الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاسْتِئْذَانِ
The Book of Asking Permission
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لاَ تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ بُيُوتِكُمْ حَتَّى تَسْتَأْنِسُوا وَتُسَلِّمُوا عَلَى أَهْلِهَا ذَلِكُمْ خَيْرٌ لَكُمْ لَعَلَّكُمْ تَذَّكَّرُونَ فَإِنْ لَمْ تَجِدُوا فِيهَا أَحَدًا فَلاَ تَدْخُلُوهَا حَتَّى يُؤْذَنَ لَكُمْ وَإِنْ قِيلَ لَكُمُ ارْجِعُوا فَارْجِعُوا هُوَ أَزْكَى لَكُمْ وَاللَّهُ بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَدْخُلُوا بُيُوتًا غَيْرَ مَسْكُونَةٍ فِيهَا مَتَاعٌ لَكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا تَكْتُمُونَ}:
Chapter. The Statement of Allah:“O you who believe! Enter not houses other than your own... up to... (And Allah has knowledge of what you reveal) and what you conceal.”(V.24:27-29)
Show diacritics
Hadith Number: Q6228
وقال سعيد بن ابي الحسن، للحسن: إن نساء العجم يكشفن صدورهن ورءوسهن، قال: اصرف بصرك عنهن، يقول الله عز وجل: قل للمؤمنين يغضوا من ابصارهم ويحفظوا فروجهم سورة النور آية 30، وقال قتادة عما لا يحل لهم: وقل للمؤمنات يغضضن من ابصارهن ويحفظن فروجهن سورة النور آية 31، خائنة الاعين من النظر إلى ما نهي عنه، وقال الزهري في النظر إلى التي لم تحض من النساء: لا يصلح النظر إلى شيء منهن ممن يشتهى النظر إليه وإن كانت صغيرة، وكره عطاء النظر إلى الجواري التي يبعن بمكة إلا ان يريد ان يشتري.
Aur Saeed bin Abi al-Hasan ne (apne bhai) Hasan Basri se kaha ke Ajmi auratein seena aur sar khole rehti hain. To Hasan Basri rahmahullah ne kaha ke in se apni nigah pher lo. Allah Ta-ala farmata hai ”momino se keh dijiye ke apni nazrein neechi rakhein aur apni sharmgahon ki hifazat karein.“ Qatadah ne kaha ke is se murad yeh hai ke jo in ke liye jaiz nahi hai (is se hifazat karein) aur Aap keh dijiye iman waliyon se ke apni nazrein neechi rakhein aur apni sharmgahon ki hifazat karein aur apne singaar zhahir na hone dein. «khaa-inat-ul-ayuni» se murad is cheez ki taraf dekhna hai, jis se mana kiya gaya hai. Zuhri ne na-baligh larkiyon ko dekhne ke silsila mein kaha ke in ki bhi kisi aaisi cheez ki taraf nazar na karni chahiye jise dekhne se shahwat e nafsani paida ho sakti ho. Khwah woh larki chhoti hi kyun na ho. Ata ne in londiyon ki taraf nazar karne ko makrooh kaha hai, jo Makkah mein bechi jaati hain. Haan agar unhein khareedne ka irada ho to jaiz hai. (Al-hamdu lillah ab Makkah mein aise bazar khatam ho chuke hain).


Show diacritics
Hadith Number: 6228
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سليمان بن يسار، اخبرني عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، قال: اردف رسول الله صلى الله عليه وسلم الفضل بن عباس يوم النحر خلفه على عجز راحلته، وكان الفضل رجلا وضيئا، فوقف النبي صلى الله عليه وسلم للناس يفتيهم، واقبلت امراة من خثعم وضيئة تستفتي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فطفق الفضل ينظر إليها واعجبه حسنها، فالتفت النبي صلى الله عليه وسلم والفضل ينظر إليها، فاخلف بيده، فاخذ بذقن الفضل، فعدل وجهه عن النظر إليها، فقالت: يا رسول الله، إن فريضة الله في الحج على عباده ادركت ابي شيخا كبيرا لا يستطيع ان يستوي على الراحلة، فهل يقضي عنه ان احج عنه؟ قال:" نعم".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di, in se Zuhri ne bayan kiya, unhein Sulayman bin Yasar ne khabar di aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne Fazl bin Abbas razi Allahu anhuma ko qurbani ke din apni sawari par apne peeche bithaya. Woh khoobsurat goray mard thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam logon ko masail batane ke liye khare ho gaye. Isi dauran mein qabila Khusam ki ek khoobsurat aurat bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se masla poochne aayi. Fazl bhi is aurat ko dekhne lage. Is ka husn o jamal un ko bhala maloom hua. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne murr kar dekha to Fazl usay dekh rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna hath peeche le ja kar Fazl ki thorhi pakri aur in ka chehra doosri taraf kar diya. Phir is aurat ne kaha: ya Rasool اللہ! Hajj ke baare mein Allah ka jo apne bandon par fareeza hai woh mere walid par lagu hota hai, jo bahut burhe ho chuke hain aur sawari par seedhe nahi baith sakte. kiya agar main in ki taraf se Hajj kar loon to in ka Hajj ada ho jaye ga? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan ho jaye ga.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6229
حدثنا عبد الله بن محمد، اخبرنا ابو عامر، حدثنا زهير، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إياكم والجلوس بالطرقات"، فقالوا: يا رسول الله، ما لنا من مجالسنا بد نتحدث فيها، فقال:" إذ ابيتم إلا المجلس، فاعطوا الطريق حقه"، قالوا: وما حق الطريق يا رسول الله، قال:" غض البصر، وكف الاذى، ورد السلام، والامر بالمعروف، والنهي عن المنكر".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abu Aamir ne khabar di, unhon ne kaha hum se Zuhayr ne bayan kiya, in se Zayd bin Aslam ne bayan kiya, in se Ata bin Yasar ne bayan kiya aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”raston par baithne se bacho! Sahabah ne arz kiya: ya Rasool اللہ! Hamari yeh majalis to bahut zaroori hain, hum wahien roz-marra guftagu kiya karte hain. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha jab tum in majlison mein baithna hi chahte ho to raste ka haq ada kiya karo yani raste ko is ka haq do. Sahabah ne arz kiya: raste ka haq kiya hai ya Rasool اللہ! Farmaya (ghair muhram auraton ko dekhne se) nazar neechi rakhna, rah-geeron ko na satana, salam ka jawab dena, bhalayi ka hukm dena aur burayi se rokna.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain