الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب بَدْءِ الْخَلْقِ
The Book of The Beginning of Creation
بَابُ صِفَةِ إِبْلِيسَ وَجُنُودِهِ:
Chapter. The characteristics of Iblis (Satan) and his soldiers.
Show diacritics
Hadith Number: Q3268
وقال مجاهد: ويقذفون سورة الصافات آية 8 يرمون دحورا سورة الصافات آية 9 مطرودين واصب سورة الصافات آية 9 دائم، وقال ابن عباس:مدحورا سورة الاعراف آية 18 مطرودا يقال مريدا سورة النساء آية 117 متمردا بتكه قطعه واستفزز سورة الإسراء آية 64 استخف بخيلك سورة الإسراء آية 64 الفرسان والرجل الرجالة واحدها راجل مثل صاحب وصحب وتاجر وتجر لاحتنكن سورة الإسراء آية 62 لاستاصلن قرين سورة الصافات آية 51 شيطان.
Aur Mujahid ne kaha (Surah Al-Saffat mein) lafz "yuqzafoona" ka maane phainke jate hain (isi surat mein) "duhooran" ke maane dhutkare hue ke hain. Isi surat mein lafz "wasibun" ka maane hamesha ka hai aur Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha (Surah Al-Araf mein) lafz "mad-hooran" ka maane dhutkara hua, mardood (aur Surah Al-Nisa mein) "mareedan" ka maane mutamarrid-o-shareer ke hain. Isi surat mein "fal-yubattikunna" "battaka" se nikla hai. Yaani cheera, kaata. (Surah Bani Israil mein) "wa-stafziz" ka maane un ko halka kar de. Isi surat mein "khaylun" ka maane sawar aur "rajilun" yaani piyade. Yaani "rajjalatun" is ka mufrad "rajilun" jaise "sahbun" ka mufrad "sahibun" aur "tajarun" ka mufrad "tajirun" isi surat mein lafz "la-ahtanikanna" ka maane jarr se ukhad doon ga. Surah Al-Saffat mein lafz "qareenun" ke maane shaitan ke hain
.


Show diacritics
Hadith Number: 3268
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عيسى، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: سحر النبي صلى الله عليه وسلم، وقال 17 الليث: كتب إلي هشام انه سمعه ووعاه، عن ابيه، عن عائشة، قالت: سحر النبي صلى الله عليه وسلم حتى كان يخيل إليه انه يفعل الشيء، وما يفعله حتى كان ذات يوم دعا ودعا، ثم قال: اشعرت ان الله افتاني فيما فيه شفائي اتاني رجلان فقعد احدهما عند راسي والآخر عند رجلي، فقال: احدهما للآخر ما وجع الرجل، قال: مطبوب، قال: ومن طبه، قال: لبيد بن الاعصم، قال: فيما ذا، قال: في مشط ومشاقة وجف طلعة ذكر، قال: فاين هو؟، قال: في بئر ذروان فخرج إليها النبي صلى الله عليه وسلم، ثم رجع، فقال:" لعائشة حين رجع نخلها كانه رءوس الشياطين، فقلت: استخرجته، فقال: لا اما انا فقد شفاني الله وخشيت ان يثير ذلك على الناس شرا، ثم دفنت البئر".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Isa Bin Yunus ne khabar di, unhein Hisham ne, unhein un ke walid Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par (jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Hudaibiya se laute thay) jadoo hua tha. Aur Laith Bin Saad ne bayan kiya ke mujhe Hisham ne likha tha, unhon ne apne walid se suna tha aur yaad rakha tha aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya tha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par jadoo kiya gaya tha. Aap ke zehan mein baat hoti thi ke falan kaam mein kar raha hoon halanke Aap ise na kar rahe hote. Aakhir ek din Aap ne dua ki phir dua ki ke Allah Paak is jadoo ka asar dafa kare. Is ke baad Aap ne Aisha (Radi Allahu Anha) se farmaya ke tumhein maloom bhi hua Allah Ta'ala ne mujhe wo tadbeer bata di hai jis mein meri shifa muqaddar hai. Mere paas do aadmi aaye, ek to mere sarr ki taraf baith gaye aur doosra paon ki taraf. Phir ek ne doosre se kaha, unhein bimari kya hai? Doosre aadmi ne jawab diya ke un par jadoo hua hai. Unhon ne pucha, jadoo un par kis ne kiya hai? Jawab diya ke Labeed Bin A'sam yahudi ne, pucha ke wo jadoo (tona) rakha kis cheez mein hai? Kaha ke kanghe mein, katan mein aur khajoor ke khushk khoshe ke ghilaf mein. Pucha, aur ye cheezain hain kahan? Kaha Bir-e-Dauran mein. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) wahan tashreef le gaye aur wapas aaye to Aisha (Radi Allahu Anha) se farmaya, wahan ke khajoor ke darakht aise hain jaise shaitan ki khopdi. Mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha, wo tona Aap ne niklwaya bhi? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke nahi mujhe to Allah Ta'ala ne khud shifa di aur mein ne ise is khayal se nahi niklwaya ke kahin is ki wajah se logon mein koi jhagda khada kar doon. Is ke baad wo kunwan band kar diya gaya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3269
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، قال: حدثني اخي، عن سليمان بن بلال، عن يحيى بن سعيد، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرةرضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يعقد الشيطان على قافية راس احدكم إذا هو نام ثلاث عقد يضرب كل عقدة مكانها عليك ليل طويل، فارقد فإن استيقظ فذكر الله انحلت عقدة فإن توضا انحلت عقدة فإن صلى انحلت عقده كلها فاصبح نشيطا طيب النفس وإلا اصبح خبيث النفس كسلان".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sulaiman Bin Bilal ne, un se Yahya Bin Said ne, un se Said Bin Musayyab ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab koi tum mein se soya hua hota hai, to shaitan is ke sarr ki gaddi par teen girhein laga deta hai khoob acchi tarah se aur har girah par ye afsoon phoonk deta hai ke abhi bahut raat baqi hai. Pada sota reh. Lekin agar wo shakhs jaag kar Allah ka zikr shuru karta hai to ek girah khul jati hai. Phir jab wazu karta hai to doosri girah khul jati hai. Phir jab namaz-e-fajr parhta hai to teesri girah bhi khul jati hai aur subah ko khush mizaj khush dil rehta hai. Warna bad-mizaj sust reh kar wo din guzarta hai."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3270
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: ذكر عند النبي صلى الله عليه وسلم رجل نام ليله حتى اصبح، قال:" ذاك رجل بال الشيطان في اذنيه او، قال: في اذنه".
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Abu Wail ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein hazir-e-khidmat tha to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne ek aise shakhs ka zikr aaya, jo raat bhar din chadhe tak pada sota raha ho, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ye aisa shakhs hai jis ke kaan ya dono kanon mein shaitan ne peshab kar diya hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3271
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا همام، عن منصور، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اما إن احدكم إذا اتى اهله، وقال: بسم الله اللهم جنبنا الشيطان وجنب الشيطان ما رزقتنا فرزقا ولدا لم يضره الشيطان".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, un se Mansoor ne un se Salim Bin Abi-ul-Jad ne, un se Kuraib ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jab koi shakhs apni biwi ke paas aata hai aur ye dua parhta hai 'Bismillah Allahumma jannibnash shaitana, wa jannibish shaitana ma razaqtana' 'Allah ke naam se shuru karta hoon, Ae Allah! Hum se shaitan ko door rakh aur jo kuch humein tu de (aulad) is se bhi shaitan ko door rakh.' Phir agar un ke yahan bacha paida hota hai to shaitan ise koi nuqsan nahi pahuncha sakta
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3272
حدثنا محمد، اخبرنا عبدة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا طلع حاجب الشمس فدعوا الصلاة حتى تبرز وإذا غاب حاجب الشمس فدعوا الصلاة حتى تغيب،
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdah ne khabar di, unhein Hisham Bin Urwah ne, unhein un ke walid ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab sooraj ka upar ka kinara nikal aaye to namaz na parho jab tak wo poori tarah zahir na ho jaye aur jab ghuroob hone lage tab bhi is waqt tak ke liye namaz chhod do jab tak bilkul ghuroob na ho jaye."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3273
ولا تحينوا بصلاتكم طلوع الشمس ولا غروبها فإنها تطلع بين قرني شيطان او الشيطان" لا ادري اي ذلك، قال هشام.
Aur namaz sooraj ke nikalne aur doobne ke waqt na parho, kyunke sooraj shaitan ke sarr ke ya shaitanon ke sarr ke dono konon ke beech mein se nikalta hai. Abdah ne kaha mein nahi janta Hisham ne shaitan ka sarr kaha ya shaitanon ka
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3274
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا يونس، عن حميد بن هلال، عن ابي صالح، عن ابي سعيد، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا مر بين يدي احدكم شيء وهو يصلي فليمنعه فإن ابى فليمنعه، فإن ابى فليقاتله فإنما هو شيطان".
Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, kaha hum se Yunus ne bayan kiya, un se Humaid Bin Bilal ne, un se Abu Salih un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agar tum mein se namaz parhne mein kisi shakhs ke samne se koi guzre to ise guzarne se roke, agar wo na ruke to phir roke aur agar ab bhi na ruke to is se lade wo shaitan hai."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3275
وقال عثمان بن الهيثم: حدثنا عوف، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: وكلني رسول الله صلى الله عليه وسلم بحفظ زكاة رمضان فاتاني آت فجعل يحثو من الطعام فاخذته، فقلت: لارفعنك إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر الحديث، فقال:" إذا اويت إلى فراشك فاقرا آية الكرسي لن يزال عليك من الله حافظ ولا يقربك شيطان حتى تصبح، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: صدقك وهو كذوب ذاك شيطان".
Aur Usman Bin Haisham ne bayan kiya, kaha hum se Auf ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek martaba sadqa-e-fitr ke ghalla ki hifazat par mujhe muqarrar kiya, ek shakhs aaya aur dono hathon se ghalla lipp bhar bhar kar lene laga. Mein ne ise pakad liya aur kaha ke ab mein tujhe Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein pesh karoon ga. Phir unhon ne aakhir tak hadees bayan ki, is (chor) ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se kaha ke jab tum apne bistar par sone ke liye laitne lago to Ayat-ul-Kursi parh liya karo, is ki barkat se Allah Ta'ala ki taraf se tum par ek nigahban muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare qareeb subah tak na aa sakega. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke baat to us ne sacchi kahi hai agarchay wo khud jhoota hai, wo shaitan tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3276
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، قال ابو هريرة رضي الله عنه: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ياتي الشيطان احدكم، فيقول: من خلق كذا من خلق كذا حتى، يقول: من خلق ربك فإذا بلغه فليستعذ بالله ولينته".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Urwah ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum mein se kisi ke paas shaitan aata hai aur tumhare dil mein pehle to ye sawal paida karta hai ke falan cheez kis ne paida ki, falan cheez kis ne paida ki? Aur aakhir mein baat yahan tak pahunchata hai ke khud tumhare Rabb ko kis ne paida kiya? Jab kisi shakhs ko aisa waswasa dale to Allah se panah mangni chahiye, shaitani khayal ko chhod de."
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain