الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب النِّكَاحِ
The Book of (The Wedlock)
بَابُ النَّظَرِ إِلَى الْمَرْأَةِ قَبْلَ التَّزْوِيجِ:
Chapter. (It is permissible) to look at a woman before marrying her.
Show diacritics
Hadith Number: 5125
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" رايتك في المنام يجيء بك الملك في سرقة من حرير، فقال لي: هذه امراتك، فكشفت عن وجهك الثوب، فإذا انت هي، فقلت: إن يك هذا من عند الله يمضه".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke mujh se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (nikah se pehle) main ne tumhein khwab mein dekha ke ek farishta (Jibraeel alaihissalam) resham ke ek tukre mein tumhein lapait kar le aaya hai aur mujh se keh raha hai ke yeh tumhari biwi hai . Main ne is ke chehre se kapra hataya to woh tum thien . Main ne kaha ke agar yeh khwab Allah ki taraf se hai to woh usay khud hi poora kar de ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5126
حدثنا قتيبة، حدثنا يعقوب، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد،" ان امراة جاءت رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، جئت لاهب لك نفسي، فنظر إليها رسول الله صلى الله عليه وسلم فصعد النظر إليها وصوبه ثم طاطا راسه، فلما رات المراة انه لم يقض فيها شيئا جلست، فقام رجل من اصحابه، فقال: اي رسول الله، إن لم تكن لك بها حاجة فزوجنيها، فقال: هل عندك من شيء؟ قال: لا والله يا رسول الله، قال: اذهب إلى اهلك، فانظر هل تجد شيئا، فذهب ثم رجع، فقال: لا والله يا رسول الله، ما وجدت شيئا، قال: انظر ولو خاتما من حديد، فذهب ثم رجع، فقال: لا والله يا رسول الله، ولا خاتما من حديد، ولكن هذا إزاري، قال سهل: ما له رداء فلها نصفه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما تصنع بإزارك إن لبسته لم يكن عليها منه شيء، وإن لبسته لم يكن عليك منه شيء، فجلس الرجل حتى طال مجلسه ثم قام، فرآه رسول الله صلى الله عليه وسلم موليا، فامر به فدعي، فلما جاء، قال: ماذا معك من القرآن؟ قال: معي سورة كذا وسورة كذا وسورة كذا عددها، قال: اتقرؤهن عن ظهر قلبك؟ قال: نعم، قال: اذهب فقد ملكتكها بما معك من القرآن".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne , un se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke ek khatoon Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Main Aap ki khidmat mein apne aap ko hiba karne aayi hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ki taraf dekha aur nazar utha kar dekha , phir nazar neechi kar li aur sar ko jhuka liya . Jab khatoon ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke baare mein koi faisla nahi farmaya to baith gayin . Is ke baad Aap ke sahabah mein se ek sahab kharay huay aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Agar Aap ko in ki zaroorat nahi to in ka nikah mujh se kara dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke tumhare paas koi cheez hai ? Unhon ne arz ki ke nahi ya Rasool Allah, Allah ki qasam! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke apne ghar jao aur dekho shayad koi cheez mil jaye . Woh gaye aur wapas aa kar arz ki ke nahi ya Rasool Allah! Main ne koi cheez nahi paayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya aur dekh lo , agar ek lohe ki angoothi bhi mil jaye . Woh gaye aur wapas aa kar arz kiya: ya Rasool Allah! Mujhe lohe ki angoothi bhi nahi mili , albatta yeh mera tehband hai . Sahl razi Allahu anhu ne byaan kiya ke in ke paas chadar bhi nahi thi (in sahabi ne kaha ke) in khatoon ko is tehband mein se aadha inayat farma dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh tumhare tehband ka kiya kare gi agar tum usay pehno ge to is ke liye is mein se kuch baqi nahi rahe ga . Is ke baad woh sahab baith gaye aur der tak baithe rahe phir kharay huay to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein wapas jaate huay dekha aur unhein bulane ke liye farmaya , unhein bulaya gaya . Jab woh aaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne in se daryaft farmaya ke tumhare paas Quran Majeed kitna hai . Unhon ne arz kiya falan falan surtein . Unhon ne in suraton ko ganaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya tum in suraton ko zabani parh lete ho . Unhon ne haan mein jawab diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir farmaya ke jao main ne is khatoon ko tumhare nikah mein is Quran ki wajah se diya jo tumhare paas hai . In suraton ko is se yaad kara do .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain