الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابُ: «مَنْ أَحَبَّ لِقَاءَ اللَّهِ أَحَبَّ اللَّهُ لِقَاءَهُ» :
Chapter. Whoever loves to meet Allah, Allah (too) loves to meet him.
Hadith Number: 6507
حدثنا حجاج، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس، عن عبادة بن الصامت، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من احب لقاء الله، احب الله لقاءه، ومن كره لقاء الله، كره الله لقاءه"، قالت عائشة: او بعض ازواجه إنا لنكره الموت، قال:" ليس ذاك ولكن المؤمن إذا حضره الموت بشر برضوان الله وكرامته، فليس شيء احب إليه مما امامه فاحب لقاء الله واحب الله لقاءه، وإن الكافر إذا حضر بشر بعذاب الله وعقوبته، فليس شيء اكره إليه مما امامه كره لقاء الله وكره الله لقاءه"، اختصره ابو داود، وعمرو، عن شعبة، وقال سعيد، عن قتادة، عن زرارة، عن سعد، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hajjaj ne bayan kiya , kaha hum se Humam ne , kaha hum se Qatadah ne in se Anas razi Allahu anhu ne aur in se Ubadah bin Samit razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs Allah se milne ko mahboob rakkhta hai , Allah bhi is se milne ko mahboob rakkhta hai aur jo Allah se milne ko pasand nahi karta hai Allah bhi is se milne ko pasand nahi karta .“ Aur Aisha razi Allahu anha ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baaz azwaj ne arz kiya ke marna to hum bhi nahi pasand karte ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke milne se maut murad nahi hai balkay baat yeh hai ke imandar aadmi ko jab maut aati hai to usay Allah ki khushnoodi aur is ke yahan is ki izzat ki khush-khabri di jaati hai . Is waqt momin ko koi cheez is se zyada azeez nahi hoti jo is ke aage (Allah se mulaqat aur is ki raza aur jannat ke husool ke liye) hoti hai , is liye woh Allah se mulaqat ka khwahish-mand ho jata hai aur Allah bhi is ki mulaqat ko pasand karta hai aur jab kafir ki maut ka waqt qareeb aata hai to usay Allah ke azab aur is ki saza ki bisharat di jaati hai , is waqt koi cheez is ke dil mein is se zyada nagowar nahi hoti jo is ke aage hoti hai . Woh Allah se ja milne ko napasand karne lagta hai , pas Allah bhi is se milne ko napasand karta hai . Abu Dawood Tayalisi aur Amr bin Marzooq ne is hadees ko Shubah se mukhtasaran riwayat kiya hai aur Saeed bin Abi Aroobah ne bayan kiya , in se Qatadah ne , in se Zhuraara bin Abi Aufa ne , in se Saad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6508
حدثني محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من احب لقاء الله، احب الله لقاءه، ومن كره لقاء الله، كره الله لقاءه".
Mujh se Muhammad bin Alaa ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne , in se Yazid bin Abdullah ne , in se Abu Burdah ne , in se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai Allah bhi is se milne ko pasand karta hai aur jo shakhs Allah se milne ko napasand karta hai Allah bhi is se milne ko napasand karta hai .“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6509
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني سعيد بن المسيب، وعروة بن الزبير في رجال من اهل العلم، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول وهو صحيح:" إنه لم يقبض نبي قط حتى يرى مقعده من الجنة، ثم يخير"، فلما نزل به وراسه على فخذي غشي عليه ساعة، ثم افاق فاشخص بصره إلى السقف، ثم قال:" اللهم الرفيق الاعلى"، قلت: إذا لا يختارنا، وعرفت انه الحديث الذي كان يحدثنا به، قالت: فكانت تلك آخر كلمة تكلم بها النبي صلى الله عليه وسلم قوله:" اللهم الرفيق الاعلى".
Mujh se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya , in se Aqeel bin Khalid ne , in se Ibn Shihab ne , kaha mujhko Saeed bin al-Musayyab aur Urwah bin Zubayr ne chand ilm walon ke samne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne jab Aap khase tandurust thay farmaya tha kisi Nabi ki is waqt tak rooh qabz nahi ki jaati jab tak jannat mein is ke rehne ki jagah usay dikha na di jaati ho aur phir usay (duniya ya aakhirat ke liye) ikhtiyar diya jata hai . Phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam beemar huay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka sar mubarak meri raan par tha to Aap par thori der ke liye ghashi chha gayi , phir jab Aap ko hosh aaya to Aap chhat ki taraf tuk-tuki laga kar dekhne lage . Phir farmaya «allaahummar-rafeeqal-a'laa» main ne kaha ke ab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamain tarjeeh nahi de sakte aur main samajh gayi ke yeh wahi hadees hai jo Aap ne ek martaba irshad farmayi thi . Rawi ne bayan kiya ke yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka aakhri kalma tha jo Aap ne apni zaban mubarak se ada farmaya yani yeh irshad ke «allaahummar-rafeeqal-a'laa» yani ya Allah! Mujhko buland rafeeqon ka saath pasand hai .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة