الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَوَهَبْنَا لِدَاوُدَ سُلَيْمَانَ نِعْمَ الْعَبْدُ إِنَّهُ أَوَّابٌ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And to Dawud (David) We gave Sulaiman (Solomon). How excellent (a) slave! Verily, he was ever oft-returning in repentance (to Us)." (V.38:30)
Hadith Number: Q3423
الراجع المنيب، وقوله: {هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي} وقوله: {واتبعوا ما تتلوا الشياطين على ملك سليمان}، {ولسليمان الريح غدوها شهر ورواحها شهر واسلنا له عين القطر} اذبنا له عين الحديد {ومن الجن من يعمل بين يديه} إلى قوله: {من محاريب}. قال مجاهد: بنيان ما دون القصور وتماثيل وجفان كالجواب سورة سبا آية 13 كالحياض للإبل وقال ابن عباس: كالجوبة من الارض وقدور راسيات اعملوا آل داود شكرا وقليل من عبادي الشكور سورة سبا آية 13 فلما قضينا عليه الموت ما دلهم على موته إلا دابة الارض سورة سبا آية 14الارضة تاكل منساته سورة سبا آية 14 عصاه فلما خر سورة سبا آية 14 إلى قوله في العذاب المهين سورة سبا آية 14 حب الخير عن ذكر ربي سورة ص آية 32 فطفق مسحا بالسوق والاعناق سورة ص آية 33 يمسح اعراف الخيل وعراقيبها الاصفاد الوثاق، قال مجاهد الصافنات سورة ص آية 31صفن الفرس رفع إحدى رجليه حتى تكون على طرف الحافر الجياد سورة ص آية 31 السراع جسدا سورة ص آية 34 شيطانا رخاء سورة ص آية 36طيبة حيث اصاب سورة ص آية 36 حيث شاء فامنن سورة ص آية 39 اعط بغير حساب سورة ص آية 39 بغير حرج.
Bahut hi ruju hone wala aur tawajjo karne wala. Sulaiman ka ye kehna ke Malik mujh ko aisi badshahat de ke mere siwa kisi ko muyassar na ho. Aur Surah At-Toubah mein Allah Ta'ala ka farman "Aur ye log peeche lag gaye is ilm ke jo Sulaiman ki badshahat mein Shaitan parha karte thay." Aur Surah Saba mein farmaya " (Hum ne) Sulaiman (Alaihis Salam) ke liye hawa ko (tabi) kar diya ke is ki subah ki manzil mahina bhar ki hoti aur is ki shaam ki manzil mahina bhar ki hoti aur «qitrin» yani hum ne un ke liye lohe ka chashma baha diya ( «wa as-alna lahu aynal qitri» bamaani) «wa azabna lahu aynal hadidi» hai "aur jinnat mein kuch wo thay jo un ke aage un ke parwardigar ke hukam se khoob kaam karte thay." Aakhir-e-aayat «min mahariba» tak. Mujahid ne kaha ke «mahariba» wo imaratein jo mehlon se kam hon. «tamathila» tasveerein aur lagan aur «jawabi» yani houz jaise onton ke liye houz hua karte hain. "Aur (bari bari) jami hui degien." Aayat «al-shakooru» tak. Phir jab hum ne un par mout ka hukam jari kar diya to kisi cheez ne un ki mout ka pata na diya bajuz ek zameen ke kiray (deemak) ke ke wo un ke asa ko khata raha so jab wo gir pare tab jinnat ne jana ke wo mar gaye. Allah Ta'ala ka farman «al-muheen» tak. "Sulaiman (Alaihis Salam) kehne lage ke mein is maal ki muhabbat mein parwardigar ki yaad se ghafil ho gaya «fatafiqa mashan» Al-kh yani is ne ghoron ki ayaal aur agari pichari ki rasiyon par hath pherna shuru kar diya. «al-asfadu» bamaani «al-withaqu» beriyan zanjirein. Mujahid ne kaha ke «al-safinatu» «safanal farsa» se mushtaq hai is waqt bolte hain jab ghora ek paon utha kar khur ki nouk par khara ho jaye «al-jiyadu» yani daurne mein taiz. «jasadan» bamaani Shaitan (jo Sulaiman (Alaihis Salam) ki angoothi pehan kar un ki kursi par baith gaya tha) «rukha-an» narmi se khushi se. «haithu asaba» yani jahan wo jana chahte. «famnun aati» ke maani mein hai jis ko chahe de baghair hisab baghair kisi takleef ke be-haraj
Hadith Number: 3423
حدثني محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم:"إن عفريتا من الجن تفلت البارحة ليقطع علي صلاتي فامكنني الله منه فاخذته فاردت ان اربطه على سارية من سواري المسجد حتى تنظروا إليه كلكم، فذكرت دعوة اخي سليمان رب هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي فرددته خاسئا عفريت متمرد من إنس او جان مثل زبنية جماعتها الزبانية".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Jafar ne bayan kiya un se Shuba ne bayan kiya un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek sarkash jinn kal raat mere samne aa gaya taake meri namaz kharab kar de lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par quwwat de di aur mein ne ise pakar liya. Phir mein ne chaha ke ise masjid ke kisi sutoon se baandh doon ke tum sab log bhi dekh sako. Lekin mujhe apne bhai Sulaiman (Alaihis Salam) ki dua yaad aa gayi ke ya Allah! Mujhe aisi sultanat de jo mere siwa kisi ko muyassar na ho. Is liye mein ne ise namurad wapas kar diya. «ifreetun» sarkash ke maani mein hai khwah insanon mein se ho ya jinnon mein se."
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3424
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا مغيرة بن عبد الرحمن، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: قال سليمان بن داود لاطوفن الليلة على سبعين امراة تحمل كل امراة فارسا يجاهد في سبيل الله، فقال له: صاحبه إن شاء الله فلم يقل ولم تحمل شيئا إلا واحدا ساقطا إحدى شقيه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو قالها لجاهدوا في سبيل الله، قال: شعيب وابن ابي الزناد تسعين وهو اصح.
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya kaha hum se Mugheerah Bin Abdur Rahman ne bayan kiya un se Abu Az-Zinad ne un se Aaraj ne un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Sulaiman Bin Dawood (Alaihimas Salam) ne kaha ke aaj raat mein apni sattar biwiyon ke pas jaoon ga aur har biwi ek shehswaar janay gi jo Allah ke raste mein jihad kare ga. Un ke saathi ne kaha Insha Allah, lekin unhon ne nahi kaha. Chunancha kisi biwi ke yahan bhi baccha paida nahi hua sirf ek ke yahan hua aur is ki bhi ek jaanib bekar thi." Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar Sulaiman (Alaihis Salam) Insha Allah keh lete (to sab ke yahan bacche paida hote) aur Allah ke raste mein jihad karte. Shuaib aur Ibn Abi Az-Zinad ne bajaye sattar ke) nawway kaha hai aur yehi bayan zyada sahih hai
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3425
حدثني عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا إبراهيم التيمي، عن ابيه، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: قلت: يا رسول الله، اي مسجد وضع اول، قال:" المسجد الحرام، قلت: ثم اي، قال: ثم المسجد الاقصى، قلت: كم كان بينهما، قال: اربعون ثم، قال: حيثما ادركتك الصلاة فصل والارض لك مسجد".
Mujh se Umar Bin Hafs ne bayan kiya kaha hum se mere walid ne bayan kiya kaha hum se Amash ne bayan kiya kaha hum se Ibrahim Taimi ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abu Zar (Radi Allahu Anhu) bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha: Ya Rasul Allah! Sab se pehle kaun si masjid banayi gayi thi? Farmaya ke Masjid-ul-Haram! Mein ne sawal kiya is ke baad kaun si? Farmaya ke Masjid-ul-Aqsa. Mein ne sawal kiya aur in dono ki tameer ka darmiyani fasla kitna tha? Farmaya ke chalis saal. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis jagah bhi namaz ka waqt ho jaye furan namaz parh lo. Tumhare liye tamam ruy-e-zameen masjid hai
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3426
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن، حدثه انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" مثلي ومثل الناس كمثل رجل استوقد نارا فجعل الفراش وهذه الدواب تقع في النار.
Hum se Abu Al-Yaman ne bayan kiya kaha hum ko Shuaib ne khabar di kaha hum se Abu Az-Zinad ne bayan kiya un se Abdur Rahman ne bayan kiya unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Meri aur tamam insanon ki misal ek aise shakhs ki si hai jis ne aag roshan ki ho. Phir parwane aur kiray makoray is mein girne lage hon."
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3427
وقال: كانت امراتان معهما ابناهما جاء الذئب فذهب بابن إحداهما، فقالت: صاحبتها إنما ذهب بابنك، وقالت: الاخرى إنما ذهب بابنك فتحاكمتا إلى داود فقضى به للكبرى فخرجتا على سليمان بن داود فاخبرتاه، فقال: ائتوني بالسكين اشقه بينهما، فقالت: الصغرى لا تفعل يرحمك الله هو ابنها فقضى به للصغرى، قال ابو هريرة: والله إن سمعت بالسكين إلا يومئذ وما كنا نقول إلا المدية.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke do auratein thien aur dono ke sath dono ke bacche thay. Itne mein ek bheriya aaya aur ek aurat ke bacche ko utha le gaya. In dono mein se ek aurat ne kaha bheriya tumhare bete ko le gaya hai aur doosri ne kaha ke tumhare bete ko le gaya hai. Dono Dawood (Alaihis Salam) ke yahan apna muqaddama le gayeen. Aap ne bari aurat ke haq mein faisla kar diya. Is ke baad wo dono Sulaiman Bin Dawood (Alaihis Salam) ke yahan aayeen aur unhein is jhagray ki khabar di. Unhon ne farmaya ke accha churi lao. Is bacche ke do tukray kar ke dono ke darmiyan baant doon. Chhoti aurat ne ye sun kar kaha: Allah aap par raham farmaye aisa na kijiye mein ne maan liya ke isi bari ka larka hai. Is par Sulaiman (Alaihis Salam) ne is chhoti ke haq mein faisla kiya. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne «sikkeen» ka lafz isi din suna warna hum hamesha (churi ke liye) «mudyatan» ka lafz bola karte thay
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة