الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ سَبْعُونَ أَلْفًا بِغَيْرِ حِسَابٍ:
Chapter. Seventy thousand (persons) will enter Paradise without accounts.
Show diacritics
Hadith Number: 6541
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا ابن فضيل، حدثنا حصين. ح قال ابو عبد الله، حدثني اسيد بن زيد، حدثنا هشيم، عن حصين، قال: كنت عند سعيد بن جبير، فقال حدثني ابن عباس، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" عرضت علي الامم فاخذ النبي يمر معه الامة، والنبي يمر معه النفر، والنبي يمر معه العشرة، والنبي يمر معه الخمسة، والنبي يمر وحده، فنظرت فإذا سواد كثير قلت: يا جبريل: هؤلاء امتي، قال: لا، ولكن انظر إلى الافق، فنظرت: فإذا سواد كثير، قال: هؤلاء امتك، وهؤلاء سبعون الفا قدامهم لا حساب عليهم ولا عذاب، قلت: ولم، قال: كانوا لا يكتوون ولا يسترقون، ولا يتطيرون، وعلى ربهم يتوكلون"، فقام إليه عكاشة بن محصن، فقال: ادع الله ان يجعلني منهم، قال: اللهم اجعله منهم، ثم قام إليه رجل آخر، قال: ادع الله ان يجعلني منهم، قال: سبقك بها عكاشة".
Hum se Imran bin Maysarah ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Fuzhail ne , kaha hamase Haseen bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya (doosri sanad) aur mujh se Usayd bin Zaid ne bayan kiya , kaha hum se Hushaim ne bayan kiya ke main Saeed bin Jubayr ki khidmat mein maujood tha is waqt unhon ne bayan kiya ke mujh se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”mere samne ummatein pesh ki gayiein kisi Nabi ke saath poori ummat guzri , kisi Nabi ke saath chand aadmi guzre , kisi Nabi ke saath das aadmi guzre , kisi Nabi ke saath paanch aadmi guzre aur koi Nabi tanha guzra . Phir main ne dekha to insaanon ki ek bahut bari jama'at door se nazar aayi . Main ne Jibrail se poochha kiya yeh meri ummat hai ? Unhon ne kaha nahi balkay ufuq ki taraf dekho . Main ne dekha to ek bahut zabardast jama'at dikhayi di . Farmaya ke yeh hai Aap ki ummat aur yeh jo aage aage sattar hazar ki tadaad hai in logon se hisab na liya jaye ga aur na in par azab ho ga . Main ne poochha: aisa kyun ho ga ? Unhon ne kaha ke is ki wajah yeh hai ke yeh log daagh nahi lagwaate thay . Dam jhaarh nahi karwaate thay , shugoon nahi laite thay , apne Rabb par bharosa karte thay . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf Ukkashah bin Mihsan razi Allahu anhu uth kar badhe aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Dua farmayein ke Allah Ta'ala mujhe bhi in logon mein kar de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi ke Ae Allah! Unhein bhi in mein se kar de . Is ke baad ek aur sahabi khare huay aur arz kiya ke mere liye bhi dua farmayein ke Allah Ta'ala mujhe bhi in mein se kar de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ukkashah is mein tum se aage barh gaye .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6542
حدثنا معاذ بن اسد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: حدثني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، حدثه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" يدخل الجنة من امتي زمرة هم سبعون الفا تضيء وجوههم إضاءة القمر ليلة البدر"، وقال ابو هريرة: فقام عكاشة بن محصن الاسدي، يرفع نمرة عليه، فقال: يا رسول الله، ادع الله ان يجعلني منهم، قال:" اللهم اجعله منهم"، ثم قام رجل من الانصار، فقال: يا رسول الله، ادع الله ان يجعلني منهم، فقال:" سبقك بها عكاشة".
Hum se Maaz bin Asad Marwazi ne bayan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha hum ko Yunus bin Yazid ne khabar di , in se Zuhri ne bayan kiya , kaha ke mujh se Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri ummat ki ek jama'at jannat mein dakhil ho gi jis ki tadaad sattar hazar ho gi . In ke chehre is tarah roshan hon ge jaise choudhvein raat ka chaand roshan hota hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke is par Ukkashah bin Mihsan Asadi razi Allahu anhu khare huay , apni dhaari-daar kamli jo in ke jism par ku , uthate huay arz kiya: ya Rasool Allah! Allah Ta'ala se dua kijiye ke mujhe bhi in mein se kar de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dua ki ke Ae Allah! Unhein bhi in mein se kar de . Is ke baad ek aur sahabi khare huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Dua kijiye ke Allah mujhe bhi in mein se kar de . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ukkashah tum par sabqat le gaye .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6543
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليدخلن الجنة من امتي سبعون الفا او سبع مائة الف شك في احدهما متماسكين آخذ بعضهم ببعض، حتى يدخل اولهم وآخرهم الجنة، ووجوههم على ضوء القمر ليلة البدر".
Hum se Saeed bin Abu Maryam ne bayan kiya , kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne bayan kiya , in se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jannat mein meri ummat ke sattar hazar ya saat laakh (rawi ko in mein se kisi ek tadaad mein shak tha) aadmi is tarah dakhil hon ge ke baaz baaz ko pakre huay hon ge aur is tarah in mein ke agle pichhle sab jannat mein dakhil ho jayein ge aur in ke chehre choudhvein raat ke chaand ki tarah roshan hon ge .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6544
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، حدثنا نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يدخل اهل الجنة الجنة، واهل النار النار، ثم يقوم مؤذن بينهم: يا اهل النار، لا موت، ويا اهل الجنة، لا موت، خلود".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hamase hamare walid ne bayan kiya , in se Salih ne , kaha hamase Nafi ne bayan kiya aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab ahal e jannat jannat mein aur ahal e jahannum jahannum mein dakhil ho jayein ge to ek aawaz dene wala in ke darmiyan khara ho kar pukare ga ke Ae jahannum walo! Ab tumhein maut nahi aaye gi aur Ae jannat walo! Tumhein bhi maut nahi aaye gi balkay hamesha yahien rehna ho ga .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6545
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يقال لاهل الجنة: يا اهل الجنة، خلود لا موت، ولاهل النار: يا اهل النار، خلود لا موت".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Aaraj ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”ahal e jannat se kaha jaye ga ke Ae ahal e jannat! Hamesha (tumhein yahien) rehna hai , tumhein maut nahi aaye gi aur ahal e dozakh se kaha jaye ga ke Ae dozakh walo! Hamesha (tum ko yahien) rehna hai , tum ko maut nahi aaye gi .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain