الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصوم
Kitab: Rozay ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الأبيض من الخيط الأسود من الفجر ثم أتموا الصيام إلى الليل} :
Bab: (Surah Al-Baqarah mein) Allah Taala ka farmana ke sehri khao aur peo yahan tak ke khul jaye tumhare liye subah ki safed dhari (subah sadiq) siyah dhari (yani subah kazib) se phir poore karo apne roze sooraj chhupne tak.
Hadith Number: 1917
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل بن سعد. ح حدثني سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان محمد بن مطرف، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد، قال:" انزلت: وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187، ولم ينزل من الفجر، فكان رجال إذا ارادوا الصوم ربط احدهم في رجله الخيط الابيض والخيط الاسود، ولم يزل ياكل حتى يتبين له رؤيتهما، فانزل الله بعد من الفجر، فعلموا انه إنما يعني الليل والنهار".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya, un se un ke baap ne aur un se Sahl Bin Saad ne (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha) aur mujh se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, un se Abu Ghassan Muhammad Bin Mutarrif ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim ne bayan kiya aur un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ayat nazil hui ”khao piyo yahan tak ke tumhare liye safaid dhari, siyah dhari se khul jaye“ lekin «min-al-fajr» (subah ki) ke alfaz nazil nahi hue thay. Is par kuch logon ne ye kaha ke jab roze ka irada hota to siyah aur safaid dhaga le kar paon mein bandh lete aur jab tak donon dhage poori tarah dikhayi na dene lagte, khana peena band na karte thay, is par Allah Ta'ala ne «min-al-fajr» ke alfaz nazil farmaye phir logon ko maloom hua ke is se murad raat aur din hain
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
1917
| أنزلت وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الأبيض من الخيط الأسود ولم ينزل من الفجر فكان رجال إذا أرادوا الصوم ربط أحدهم في رجله الخيط الأبيض والخيط الأسود ولم يزل يأكل حتى يتبين له رؤيتهما فأنزل الله بعد من الفجر فعلموا أنه إنما يعني الليل والنهار |