الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأحكام
Kitab: Hukumat aur qaza ke bayan mein
باب السمع والطاعة للإمام ما لم تكن معصية:
Imaam aur badshah-e-Islam ki baat sunna aur maanna waajib hai jab tak woh khilaaf shariyat aur gunaah ki baat ka hukm na de.
Show diacritics
Hadith Number: 7142
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى بن سعيد، عن شعبة، عن ابي التياح، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اسمعوا واطيعوا، وإن استعمل عليكم عبد حبشي كان راسه زبيبة".
`Hum se Masaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Shu'ba ne bayan kiya, un se Abul Tayyah ne aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Suno aur ita'at karo, khwah tum par kisi aise Habshi gulam ko hi aamil banaya jaye jis ka sar munaqqa ki tarah chhota ho.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 693
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا يحيى، حدثنا شعبة، قال: حدثني ابو التياح، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"اسمعوا واطيعوا، وإن استعمل حبشي كان راسه زبيبة".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abut Tayyah Yazid bin Humayd Dubayi ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se byaan kiya , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (apne haakim ki) suno aur itaat karo , khwah ek aisa Habshi (ghulam tum par) kyun na haakim bana diya jaye jis ka sar sookhe huay angoor ke barabar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 696
حدثنا محمد بن ابان، حدثنا غندر، عن شعبة عن ابي التياح، انه سمع انس بن مالك، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي ذر:"اسمع واطع ولو لحبشي كان راسه زبيبة".
Hum se Muhammad bin Aban ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne byaan kiya Shubah se , unhon ne Abut Tayyah se , unhon ne Anas bin Malik se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Abu Zar se farmaya (haakim ki) sun aur itaat kar . Khwah woh ek aisa Habshi ghulam hi kyun na ho jis ka sar munqay ke barabar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة