الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب لا يقول ما شاء الله وشئت. وهل يقول أنا بالله ثم بك؟
Yun kehna mana hai ke jo Allah chahe aur aap chahein (woh ho ga) aur kya koi shakhs yun keh sakta hai ke mujh ko Allah ka aasra hai phir aap ka?
Hadith Number: 6653
وقال عمرو بن عاصم، حدثنا همام، حدثنا إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، حدثنا عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة، حدثه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن ثلاثة في بني إسرائيل اراد الله ان يبتليهم، فبعث ملكا فاتى الابرص فقال: تقطعت بي الحبال، فلا بلاغ لي إلا بالله، ثم بك"، فذكر الحديث".
Aur Amr bin Aasim ne kaha hamase Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hamase Ishaq bin Abdullah ne, kaha hamase Abd-ul-Rahman bin Abi Amrah ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke Bani Israeel mein teen shakhs thay Allah ne un ko azmana chaha (phir saara qissa bayan kiya) farishte को korhi ke paas bheija woh is se kehne laga meri rozi ke saare zariye kat gaye hain ab Allah hi ka aasra hai phir tera (ya ab Allah hi ki madad darkaar hai phir teri) phir poori hadees ko zikr kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1364
وقال حجاج بن منهال: حدثنا جرير بن حازم، عن الحسن، حدثنا جندب رضي الله عنه في هذا المسجد، فما نسينا وما نخاف ان يكذب جندب، على النبي صلى الله عليه وسلم قال: كان برجل جراح فقتل نفسه، فقال الله بدرني عبدي بنفسه حرمت عليه الجنة.
Aur Hajjaj bin Minhal ne kaha ke hum se Jarir bin Hazim ne byaan kiya ‘ un se Imam Hasan Basri ne kaha ke hum se Jundub bin Abdullah Bajli razi Allahu anhu ne isi (Basray ki) masjid mein hadees byaan ki thi na hum is hadees ko bhoole hain aur na yeh dar hai ke Jundub razi Allahu anhu ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jhoot bandha ho ga . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek shakhs ko zakham laga ‘ us ne (zakham ki takleef ki wajah se) khud ko maar daala . Is par Allah Ta'ala ne farmaya ke mere bande ne jaan nikalne mein mujh par jaldi ki . Is ki saza mein , main is par Jannat haram karta hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3464
حدثني احمد بن إسحاق، حدثنا عمرو بن عاصم، حدثنا همام، حدثنا إسحاق بن عبد الله، قال: حدثني عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة حدثه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمد حدثنا عبد الله بن رجاء، اخبرنا همام، عن إسحاق بن عبد الله، قال:اخبرني عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة رضي الله عنه حدثه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن ثلاثة في بني إسرائيل ابرص واقرع واعمى بدا لله عز وجل ان يبتليهم فبعث إليهم ملكا فاتى الابرص، فقال: اي شيء احب إليك، قال: لون حسن وجلد حسن قد قذرني الناس، قال: فمسحه فذهب عنه فاعطي لونا حسنا وجلدا حسنا، فقال: اي المال احب إليك، قال: الإبل او، قال: البقر هو شك في ذلك إن الابرص والاقرع، قال: احدهما الإبل، وقال: الآخر البقر فاعطي ناقة عشراء، فقال: يبارك لك فيها واتى الاقرع، فقال: اي شيء احب إليك، قال: شعر حسن ويذهب عني هذا قد قذرني الناس، قال: فمسحه فذهب واعطي شعرا حسنا، قال: فاي المال احب إليك، قال: البقر، قال: فاعطاه بقرة حاملا، وقال: يبارك لك فيها واتى الاعمى، فقال: اي شيء احب إليك، قال: يرد الله إلي بصري فابصر به الناس، قال: فمسحه فرد الله إليه بصره، قال: فاي المال احب إليك، قال: الغنم فاعطاه شاة والدا فانتج هذان وولد هذا فكان لهذا واد من إبل ولهذا واد من بقر ولهذا واد من غنم ثم إنه اتى الابرص في صورته وهيئته، فقال: رجل مسكين تقطعت بي الحبال في سفري فلا بلاغ اليوم إلا بالله، ثم بك اسالك بالذي اعطاك اللون الحسن والجلد الحسن والمال بعيرا اتبلغ عليه في سفري، فقال له: إن الحقوق كثيرة، فقال له: كاني اعرفك الم تكن ابرص يقذرك الناس فقيرا فاعطاك الله، فقال: لقد ورثت لكابر عن كابر، فقال: إن كنت كاذبا فصيرك الله إلى ما كنت واتى الاقرع في صورته وهيئته، فقال له: مثل ما، قال: لهذا فرد عليه مثل ما رد عليه هذا، فقال: إن كنت كاذبا فصيرك الله إلى ما كنت واتى الاعمى في صورته، فقال: رجل مسكين وابن سبيل وتقطعت بي الحبال في سفري فلا بلاغ اليوم إلا بالله ثم بك اسالك بالذي رد عليك بصرك شاة اتبلغ بها في سفري، فقال: قد كنت اعمى فرد الله بصري وفقيرا فقد اغناني فخذ ما شئت فوالله لا اجهدك اليوم بشيء اخذته لله، فقال: امسك مالك فإنما ابتليتم فقد رضي الله عنك وسخط على صاحبيك".
Mujh se Ahmad Bin Ishaq ne bayan kiya kaha hum se Amr Bin Asim ne bayan kiya un se Hammam ne bayan kiya un se Ishaq Bin Abdullah ne bayan kiya kaha mujh se Abdur Rahman Bin Abi Hamzah ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna (doosri sanad) aur mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha hum se Abdullah Bin Rajaa ne bayan kiya unhein Hammam ne khabar di un se Ishaq Bin Abdullah ne bayan kiya unhein Abdur Rahman Bin Abi Amrah ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Bani Israel mein teen shakhs thay ek korhi doosra andha aur teesra ganja Allah Ta'ala ne chaha ke un ka imtihan le. Chunancha Allah Ta'ala ne un ke pas ek farishta bheja. Farishta pehle korhi ke pas aaya aur is se poocha ke tumhein sab se zyada kya cheez pasand hai? Is ne jawab diya ke accha rang aur acchi chamri kyunke mujh se log parhez karte hain. Bayan kiya ke farishte ne is par apna hath phera to is ki bimari door ho gayi aur is ka rang bhi khubsurat ho gaya aur chamri bhi acchi ho gayi. Farishte ne poocha kis tarah ka maal tum zyada pasand karo ge? Is ne kaha ke ont! Ya is ne gaye kahi Ishaq Bin Abdullah ko is silsile mein shak tha ke korhi aur ganje dono mein se ek ne ont ki khwahish ki thi aur doosre ne gaye ki. Chunancha ise hamila ontni di gayi aur kaha gaya ke Allah Ta'ala tumhein is mein barkat de ga phir farishta ganje ke pas aaya aur is se poocha ke tumhein kya cheez pasand hai? Is ne kaha ke umda baal aur maujooda aib mera khatam ho jaye kyunke log is ki wajah se mujh se parhez karte hain. Bayan kiya ke farishte ne is ke sar par hath phera aur is ka aib jata raha aur is ke bajaye umda baal aa gaye. Farishte ne poocha kis tarah ka maal pasand karo ge? Is ne kaha ke gaye! Bayan kiya ke farishte ne ise hamila gaye de di aur kaha ke Allah Ta'ala is mein barkat de ga. Phir andhay ke pas farishta aaya aur kaha ke tumhein kya cheez pasand hai? Is ne kaha ke Allah Ta'ala mujhe aankhon ki roshni de de taake mein logon ko dekh sakoon. Bayan kiya ke farishte ne hath phera aur Allah Ta'ala ne is ki binayi ise wapas de di. Phir poocha ke kis tarah ka maal tum pasand karo ge? Is ne kaha ke bakriyan! Farishte ne ise hamila bakri de di. Phir teenon janwaron ke bacche paida hue yahan tak ke korhi ke onton se is ki waadi bhar gayi ganje ki gaye bail se is ki waadi bhar gayi aur andhay ki bakriyon se is ki waadi bhar gayi. Phir dobara farishta apni isi pehli shakal mein korhi ke pas aaya aur kaha ke mein ek nihayat miskeen-o-faqeer aadmi hoon safar ka tamam saman-o-asbab khatam ho chuka hai aur Allah Ta'ala ke siwa aur kisi se hajat poori hone ki umeed nahi lekin mein tum se isi zaat ka wasta de kar jis ne tumhein accha rang aur accha chamra aur maal ata kiya ek ont ka sawal karta hoon jis se safar ko poora kar sakoon. Is ne farishte se kaha ke mere zimma huqooq aur bahut se hain. Farishta ne kaha ghaliban mein tumhein pehchanta hoon kya tumhein korh ki bimari nahi thi jis ki wajah se log tum se ghin khate thay. Tum ek faqeer aur qallash thay. Phir tumhein Allah Ta'ala ne ye cheezon ata kiein? Is ne kaha ke ye sari doulat to mere baap dada se chali aa rahi hai. Farishte ne kaha ke agar tum jhoote ho to Allah tumhein apni pehli halat par louta de. Phir farishta ganje ke pas apni isi pehli surat mein aaya aur is se bhi wohi darkhwast ki aur is ne bhi wohi korhi wala jawab diya. Farishte ne kaha ke agar tum jhoote ho to Allah Ta'ala tumhein apni pehli halat par louta de. Is ke baad farishta andhay ke pas aaya apni isi pehli surat mein aur kaha ke mein ek miskeen aadmi hoon safar ke tamam saman khatam ho chuke hain aur siwa Allah Ta'ala ke kisi se hajat poori hone ki tawaqqo nahi. Mein tum se is zaat ka wasta de kar jis ne tumhein tumhari binayi wapas di hai ek bakri mangta hoon jis se apne safar ki zarooriyat poori kar sakoon. Andhay ne jawab diya ke waqai mein andha tha aur Allah Ta'ala ne mujhe apne fazal se binayi ata farmayi aur waqai mein faqeer-o-muhtaj tha aur Allah Ta'ala ne mujhe maldar banaya. Tum jitni bakriyan chaho le sakte ho Allah ki qasam jab tum ne Allah ka wasta diya hai to jitna bhi tumhara ji chahe le jao mein tumhein hargiz nahi rok sakta. Farishte ne kaha ke tum apna maal apne pas rakkho ye to sirf imtihan tha aur Allah Ta'ala tum se raazi aur khush hai aur tumhare dono saathiyon se naraz hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6047
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا عثمان بن عمر، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي قلابة، ان ثابت بن الضحاك، وكان من اصحاب الشجرة، حدثه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من حلف على ملة غير الإسلام فهو كما قال، وليس على ابن آدم نذر فيما لا يملك، ومن قتل نفسه بشيء في الدنيا عذب به يوم القيامة، ومن لعن مؤمنا فهو كقتله، ومن قذف مؤمنا بكفر فهو كقتله".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Usman bin Amr ne, kaha hum se Ali bin Mubarak ne bayan kiya, in se Yahya bin Abi Kaseer ne, in se Abu Qulabah ne ke Sabit bin Dah-haak razi Allahu anhu as-haab e shajar (bai-at e rizwan karne walon) mein se thay, unhon ne in se bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo Islam ke siwa kisi aur mazhab par qasam khaye (ke agar main ne falan kaam kiya to main nasrani hoon, Yahudi hoon) to woh aisa ho jaye ga jaise ke us ne kaha aur kisi insan par in cheezon ki nazr sahih nahi hoti jo is ke ikhtiyar mein na hon aur jis ne duniya mein kisi cheez se khud-kushi kar li usay isi cheez se aakhirat mein azab ho ga aur jis ne kisi Musalman par lanat bheji to yeh is ke khoon karne ke barabar hai aur jo shakhs kisi Musalman ko kafir kahe to woh aisa hai jaise is ka khoon kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6105
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" من حلف بملة غير الإسلام كاذبا فهو كما قال، ومن قتل نفسه بشيء عذب به في نار جهنم، ولعن المؤمن كقتله، ومن رمى مؤمنا بكفر فهو كقتله".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne bayan kiya, in se Abu Qulabah ne, in se Sabit bin Dah-haak razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhoot moot qasam khayi to woh waisa hi ho jata hai, jis ki us ne qasam khayi hai aur jis ne kisi cheez se khud-kushi kar li to usay jahannum mein isi se azab diya jaye ga aur momin par lanat bhejna usay qatl karne ke barabar hai aur jis ne kisi momin par kufr ki tuhmat lagayi to yeh is ke qatl ke barabar hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة