الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابُ غَزْوَةُ خَيْبَرَ:
Chapter. Ghazwa of Khaibar.
Hadith Number: 4215
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، وسالم , عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نهى يوم خيبر عن اكل الثوم , وعن لحوم الحمر الاهلية"، نهى عن اكل الثوم , هو عن نافع وحده، ولحوم الحمر الاهلية، عن سالم.
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ubaidullah ne ‘ in se Nafi aur Salim ne aur in se Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Ghazwa Khaibar ke mauqe par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne lehsun aur paltu gadhon ke khane se mana farmaya tha. Lehsun khane ki mamanat ka zikr sirf Nafi se manqool hai aur paltu gadhon ke khane ki mamanat sirf Salim se manqool hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4216
حدثني يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبد الله، والحسن ابني محمد بن علي، عن ابيهما، عن علي بن ابي طالب رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نهى عن متعة النساء يوم خيبر، وعن اكل لحوم الحمر الإنسية".
Mujh se Yahya Bin Qazaa ne bayan kiya ‘ kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya ‘ in se Ibn Shihab ne bayan kiya ‘ in se Abdullah aur Hasan ne jo dono Muhammad Bin Ali ke sahabzade hain ‘ in se in ke walid ne aur in se Ali Bin Abi Talib Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par aurton se mutaa ki mamanat ki thi aur paltu gadhon ke khane ki bhi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4217
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، حدثنا عبيد الله بن عمر، عن نافع، عن ابن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نهى يوم خيبر عن لحوم الحمر الاهلية".
Hum se Muhammad Bin Muqatil ne bayan kiya ‘ kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di ‘ in se Ubaidullah Bin Umar ne bayan kiya ‘ in se Nafi ne aur in se Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par paltu gadhe ka gosht khane ki mamanat ki thi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4218
حدثني إسحاق بن نصر، حدثنا محمد بن عبيد، حدثنا عبيد الله، عن نافع، وسالم , عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن اكل لحوم الحمر الاهلية".
Mujh se Ishaq Bin Nasr ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Ubaid ne bayan kiya ‘ unhon ne kaha hum se Ubaidullah ne bayan kiya ‘ in se Nafi aur Salim ne aur in se Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne paltu gadhon ke gosht ki mamanat ki thi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4219
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو، عن محمد بن علي، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم خيبر عن لحوم الحمر الاهلية، ورخص في الخيل".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya ‘ kaha hum se Hammad Bin Zaid ne ‘ in se Amr ne in se Muhammad Bin Ali ne aur in se Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par gadhe ke gosht khane ki mamanat ki thi aur ghoron ke gosht khane ki ijazaat di thi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4220
حدثنا سعيد بن سليمان، حدثنا عباد، عن الشيباني، قال: سمعت ابن ابي اوفى رضي الله عنهما، اصابتنا مجاعة يوم خيبر، فإن القدور لتغلي، قال: وبعضها نضجت، فجاء منادي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تاكلوا من لحوم الحمر شيئا واهرقوها"، قال ابن ابي اوفى: فتحدثنا انه إنما نهى عنها لانها لم تخمس، وقال بعضهم: نهى عنها البتة لانها كانت تاكل العذرة.
Hum se Saeed Bin Sulaiman ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abbad ne bayan kiya ‘ in se Shaibani ne bayan kiya aur unhon ne Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhuma se suna ke Ghazwa Khaibar mein ek mauqe par hum bahut bhooke thay ‘ udhar handiyon mein ubaal aa raha tha (gadhe ka gosht pakaya ja raha tha) aur kuch pak bhi gayin thin ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke munadi ne elaan kiya ke gadhe ke gosht ka ek zarra bhi na khao aur ise phenk do. Ibn Abi Aufa Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke phir baaz logon ne kaha ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is ki mamanat is liye ki hai ke abhi is mein se khums nahi nikala gaya tha aur baaz logon ka khayal tha ke Aap ne is ki waqeyi mamanat (hamesha ke liye) kar di hai ‘ kyunke ye gandagi khata hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4221
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، عن البراء، وعبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهم:" انهم كانوا مع النبي صلى الله عليه وسلم فاصابوا حمرا، فطبخوها، فنادى منادي النبي صلى الله عليه وسلم: اكفئوا القدور".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ kaha mujh ko Adi Bin Sabit ne khabar di aur unhein Bara aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhuma ne ke wo log Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath thay ‘ phir unhein gadhe mile to unhon ne un ka gosht pakaya lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke munadi ne elaan kiya ke handiyan undail do
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4222

Hadith Number: 4223
حدثني إسحاق، حدثنا عبد الصمد، حدثنا شعبة، حدثنا عدي بن ثابت، سمعت البراء، وابن ابي اوفى رضي الله عنهم، يحدثان عن النبي صلى الله عليه وسلم , انه قال يوم خيبر وقد نصبوا القدور:" اكفئوا القدور".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya ‘ kaha hum se Abd-us-Samad ne bayan kiya ‘ kaha hum se Shuba ne bayan kiya ‘ in se Adi Bin Sabit ne bayan kiya ‘ unhon ne Bara Bin Azib aur Abdullah Bin Abi Aufa Radi Allahu Anhum se suna. Ye hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se bayan karte thay ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ghazwa Khaibar ke mauqe par farmaya tha ke handiyon ka gosht phenk do ‘ is waqt handiyan chulhe par rakhi ja chuki thin
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4224