الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب أحاديث الأنبياء
Kitab: Anbiya Alaihim-us-Salam ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {ووهبنا لداود سليمان نعم العبد إنه أواب} :
Bab: Allah Taala ke is qaul ka bayan“Aur hum ne Dawood ko Sulayman (beta) ata farmaya, woh bohot achha banda tha, beshak woh bohot rujoo karne wala tha”.
Hadith Number: 3427
وقال: كانت امراتان معهما ابناهما جاء الذئب فذهب بابن إحداهما، فقالت: صاحبتها إنما ذهب بابنك، وقالت: الاخرى إنما ذهب بابنك فتحاكمتا إلى داود فقضى به للكبرى فخرجتا على سليمان بن داود فاخبرتاه، فقال: ائتوني بالسكين اشقه بينهما، فقالت: الصغرى لا تفعل يرحمك الله هو ابنها فقضى به للصغرى، قال ابو هريرة: والله إن سمعت بالسكين إلا يومئذ وما كنا نقول إلا المدية.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke do auratein thien aur dono ke sath dono ke bacche thay. Itne mein ek bheriya aaya aur ek aurat ke bacche ko utha le gaya. In dono mein se ek aurat ne kaha bheriya tumhare bete ko le gaya hai aur doosri ne kaha ke tumhare bete ko le gaya hai. Dono Dawood (Alaihis Salam) ke yahan apna muqaddama le gayeen. Aap ne bari aurat ke haq mein faisla kar diya. Is ke baad wo dono Sulaiman Bin Dawood (Alaihis Salam) ke yahan aayeen aur unhein is jhagray ki khabar di. Unhon ne farmaya ke accha churi lao. Is bacche ke do tukray kar ke dono ke darmiyan baant doon. Chhoti aurat ne ye sun kar kaha: Allah aap par raham farmaye aisa na kijiye mein ne maan liya ke isi bari ka larka hai. Is par Sulaiman (Alaihis Salam) ne is chhoti ke haq mein faisla kiya. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne «sikkeen» ka lafz isi din suna warna hum hamesha (churi ke liye) «mudyatan» ka lafz bola karte thay
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة