الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الرِّقَاقِ
The Book of Ar-Riqaq (Softening of The Hearts)
بَابٌ:
Chapter. The rising of the sun from the west.
Show diacritics
Hadith Number: 6506
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوم الساعة حتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت فرآها الناس، آمنوا اجمعون فذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها لم تكن آمنت من قبل او كسبت في إيمانها خيرا، ولتقومن الساعة وقد نشر الرجلان ثوبهما بينهما، فلا يتبايعانه ولا يطويانه، ولتقومن الساعة وقد انصرف الرجل بلبن لقحته فلا يطعمه، ولتقومن الساعة وهو يليط حوضه فلا يسقي فيه، ولتقومن الساعة وقد رفع احدكم اكلته إلى فيه فلا يطعمها".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hamase Abu al-Zinad ne bayan kiya , in se Abd-ul-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak sooraj maghrib se na nikle ga . Jab sooraj maghrib se nikle ga aur log dekh lein ge to sab iman le aayein ge , yahi woh waqt ho ga jab kisi ko is ka iman nafa nahi de ga jo is se pehle iman na laya ho ga ya jis ne iman ke baad amal e khair na kiya ho . Pas Qayamat aa jaye gi aur do aadmi kapra darmiyan mein (khareed o farokht ke liye) phailaye huay hon ge . Abhi khareed o farokht bhi nahi hui ho gi aur na unhon ne usay lapeita hi ho ga (ke Qayamat qaim ho jaye gi) aur Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apni oontni ka doodh le kar aa raha ho ga aur usay pee bhi nahi sake ga aur Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apna hauz tayyar kara raha ho ga aur is ka pani bhi na pee paye ga . Qayamat is haal mein qaim ho jaye gi ke ek shakhs apna luqma apne munh ki taraf uthaye ga aur usay khane bhi na paye ga .“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain