الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْأَدَبِ
The Book of Al-Adab (Good Manners)
بَابُ مَنْ كَفَّرَ أَخَاهُ بِغَيْرِ تَأْوِيلٍ فَهْوَ كَمَا قَالَ:
Chapter. Whoever calls his brother a Kafir (disbeliever) without any grounds, and he does not think that he is such, then he himself is such, what he says.
Show diacritics
Hadith Number: 6103
حدثنا محمد، واحمد بن سعيد، قالا: حدثنا عثمان بن عمر، اخبرنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا قال الرجل لاخيه يا كافر فقد باء به احدهما"، وقال عكرمة بن عمار، عن يحيى، عن عبد الله بن يزيد، سمع ابا سلمة، سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Yahya Zhahli (ya Muhammad bin Bashar) aur Ahmad bin Saeed Darami ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Usman bin Amr ne bayan kiya, kaha hum ko Ali bin Mubarak ne khabar di, unhein Yahya bin Abi Kaseer ne, unhein Abu Salamah ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab koi shakhs apne kisi bhai ko kehta hai ke Ae kafir! to in donon mein se ek kafir ho gaya.“ Aur Ikrimah bin Ammar ne Yahya se bayan kiya ke in se Abdullah bin Yazid ne kaha, unhon ne Abu Salamah se suna aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6104
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" ايما رجل قال لاخيه يا كافر فقد باء بها احدهما".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik rahmahullah ne bayan kiya, in se Abdullah bin Dinar ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis shakhs ne bhi apne kisi bhai ko kaha ke Ae kafir! to in donon mein se ek kafir ho gaya.“


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6105
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ايوب، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" من حلف بملة غير الإسلام كاذبا فهو كما قال، ومن قتل نفسه بشيء عذب به في نار جهنم، ولعن المؤمن كقتله، ومن رمى مؤمنا بكفر فهو كقتله".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne bayan kiya, in se Abu Qulabah ne, in se Sabit bin Dah-haak razi Allahu anhu ne aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhoot moot qasam khayi to woh waisa hi ho jata hai, jis ki us ne qasam khayi hai aur jis ne kisi cheez se khud-kushi kar li to usay jahannum mein isi se azab diya jaye ga aur momin par lanat bhejna usay qatl karne ke barabar hai aur jis ne kisi momin par kufr ki tuhmat lagayi to yeh is ke qatl ke barabar hai.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain