الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب صفة إبليس وجنوده:
Bab: Iblees aur us ki fauj ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3275
وقال عثمان بن الهيثم: حدثنا عوف، عن محمد بن سيرين، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: وكلني رسول الله صلى الله عليه وسلم بحفظ زكاة رمضان فاتاني آت فجعل يحثو من الطعام فاخذته، فقلت: لارفعنك إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر الحديث، فقال:" إذا اويت إلى فراشك فاقرا آية الكرسي لن يزال عليك من الله حافظ ولا يقربك شيطان حتى تصبح، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: صدقك وهو كذوب ذاك شيطان".
Aur Usman Bin Haisham ne bayan kiya, kaha hum se Auf ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek martaba sadqa-e-fitr ke ghalla ki hifazat par mujhe muqarrar kiya, ek shakhs aaya aur dono hathon se ghalla lipp bhar bhar kar lene laga. Mein ne ise pakad liya aur kaha ke ab mein tujhe Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein pesh karoon ga. Phir unhon ne aakhir tak hadees bayan ki, is (chor) ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se kaha ke jab tum apne bistar par sone ke liye laitne lago to Ayat-ul-Kursi parh liya karo, is ki barkat se Allah Ta'ala ki taraf se tum par ek nigahban muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare qareeb subah tak na aa sakega. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke baat to us ne sacchi kahi hai agarchay wo khud jhoota hai, wo shaitan tha
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أبو هريرة الدوسيصحابي
محمد بن سيرين الأنصاري، أبو بكرثقة ثبت كبير القدر لا يرى الرواية بالمعنى
عوف بن أبي جميلة الأعرابي، أبو سهلصدوق رمي بالقدر والتشيع
عثمان بن عمر العبدي، أبو عمروصدوق حسن الحديث