda karo , jab sajde ki halat mein achhi tarah ho jao to sajda se sar uthao , yahan tak ke seedhe ho jao aur itminan se baith jao , phir sajda karo aur jab itminan se sajda kar lo to sar uthao yahan tak ke seedhe khare ho jao , yeh amal tum apni poori namaz mein karo .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6668
حدثنا فروة بن ابي المغراء، حدثنا علي بن مسهر، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" هزم المشركون يوم احد هزيمة تعرف فيهم، فصرخ إبليس: اي عباد الله اخراكم فرجعت اولاهم فاجتلدت هي واخراهم"، فنظر حذيفة بن اليمان، فإذا هو بابيه، فقال: ابي ابي، قالت:" فوالله ما انحجزوا حتى قتلوه"، فقال حذيفة: غفر الله لكم، قال عروة: فوالله ما زالت في حذيفة منها بقية خير حتى لقي الله.
Hum se Farwah bin Abi al-Maghraa ne bayan kiya , kaha hum se Ali bin Mushir ne , in se Hisham bin Urwah ne , in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jab Uhud ki larayi mein mushrik shikast kha gaye aur apni shikast in mein mashhoor ho gayi to Iblees ne cheekh kar kaha (Musalmanon se) ke Ae Allah ke bando! Peeche dushman hai chunanche aage ke log peeche ki taraf pal pare aur peeche wale (Musalmanon hi se) lar pare . Is halat mein Huzayfah bin al-Yaman razi Allahu anhu ne dekha ke log in ke Musalman walid ko be-khabri mein maar rahe hain to unhon ne Musalmanon se kaha ke yeh to mere walid hain jo Musalman hain , mere walid! Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Allah ki qasam log phir bhi baaz nahi aaye aur aakhir unhein qatl kar hi dala . Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha , Allah tumhari maghfirat kare . Urwah ne bayan kiya ke Huzayfah razi Allahu anhu ko apne walid ki is tarah shahadat ka aakhri waqt tak ranj aur afsos hi raha yahan tak ke woh Allah se ja mile .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6669
حدثني يوسف بن موسى، حدثنا ابو اسامة، قال: حدثني عوف، عن خلاس، ومحمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من اكل ناسيا وهو صائم، فليتم صومه، فإنما اطعمه الله وسقاه".
Mujh se Yusuf bin Musa ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Auf Aarabi ne bayan kiya , in se Khalaas bin Amr aur Muhammad bin Sireen ne kaha ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne roza rakkha ho aur bhool kar kha liya ho to usay اپنا roza poora kar lena chahiye kyunke usay Allah ne khilaya pilaya hai .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6670
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن الاعرج، عن عبد الله ابن بحينة، قال:" صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم، فقام في الركعتين الاوليين قبل ان يجلس، فمضى في صلاته، فلما قضى صلاته، انتظر الناس تسليمه، فكبر وسجد قبل ان يسلم، ثم رفع راسه، ثم كبر وسجد، ثم رفع راسه وسلم".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Abd-ur-Rahman bin Abi Zhayb ne bayan kiya , in se Zuhri ne bayan kiya , in se Aaraj ne aur in se Abdullah bin Buhaina razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain namaz parhayi aur pehli do rakaat ke baad baithne se pehle hi uth gaye aur namaz poori kar li . Jab namaz parh chuke to logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke salam ka intizar kiya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne takbeer kahi aur salam pherne se pehle sajda kiya , phir sajda se sar uthaya aur dobara takbeer keh kar sajda kiya . Phir sajda se sar uthaya aur salam phera .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6671
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، سمع عبد العزيز بن عبد الصمد، حدثنا منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن ابن مسعود رضي الله عنه: ان نبي الله صلى الله عليه وسلم، صلى بهم صلاة الظهر، فزاد او نقص منها، قال منصور: لا ادري إبراهيم، وهم ام، علقمة، قال: قيل يا رسول الله: اقصرت الصلاة ام نسيت؟ قال:" وما ذاك"، قالوا: صليت كذا وكذا، قال:" فسجد بهم سجدتين، ثم قال:" هاتان السجدتان لمن لا يدري زاد في صلاته ام نقص، فيتحرى الصواب: فيتم ما بقي، ثم يسجد سجدتين".
Mujh se Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya , unhon ne Abd-ul-Aziz bin Abd-ul-Samad se suna , kaha hum se Mansoor bin Mutamir ne bayan kiya , in se Ibrahim Nakhai ne , in se Alqama ne aur in se Ibn Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein Zhohar ki namaz parhayi aur namaz mein koi cheez zyada ya kam kar di . Mansoor ne bayan kiya ke mujhe maloom nahi Ibrahim ko shubha hua thu ya Alqama ko . Bayan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya ke ya Rasool Allah! Namaz mein kuch kami kar di gayi hai ya Aap bhool gaye hain ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya , kiya baat hai ? Logon ne kaha ke Aap ne is is tarah namaz parhayi hai . Bayan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke saath do sajde (sahw ke) kiye aur farmaya yeh do sajde is shakhs ke liye hain jise yaqeen na ho ke us ne apni namaz mein kami ya zyada kar di hai usay chahiye ke sahih baat tak pahunchne ke liye zaihan par zor daale aur jo baqi reh gaya ho usay poora kare phir do sajde (sahw ke) kar le .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6672
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار، اخبرني سعيد بن جبير، قال: قلت: لابن عباس، فقال حدثنا ابي بن كعب، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تؤاخذني بما نسيت ولا ترهقني من امري عسرا سورة الكهف آية 73، قال: كانت الاولى من موسى نسيانا".
Hum se Imam Humaydi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha hum se Amr bin Dinar ne bayan kiya , kaha mujhko Saeed bin Jubayr ne khabar di , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poochha to unhon ne bayan kiya ke hamase Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne bayan kiya , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , aayat «laa tu'aakhizhneee bimaa naseetu wa laa tur-hiqneee min amree usran» ke mutalliq ke pehli martaba aitraz Musa alaihissalam se bhool kar hua thu .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة