الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ جَلَّ ذِكْرُهُ: {أُحِلَّ لَكُمْ لَيْلَةَ الصِّيَامِ الرَّفَثُ إِلَى نِسَائِكُمْ هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ عَلِمَ اللَّهُ أَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَخْتَانُونَ أَنْفُسَكُمْ فَتَابَ عَلَيْكُمْ وَعَفَا عَنْكُمْ فَالآنَ بَاشِرُوهُنَّ وَابْتَغُوا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَكُمْ}:
Chapter. The Statement of Allah:“It is made lawful for you to have sexual relations with your wives on the night of the As-Saum (the fasts)”.
Show diacritics
Hadith Number: 1915
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" كان اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم، إذا كان الرجل صائما فحضر الإفطار فنام قبل ان يفطر، لم ياكل ليلته ولا يومه حتى يمسي"، وإن قيس بن صرمة الانصاري كان صائما، فلما حضر الإفطار اتى امراته، فقال لها: اعندك طعام؟ قالت: لا، ولكن انطلق فاطلب لك، وكان يومه يعمل فغلبته عيناه، فجاءته امراته، فلما راته، قالت: خيبة لك، فلما انتصف النهار غشي عليه، فذكر ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فنزلت هذه الآية: احل لكم ليلة الصيام الرفث إلى نسائكم سورة البقرة آية 187، ففرحوا بها فرحا شديدا، ونزلت: وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187.
Hum se Ubaidullah Bin Musa ne bayan kiya, un se Israel ne, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (shuru Islam mein) Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba (Radi Allahu Anhum) jab roza se hote aur iftar ka waqt aata to koi roza dar agar iftar se pehle bhi so jata to phir is raat mein bhi aur aane wale din mein bhi unhein khane peene ki ijazat nahi thi ta-aan-kay phir sham ho jati, phir aisa hua ke Qais Bin Sarma Ansari (Radi Allahu Anhu) bhi roze se thay jab iftar ka waqt hua to wo apni biwi ke paas aaye aur un se poocha kya tumhare paas kuch khana hai ? Unhon ne kaha (is waqt kuch) nahi hai lekin mein jati hoon kahin se laoongi, din bhar unhon ne kaam kiya tha is liye aankh lag gayi jab biwi wapas hueein aur unhein (sote hue) dekha to farmaya afsos tum mahroom hi rahe, lekin doosre din wo dopahar ko behosh ho gaye jab is ka zikr Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kiya gaya to ye ayat nazil hui ”halal kar diya gaya tumhare liye Ramzan ki raaton mein apni biwiyon se suhbat karna“ is par Sahaba (Radi Allahu Anhum) bahut khush hue aur ye ayat nazil hui ”khao piyo yahan tak ke mumtaz ho jaye tumhare liye subah ki safaid dhari (subah sadiq) siyah dhari (subah kazib) se.“
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain