الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب من اطلع فى بيت قوم ففقئوا عينه فلا دية له:
Jis ne kisi ke ghar mein jhaanka aur unhon ne jhaankne wale ki aankh phod di to us par deet waajib nahin ho gi.
Hadith Number: 6902
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم"لو ان امرا اطلع عليك بغير إذن، فخذفته بعصاة، ففقات عينه، لم يكن عليك جناح".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Abu al-Zinad ne, in se Aaraj ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Abu al-Qasim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar koi shakhs tumhari ijazat ke baghair tumhein (jab ke tum ghar ke andar ho) jhaank kar dekhe aur tum usay kankari maar do jis se is ki aankh phoot jaye to tum par koi gunah nahi hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5924
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن سهل بن سعد، ان رجلا اطلع من جحر في دار النبي صلى الله عليه وسلم والنبي صلى الله عليه وسلم يحك راسه بالمدرى، فقال:" لو علمت انك تنظر لطعنت بها في عينك، إنما جعل الإذن من قبل الابصار".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne ke ek sahab ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke diwar ke ek surakh se ghar ke andar dekha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt apna sar kanghay se khujla rahe thay phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe maloom hota ke tum jhaank rahe ho to main tumhari aankh phorr deta are izn (ijazat) lena to is ke liye hai ke aadmi ki nazar (kisi ke) satar par na pare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6241
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال الزهري: حفظته كما انك ها هنا، عن سهل بن سعد، قال: اطلع رجل من جحر في حجر النبي صلى الله عليه وسلم، ومع النبي صلى الله عليه وسلم مدرى يحك به راسه، فقال:" لو اعلم انك تنظر، لطعنت به في عينك، إنما جعل الاستئذان من اجل البصر".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, in se Zuhri ne bayan kiya (Sufyan ne kaha ke) main ne yeh hadees Zuhri se sun kar is tarah yaad ki hai ke jaise tu is waqt yahan maujood ho aur in se Sahl bin Saad ne ke ek shakhs ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke kisi hujra mein surakh se dekha, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas is waqt ek kangha tha jis se Aap sar mubarak khuja rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is se farmaya ke agar mujhe maloom hota ke tu jhaank raha hai to yeh kangha tumhari aankh mein chabho deta (andar dakhil hone se pehle) ijazat maangna to hai hi is liye ke (andar ki koi zaati cheez) na dekhi jaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6242
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن عبيد الله بن ابي بكر، عن انس بن مالك:" ان رجلا اطلع من بعض حجر النبي صلى الله عليه وسلم، فقام إليه النبي صلى الله عليه وسلم بمشقص او بمشاقص، فكاني انظر إليه يختل الرجل ليطعنه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abi Bakr ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke ek sahab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke kisi hujra mein jhaank kar dekhne lage to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ki taraf teer ka phal ya bahut se phal le kar badhe, goya main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekh raha hoon in sahab ki taraf is tarah chupke chupke tashreef laaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6888
وبإسناده" لو اطلع في بيتك احد ولم تاذن له، خذفته بحصاة، ففقات عينه، ما كان عليك من جناح".
Aur isi asnad ke saath (riwayat hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) agar koi shakhs tere ghar mein (kisi surakh ya jangle waghaira se) tum se ijazat liye baghair jhaank raha ho aur tum usay kankari maaro jis se is ki aankh phoot jaye to tum par koi saza nahi hai na gunah ho ga na duniya ki koi saza lagu ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6889
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن حميد،" ان رجلا اطلع في بيت النبي صلى الله عليه وسلم، فسدد إليه مشقصا"، فقلت: من حدثك، قال: انس بن مالك.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Humayd ne ke ek sahab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ghar mein jhaank rahe thay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ki taraf teer ka phal barhaya tha. Main ne poochha ke yeh hadees tum se kis ne bayan ki hai? To unhon ne bayan kiya Anas bin Malik razi Allahu anhu ne.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6900
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عبيد الله بن ابي بكر بن انس، عن انس رضي الله عنه" ان رجلا اطلع من حجر في بعض حجر النبي صلى الله عليه وسلم، فقام إليه بمشقص، او بمشاقص، وجعل يختله ليطعنه".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Ubaidullah bin Abi Bakr bin Anas ne bayan kiya aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke ek aadmi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek hujra mein jhaankne laga to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam teer ka phal le kar uthe aur chahte thay ke ghaflat mein is ko maar dein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6901
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن ابن شهاب، ان سهل بن سعد الساعدي اخبره:" ان رجلا اطلع في جحر في باب رسول الله صلى الله عليه وسلم، ومع رسول الله صلى الله عليه وسلم مدرى يحك به راسه، فلما رآه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: لو اعلم انك تنتظرني، لطعنت به في عينيك، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنما جعل الإذن من قبل البصر".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne bayan kiya aur unhein Sahl bin Saad al-Saadi razi Allahu anhu ne khabar di ke ek aadmi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke darwaze ke ek surakh se andar jhaankne laga. Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas lohay ka kangha thu jis se Aap sar jhaar rahe thay. Jab Aap ne usay dekha to farmaya ke agar mujhe maloom hota ke tum mera intizar kar rahe ho to main usay tumhari aankh mein chabho deta. Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (ghar ke andar aane ka) izn lene ka hukm diya gaya hai woh isi liye to hai ke nazar na pare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة