الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب التَّعْبِيرِ
The Book of The Interpretation of Dreams
بَابُ رُؤْيَا اللَّيْلِ:
Chapter. Night dreams.
Show diacritics
Hadith Number: Q6998
رواه سمرة
Ise Samura ne riwayat kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 6998
حدثنا احمد بن المقدام العجلي، حدثنا محمد بن عبد الرحمن الطفاوي، حدثنا ايوب عن محمد، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اعطيت مفاتيح الكلم، ونصرت بالرعب، وبينما انا نائم البارحة إذ اتيت بمفاتيح خزائن الارض حتى وضعت في يدي"، قال ابو هريرة: فذهب رسول الله صلى الله عليه وسلم وانتم تنتقلونها.
`Hum se Ahmad bin Miqdam al-Ajli ne bayan kiya ‘ kaha hum se Muhammad bin Abdur Rahman al-Tafawi ne bayan kiya ‘ un se Ayub ne bayan kiya ‘ un se Muhammad ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mujhe «Mafateeh-ul-Kalim» diye gaye hain aur ru'b ke zariya meri madad ki gayi hai aur guzashta raat mein soya hua tha ke zameen ke khazanon ki kunjiyaan mere paas layi gayeen aur mere samne unhein rakh diya gaya.“ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم to is duniya se tashreef le gaye aur tum in khazanon ki kunjiyoon ko ulat pulat kar rahe ho ya nikal rahe ho ya loot rahe ho.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6999
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اراني الليلة عند الكعبة، فرايت رجلا آدم كاحسن ما انت راء من ادم الرجال، له لمة كاحسن ما انت راء من اللمم، قد رجلها تقطر ماء، متكئا على رجلين او على عواتق رجلين، يطوف بالبيت، فسالت من هذا؟، فقيل: المسيح ابن مريم، ثم إذا انا برجل جعد قطط اعور العين اليمنى كانها عنبة طافية، فسالت من هذا؟، فقيل المسيح الدجال".
`Hum se Abdullah bin Maslama ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne, un se Nafi' ne aur un se Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Raat mujhe Ka'ba ke paas (khwab mein) dikhaya gaya. Mein ne ek gandumi rang ke aadmi ko dekha wo gandumi rang ke kisi sab se khoobsurat aadmi ki tarah thay, un ke lambe khoobsurat baal thay in sab se khoobsurat baalon ki tarah jo tum dekh sake ho ge. In mein unhon ne kangha kiya hua tha aur pani un se tapak raha tha aur wo do aadmiyon ke sahare ya (yeh farmaya ke) do aadmiyon ke shanon ke sahare Baitullah ka tawaf kar rahe thay. Mein ne poocha ke yeh kaun sahab hain. Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh ibn-e-Maryam Alaihimas-Salam hain. Phir achanak mein ne ek ghoongriyale baal wale aadmi ko dekha jis ki ek aankh kaani thi aur angoor ke daane ki tarah uthi hui thi, mein ne poocha yeh kaun hai? Mujhe bataya gaya ke yeh Maseeh Dajjal hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 7000
حدثنا يحيى، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، ان ابن عباس، كان يحدث ان رجلا اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إني اريت الليلة في المنام وساق الحديث، وتابعه سليمان بن كثير، وابن اخي الزهري، وسفيان بن حسين، عن الزهري، عن عبيد الله، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال الزبيدي، عن الزهري،عن عبيد الله، ان ابن عباس، او ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال شعيب، وإسحاق بن يحيى، عن الزهري، كان ابو هريرة، يحدث عن النبي صلى الله عليه وسلم، وكان معمر لا يسنده حتى كان بعد.
`Hum se Yahya ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Yunus ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ubaidullah bin Abdullah ne ke Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke ek sahab Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein aaye aur kaha ke mein ne raat ko khwab dekha hai aur unhon ne waqia bayan kiya aur is riwayat ki mutabi'at Sulaiman bin Kaseer, Zuhri ke bhatije aur Sufyan bin Husain ne Zuhri se ki, un se Ubaidullah ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se riwayat kiya, aur Zubaidi ne Zuhri se bayan kiya, un se Ubaidullah ne aur un se Ibn Abbas aur Abu Hurairah Radi Allahu Anhuma ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se aur Shuaib aur Ishaq bin Yahya ne Zuhri se bayan kiya ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se bayan karte thay, aur Ma'mar ne ise muttasilan nahi bayan kiya lekin baad mein muttasilan bayan karne lage thay.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain