الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاسْتِئْذَانِ
The Book of Asking Permission
بَابُ بَدْءِ السَّلاَمِ:
Chapter. How the Salam began (greeting) began.
Hadith Number: 6227
حدثنا يحيى بن جعفر حدثنا عبد الرزاق عن معمر عن همام عن ابي هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: «خلق الله آدم على صورته، طوله ستون ذراعا، فلما خلقه قال اذهب فسلم على اولئك النفر من الملائكة جلوس، فاستمع ما يحيونك، فإنها تحيتك وتحية ذريتك. فقال السلام عليكم. فقالوا السلام عليك ورحمة الله. فزادوه ورحمة الله، فكل من يدخل الجنة على صورة آدم، فلم يزل الخلق ينقص بعد حتى الآن» .
Hum se Yahya bin Jafar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Razzaq ne bayan kiya, in se Mamar ne, in se Humam ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Ta-ala ne Adam ko apni surat par banaya, in ki lambayi saath hath ku. Jab unhein paida kar chuka to farmaya ke jao aur in farishton ko jo baithe huay hain, salam karo aur suno ke tumhare salam ka kiya jawab dete hain, kyunke yahi tumhara aur tumhari aulad ka salam ho ga. Adam alaihissalam ne kaha: as-salaamu alaykum! Farishton ne jawab diya, as-salaamu alayka wa rahmatullah, unhon ne Adam ke salam par ”wa rahmatullah“ barha diya. Pas jo shakhs bhi jannat mein jaye ga Adam alaihissalam ki surat ke mutabiq ho kar jaye ga.“ Is ke baad se phir khalqat ka qad o qamat kam hota gaya, ab tak aisa hi hota raha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة