الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب أَحَادِيثِ الْأَنْبِيَاءِ
The Book of The Stories of The Prophets
بَابُ قَوْلُ اللَّهِ تَعَالَى: {وَلَقَدْ آتَيْنَا لُقْمَانَ الْحِكْمَةَ أَنِ اشْكُرْ لِلَّهِ} إِلَى قَوْلِهِ: {إِنَّ اللَّهَ لاَ يُحِبُّ كُلَّ مُخْتَالٍ فَخُورٍ}:
Chapter. The Statement of Allah:“And indeed We bestowed upon Luqman Al-Hikmah (wisdom and religious understanding) (up to) a great Zulm (wrong) indeed.”(V.31:12,13)
Show diacritics
Hadith Number: Q3428
{ولا تصعر} الإعراض بالوجه.
«wala tusa-ir» yani apna chehra na pher


Show diacritics
Hadith Number: 3428
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال: لما نزلت الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82، قال: اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم" اينا لم يلبس إيمانه بظلم فنزلت لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Abu Al-Walid ne bayan kiya kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amash ne un se Ibrahim ne un se Alqamah ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab aayat «allazina amanu walam yalbisoo imanahum bizulmin» "Jo log iman laye aur apne iman mein zulm ki milawat nahi ki." Nazil hui to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba ne arz kiya hum mein aisa kaun hoga jis ne apne iman mein zulm nahi kiya hoga. Is par ye aayat nazil hui «la tushrik billahi innash shirka lazulmun azeemun» "Allah ke sath kisi ko shareek na thehra. Beshak shirk hi zulm-e-azeem hai."


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3429
حدثني إسحاق، اخبرنا عيسى بن يونس، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: لما نزلتالذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82 شق ذلك على المسلمين، فقالوا: يا رسول الله اينا لا يظلم نفسه، قال: ليس ذلك إنما هو الشرك الم تسمعوا ما، قال: لقمان لابنه وهو يعظه يا بني لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Mujh se Ishaq Bin Rahwayh ne bayan kiya kaha hum ko Isa Bin Yunus ne khabar di kaha hum se Amash ne bayan kiya un se Ibrahim Nakhi ne un se Alqamah ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab aayat «allazina amanu walam yalbisoo imanahum bizulmin» "Jo log iman laye aur apne iman ke sath zulm ki milawat nahi ki." Nazil hui to Musalmanon par bara shaaq guzra aur unhon ne arz kiya hum mein kaun aisa ho sakta hai jis ne apne iman ke sath zulm ki milawat na ki hogi? Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke is ka ye matlab nahi zulm se murad aayat mein shirk hai. Kya tum ne nahi suna ke Luqman (Alaihis Salam) ne apne bete se kaha tha ise nasihat karte hue ke ae bete! Allah Ta'ala ke sath kisi ko shareek na thehra beshak shirk bara hi zulm hai


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain