الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابُ: {وَاذْكُرْ عَبْدَنَا دَاوُدَ ذَا الأَيْدِ إِنَّهُ أَوَّابٌ} إِلَى قَوْلِهِ: {وَفَصْلَ الْخِطَابِ}:
Chapter. The Statement of Allah:“...And remember Our slave Dawud (David), endued with power. Verily, he was ever oft-returning in all matters and in repentance (toward Allah)... (up to)... And sound judgement in speech and decision." (V.38:17-20)
Show diacritics
Hadith Number: Q3421
قال مجاهد: الفهم في القضاء ولا تشطط سورة ص آية 22 لا تسرف واهدنا إلى سواء الصراط سورة ص آية 22 إن هذا اخي له تسع وتسعون نعجة سورة ص آية 23 يقال للمراة نعجة ويقال لها ايضا شاة ولي نعجة واحدة فقال اكفلنيها سورة ص آية 23 مثل وكفلها زكريا سورة آل عمران آية 37ضمها وعزني سورة ص آية 23 غلبني صار اعز مني اعززته جعلته عزيزا في الخطاب سورة ص آية 23 يقال المحاورة قال لقد ظلمك بسؤال نعجتك إلى نعاجه وإن كثيرا من الخلطاء سورة ص آية 24 الشركاء ليبغي إلى قوله انما فتناه سورة ص آية 24 قال ابن عباس: اختبرناه وقرا عمر فتناه بتشديد التاء فاستغفر ربه وخر راكعا واناب سورة ص آية 24.
Mujahid ne kaha ke «faslal khitabi» se murad faisle ki soujh boujh hai. «wala tushtit» yani be-insafi na kar aur humein seedhi raah bata. Ye shakhs mera bhai hai is ke pas ninnanway «naj-atun» (dunbiyan) hain. "Aurat ke liye bhi «naj-atun» ka lafz istemal hota hai aur «naj-atun» bakri ko bhi kehte hain "aur mere pas sirf ek dunbi hai so ye kehta hai wo bhi mujh ko de daal." Ye «kaffalaha zakariyya» ki tarah hai bamaani «zammaha» "aur guftagu mein mujhe dabata hai." Dawood (Alaihis Salam) ne kaha "is ne teri dunbi aur apni dunbiyon mein milane ki darkhwast kar ke waqai tujh par zulm kiya aur aksar saajhi yun hi ek doosre ke upar zulm kiya karte hain." Allah Ta'ala ke irshad «annama fatannahu» tak. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke ( «fatannahu» ke maani hain) hum ne un ka imtihan kiya. Umar (Radi Allahu Anhu) is ki qiraat ta ki tashdeed ke sath «fatannahu» kiya karte thay. "So unhon ne apne parwardigar ke samne toubah ki aur wo jhuk pare aur ruju hue."


Show diacritics
Hadith Number: 3421
حدثنا محمد، حدثنا سهل بن يوسف، قال: سمعت العوام، عن مجاهد، قال: قلت: لابن عباس اسجد في ص فقرا ومن ذريته داود وسليمان حتى اتى فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 84 - 90 فقال: ابن عباس رضي الله عنهما نبيكم صلى الله عليه وسلم ممن امر ان يقتدي بهم.
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya kaha hum se Sahl Bin Yusuf ne bayan kiya kaha mein ne Awwam se suna un se Mujahid ne bayan kiya ke mein ne Abbas (Radi Allahu Anhu) se poocha kya mein Surah Saad mein sajda kiya karoon? To unhon ne aayat «wa min zurriyyatihi dawooda wa sulaimana» tilawat ki «fabihudahumuqtadih» tak neez unhon ne kaha ke tumhare Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) in logon mein se thay jinhein Anbiya (Alaihimus Salam) ki iqtida ka hukam tha


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3422
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" ليس ص من عزائم السجود، ورايت النبي صلى الله عليه وسلم يسجد فيها".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Wahb ne bayan kiya un se Ayub ne bayan kiya un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Surah Saad ka sajda zaroori nahi lekin mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is surat mein sajda karte dekha hai


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain