الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَكُلُوا وَاشْرَبُوا حَتَّى يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الأَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الأَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ ثُمَّ أَتِمُّوا الصِّيَامَ إِلَى اللَّيْلِ}:
Chapter. The Statement of Allah: "… And eat and drink until the white thread of dawn appears to you distinct from the black.”
Show diacritics
Hadith Number: Q1916
فيه البراء عن النبي صلى الله عليه وسلم.
(Is silsile mein) Bara (Radi Allahu Anhu) ki ek riwayat bhi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se marwi hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 1916
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا هشيم، قال: اخبرني حصين بن عبد الرحمن، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم رضي الله عنه، قال:" لما نزلت: حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187، عمدت إلى عقال اسود وإلى عقال ابيض، فجعلتهما تحت وسادتي، فجعلت انظر في الليل فلا يستبين لي، فغدوت على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فذكرت له ذلك، فقال: إنما ذلك سواد الليل وبياض النهار".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hushaim ne bayan kiya, kaha ke mujhe Husain Bin Abdur Rahman ne khabar di, aur un se Shabi ne, un se Adi Bin Hatim (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab ye ayat nazil hui ”ta-aan-kay khul jaye tumhare liye safaid dhari siyah dhari se.“ to mein ne ek siyah dhaga liya aur ek safaid aur donon ko takiya ke neeche rakh liya aur raat mein dekhta raha mujh par in ke rang na khule, jab subah hui to mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikr kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke is se to raat ki tareeki (subah kazib) aur din ki safaidi (subah sadiq) murad hai
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1917
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل بن سعد. ح حدثني سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان محمد بن مطرف، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، قال:" انزلت: وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187، ولم ينزل من الفجر، فكان رجال إذا ارادوا الصوم ربط احدهم في رجله الخيط الابيض والخيط الاسود، ولم يزل ياكل حتى يتبين له رؤيتهما، فانزل الله بعد من الفجر، فعلموا انه إنما يعني الليل والنهار".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya, un se un ke baap ne aur un se Sahl Bin Saad ne (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha) aur mujh se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, un se Abu Ghassan Muhammad Bin Mutarrif ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim ne bayan kiya aur un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ayat nazil hui ”khao piyo yahan tak ke tumhare liye safaid dhari, siyah dhari se khul jaye“ lekin «min-al-fajr» (subah ki) ke alfaz nazil nahi hue thay. Is par kuch logon ne ye kaha ke jab roze ka irada hota to siyah aur safaid dhaga le kar paon mein bandh lete aur jab tak donon dhage poori tarah dikhayi na dene lagte, khana peena band na karte thay, is par Allah Ta'ala ne «min-al-fajr» ke alfaz nazil farmaye phir logon ko maloom hua ke is se murad raat aur din hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain