الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب صفة الجنة والنار:
Jannat o Jahannam ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6548
حدثنا معاذ بن اسد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عمر بن محمد بن زيد، عن ابيه، انه حدثه، عن ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا صار اهل الجنة إلى الجنة، واهل النار إلى النار، جيء بالموت حتى يجعل بين الجنة والنار، ثم يذبح، ثم ينادي مناد: يا اهل الجنة، لا موت، ويا اهل النار، لا موت، فيزداد اهل الجنة فرحا إلى فرحهم، ويزداد اهل النار حزنا إلى حزنهم".
Hum se Maaz bin Asad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Amr bin Muhammad bin Zayd ne khabar di , unhein in ke walid ne , in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab ahal e jannat jannat mein chale jayein ge aur ahal e dozakh dozakh mein chale jayein ge to maut ko laya jaye ga aur usay jannat aur dozakh ke darmiyan rakh kar zibah kar diya jaye ga . Phir ek aawaz dene wala aawaz de ga ke Ae jannat walo! Tumhein اب maut nahi aaye gi aur Ae dozakh walo! Tumhein bhi اب maut nahi aaye gi . Is baat se jannati aur zyada khush ho jayein ge aur jahannumi aur zyada gham-geen ho jayein ge .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4730
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يؤتى بالموت كهيئة كبش املح، فينادي مناد: يا اهل الجنة، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، ثم ينادي: يا اهل النار، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، فيذبح، ثم يقول: يا اهل الجنة، خلود فلا موت، ويا اهل النار: خلود فلا موت، ثم قرا وانذرهم يوم الحسرة إذ قضي الامر وهم في غفلة سورة مريم آية 39 وهؤلاء في غفلة اهل الدنيا وهم لا يؤمنون سورة مريم آية 39".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , hum se Aamash ne , hum se Abu Salih ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din maut ek chit-kabre mendhay ki shakal mein layi jaye gi . Ek aawaz dene wala farishta aawaz de ga ke ae Jannat walo! Tamam jannati gardan utha utha kar dekhein ge , aawaz dene wala farishta pooche ga . Tum is mendhay ko bhi pehchante ho ? Woh bolien ge ke haan , yeh maut hai aur in se har shakhs is ka zaiqa chakh chuka ho ga . Phir usay zibah kar diya jaye ga aur aawaz dene wala jannatiyon se kahe ga ke ab tumhare liye hameshi hai , maut tum par kabhi na aaye gi aur ae Jahannum walo! Tumhein bhi hamesha isi tarah rehna hai , tum par bhi maut kabhi nahi aaye gi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat tilawat ki «wa anzhirhum yawmal hasrati izh qudiyal amru wa hum fee ghaflatin» al-kh ”aur unhein hasrat ke din se dra do . Jabke akheer faisla kar diya jaye ga aur yeh log ghaflat mein pare huay hain (yani dunyadar log) aur iman nahi laate .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5644
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني محمد بن فليح، قال: حدثني ابي، عن هلال بن علي من بني عامر بن لؤي، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" قال رسول الله صلى الله عليه وسلم مثل المؤمن كمثل الخامة من الزرع، من حيث اتتها الريح كفاتها، فإذا اعتدلت تكفا بالبلاء، والفاجر كالارزة، صماء معتدلة حتى يقصمها الله إذا شاء".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad bin Falih ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid ne, in se Bani Aamir bin Luway ke ek mard Hilal bin Ali ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin ki misal paude ki pehli nikli hui hari shakh jaisi hai ke jab bhi hawa chalti hai usay jhuka deti hai phir woh seedha ho kar musibat bardasht karne mein kamyab ho jata hai aur bad-kaar ki misal sanobar ke darakht jaisi hai ke sakht hota hai aur seedha khara rehta hai yahan tak ke Allah Ta'ala jab chahta hai usay ukharr kar phenk deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6544
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، حدثنا نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يدخل اهل الجنة الجنة، واهل النار النار، ثم يقوم مؤذن بينهم: يا اهل النار، لا موت، ويا اهل الجنة، لا موت، خلود".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hamase hamare walid ne bayan kiya , in se Salih ne , kaha hamase Nafi ne bayan kiya aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jab ahal e jannat jannat mein aur ahal e jahannum jahannum mein dakhil ho jayein ge to ek aawaz dene wala in ke darmiyan khara ho kar pukare ga ke Ae jahannum walo! Ab tumhein maut nahi aaye gi aur Ae jannat walo! Tumhein bhi maut nahi aaye gi balkay hamesha yahien rehna ho ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة