الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التعبير
Kitab: Khwabon ki tabeer ke bayan mein
باب رؤيا الليل:
Raat ke khwaab ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6999
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اراني الليلة عند الكعبة، فرايت رجلا آدم كاحسن ما انت راء من ادم الرجال، له لمة كاحسن ما انت راء من اللمم، قد رجلها تقطر ماء، متكئا على رجلين او على عواتق رجلين، يطوف بالبيت، فسالت من هذا؟، فقيل: المسيح ابن مريم، ثم إذا انا برجل جعد قطط اعور العين اليمنى كانها عنبة طافية، فسالت من هذا؟، فقيل المسيح الدجال".
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne, un se Nafi' ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Raat mujhe Ka'ba ke paas (khwab mein) dikhaya gaya. Mein ne ek gandumi rang ke aadmi ko dekha wo gandumi rang ke kisi sab se khoobsurat aadmi ki tarah thay, un ke lambe khoobsurat baal thay in sab se khoobsurat baalon ki tarah jo tum dekh sake ho ge. In mein unhon ne kangha kiya hua tha aur pani un se tapak raha tha aur wo do aadmiyon ke sahare ya (yeh farmaya ke) do aadmiyon ke shanon ke sahare Baitullah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne poocha ke yeh kaun sahab hain. Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh ibn-e-Maryam Alaihimas-Salam hain. Phir achanak mein ne ek ghoongriyale baal wale aadmi ko dekha jis ki ek aankh kaani thi aur angoor ke daane ki tarah uthi hui thi, mein ne poocha yeh kaun hai? Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh Dajjal hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3440
واراني الليلة عند الكعبة في المنام فإذا رجل آدم كاحسن ما يرى من ادم الرجال تضرب لمته بين منكبيه رجل الشعر يقطر راسه ماء واضعا يديه على منكبي رجلين وهو يطوف بالبيت، فقلت: من هذا، فقالوا: هذا المسيح ابن مريم ثم رايت رجلا وراءه جعدا قططا اعور العين اليمنى كاشبه من رايت بابن قطن واضعا يديه على منكبي رجل يطوف بالبيت، فقلت: من هذا، قالوا: المسيح الدجال، تابعه عبيد الله، عن نافع.
Aur mein ne raat Kaabah ke pas khwab mein ek gandami rang ke aadmi ko dekha jo gandami rang ke aadmiyon mein shakal ke aetibar se sab se zyada haseen-o-jameel tha. Is ke sar ke baal shanon tak latak rahe thay sar se pani tapak raha tha aur dono hath do aadmiyon ke shanon par rakkhe hue wo Bait-ul-Allah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne poocha ye kaun buzurg hain? To farishton ne bataya ke ye Maseeh Ibn Maryam hain. Is ke baad mein ne ek shakhs ko dekha sakht aur mare hue balon wala jo dahni aankh se kana tha. Ise mein ne Ibn Qatan se sab se zyada shakal mein milta hua paya wo bhi ek shakhs ke shanon par apne dono hath rakkhe hue Bait-ul-Allah ka tawaf kar raha tha. Mein ne poocha ye kaun hain? Farishton ne bataya ke ye Dajjal hai. Is riwayat ki mutabiat Ubaidullah ne Nafay se ki hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5902
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" اراني الليلة عند الكعبة، فرايت رجلا آدم كاحسن ما انت راء من ادم الرجال، له لمة كاحسن ما انت راء من اللمم قد رجلها فهي تقطر ماء، متكئا على رجلين او على عواتق رجلين، يطوف بالبيت، فسالت: من هذا؟ فقيل: المسيح ابن مريم، وإذا انا برجل جعد قطط اعور العين اليمنى، كانها عنبة طافية، فسالت: من هذا؟ فقيل: المسيح الدجال".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya raat Kaba ke paas mujhe dikhaya gaya, main ne dekha ke ek sahab hain gandumi rang, gandumi rang ke logon mein sab se zyada khoobsurat, in ke shanon tak lambe lambe baal hain aise baal wale logon mein sab se zyada khoobsurat, unhon ne baalon mein kangha kar rakkha hai aur is ki wajah se sar se pani tapak raha hai. Do aadmiyon ka sahara liye huay hain ya do aadmiyon ke shanon ka sahara liye huay hain aur Khana Kaba ka tawaf kar rahe hain, main ne poochha ke yeh kaun buzurg hain to mujhe bataya gaya ke yeh Esa ibn Maryam alaihissalam hain phir achanaak main ne ek uljhe huay ghoun-gharyale baal wale shakhs ko dekha, dayein aankh se kaana tha goya angoor hai jo ubhra hua hai. Main ne poochha yeh kaana kaun hai? Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh Dajjal hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة