الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب كيف الحشر:
Hashr ki kaifiyat ke bayaan mein.
Hadith Number: 6526
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن المغيرة بن النعمان، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: قام فينا النبي صلى الله عليه وسلم، يخطب فقال:" إنكم محشورون حفاة عراة غرلا، كما بدانا اول خلق نعيده سورة الانبياء آية 104 الآية، وإن اول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم، وإنه سيجاء برجال من امتي فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول يا رب: اصحابي، فيقول: إنك لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول كما قال العبد الصالح: وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله: الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118، قال: فيقال: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Ghundar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Mugheera bin Nu-man ne bayan kiya , in se Saeed bin Jubayr ne , in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamain khutba dene ke liye khare huay aur farmaya ”tum log Qayamat ke din is haal mein jama kiye jao ge ke nange paon aur nange jism ho ge . Jaisa ke Allah Ta'ala ne farmaya «kamaa bada'naa awwala khalqin nueeduhoo» ke ”jis tarah hum ne shuru mein paida kiya tha isi tarah lauta dein ge .“ Aur tamam makhlooqat mein sab se pehle jise kapra pehnaya jaye ga woh Ibrahim alaihissalam hon ge aur meri ummat ke bahut se log laaye jayein ge jin ke aamal-name bayein hath mein hon ge . Main is par kahoon ga: Ae mere Rabb! Yeh to mere saathi hain . Allah Ta'ala farmaye ga tumhein maloom nahi ke unhon ne tumhare baad kya kya nayi nayi bidaat nikali thien . Is waqt main bhi wahi kahoon ga jo naik bande (Esa alaihissalam) ne kaha «wa kuntu alaihim shaheedam-maa dumtu feehim» ke ”ya Allah! Main jab tak in mein maujood raha is waqt tak main in par gawah tha .“ Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bayan kiya ke farishte (mujh se) kahein ge ke yeh log hamesha apni aerhiyon ke bal phirte hi rahe (murtad hote rahe) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3349
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا المغيرة بن النعمان، قال: حدثني سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنكم محشورون حفاة عراة غرلا، ثم قرا كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 واول من يكسى يوم القيامة إبراهيم، وإن اناسا من اصحابي يؤخذ بهم ذات الشمال فاقول: اصحابي، اصحابي، فيقول: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم فاقول كما، قال: العبد الصالح وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني إلى قوله العزيز الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, un se Mugheera Bin Numan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Said Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum log hashar mein nange paon, nange jism aur bin-khatna uthaye jao ge." Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ayat ki tilawat ki "kama bada-na awwala khalqin nu-iduhu wa-dan alaina inna kunna fa-ileena" "Jaisa ke hum ne paida kiya tha pehli martaba, hum aise hi lautayeinge. Ye hamari taraf se ek waada hai jis ko hum poora kar ke raheinge (Surah Al-Anbiya). Aur anbiya mein sab se pehle Ibrahim Alaihis Salam ko kapda pehnaya jaye ga aur mere ashab mein se baaz ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga to mein pukar utthoon ga ke ye to mere ashab hain, mere ashab! Lekin mujhe bataya jaye ga ke Aap ki wafat ke baad in logon ne phir kufr ikhtiyar kar liya tha. Is waqt mein bhi wahi jumla kahoon ga jo naik bande (Isa Alaihis Salam) kaheinge 'wa-kuntu alaihim shahīdan ma dumtu fīhim' 'Jab tak mein un ke sath tha un par nigran tha.' Allah Ta'ala ke irshad 'al-Hakeemu' tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3447
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن المغيرة بن النعمان، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" تحشرون حفاة عراة غرلا ثم قرا كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 فاول من يكسى إبراهيم ثم يؤخذ برجال من اصحابي ذات اليمين وذات الشمال فاقول اصحابي، فيقال: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم، فاقول: كما قال العبد الصالح عيسى ابن مريم وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني كنت انت الرقيب عليهم وانت على كل شيء شهيد {117} إن تعذبهم فإنهم عبادك وإن تغفر لهم فإنك انت العزيز الحكيم {118} سورة المائدة آية 117-118، قال محمد بن يوسف الفربري ذكر عن ابي عبد الله عن قبيصة قال هم المرتدون الذين ارتدوا على عهد ابي بكر فقاتلهم ابو بكر رضي الله عنه.
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Sufyan ne unhon ne kaha ke hum se Mugheerah Bin Numaan ne unhein Saeed Bin Jubair ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "(Qiyamat ke din) tum log nange paon nange badan aur baghair khatna ke uthaye jao ge. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is aayat ki tilawat ki "Jis tarah hum ne unhein pehli martaba paida kiya tha isi tarah hum dobara loutayein ge ye hamari jaanib se waada hai aur beshak hum ise karne wale hain." Phir sab se pehle Ibrahim (Alaihis Salam) ko kapra pehnaya jaye ga. Phir mere as-hab ko dahni (jannat ki) taraf le jaya jaye ga. Lekin kuch ko bain (jahannam ki) taraf le jaya jaye ga. Mein kahoon ga ke ye to mere as-hab hain lekin mujhe bataya jaye ga ke jab aap un se juda hue to isi waqt unhon ne irtidad ikhtiyar kar liya tha. Mein is waqt wohi kahoon ga jo Abde-Saleh Isa Ibn Maryam (Alaihimas Salam) ne kaha tha ke jab tak mein un mein maujood tha un ki nigraani karta raha lekin jab tu ne mujhe utha liya to tu hi un ka nigahban hai aur tu har cheez par nigahban hai. Aayat «al-azizul hakeemu» tak. Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya ke Abu Abdullah se riwayat hai aur un se Qabisah ne bayan kiya ke ye wo murtadeen hain jinhon ne Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ke ahd-e-khilafat mein kufr ikhtiyar kiya tha aur jin se Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne jung ki thi
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4625
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، اخبرنا المغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: خطب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" يا ايها الناس إنكم محشورون إلى الله حفاة عراة غرلا، ثم قال: كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 إلى آخر الآية، ثم قال: الا وإن اول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم، الا وإنه يجاء برجال من امتي، فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول: يا رب اصحابي، فيقال: إنك لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول: كما قال العبد الصالح، وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني كنت انت الرقيب عليهم وانت على كل شيء شهيد سورة المائدة آية 117، فيقال:" إن هؤلاء لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne khutba diya aur farmaya ke ae logo! Tum Allah ke paas jama kiye jao ge , nange paon nange jism aur baghair khatna ke , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi «kama bada'na awwala khalqin nueeduhu waadan alayna inna kunna failina» ”jis tarah hum ne awwal baar paida karne ke waqt ibtida ki thi , isi tarah usay dobara zinda kar dein ge , hamare zimma waada hai , hum zaroor usay kar ke hi rahein ge .“ Aakhir aayat tak . Phir farmaya Qayamat ke din tamam makhlooq mein sab se pehle Ibrahim alaihissalam ko kapra pehnaya jaye ga . Haan aur meri ummat ke kuch logon ko laya jaye ga aur unhein jahannum ki bayein taraf le jaya jaye ga . Main arz karoon ga , mere Rabb! Yeh to mere ummati hain ? Mujh se kaha jaye ga , Aap ko nahi maloom hai ke unhon ne Aap ke baad nayi nayi baatein shariat mein nikali thien . Is waqt main bhi wahi kahoon ga jo Abd e Salih Esa alaihissalam ne kaha ho ga «wa kuntu alayhim shaheedan ma dumtu feehim falamma tawaffaytani kunta antar-raqeeba alayhim» ke ”main un ka haal dekhta raha jab tak main un ke darmiyan raha , phir jab tu ne mujhe utha liya (jab se) tu hi un par nigran hai .“ Mujhe bataya jaye ga ke Aap ki judayi ke baad yeh log deen se phir gaye thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4626
حدثنا محمد بن كثير، حدثنا سفيان، حدثنا المغيرة بن النعمان، قال: حدثني سعيد بن جبير، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إنكم محشورون، وإن ناسا يؤخذ بهم ذات الشمال فاقول: كما قال العبد الصالح: وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله العزيز الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Mugheerah bin Numan ne byaan kiya , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein Qayamat ke din jama kiya jaye ga aur kuch logon ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga . Is waqt main wahi kahoon ga jo naik bande ne kaha ho ga «wa kuntu alayhim shaheedan ma dumtu feehim» ”main un ka haal dekhta raha jab tak main un ke darmiyan raha“ aakhir aayat «al-azeezul hakeem» tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4740
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن المغيرة بن النعمان شيخ من النخع، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: خطب النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" إنكم محشورون إلى الله حفاة عراة غرلا: كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104، ثم إن اول من يكسى يوم القيامة إبراهيم الا إنه يجاء برجال من امتي فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول: يا رب، اصحابي، فيقال: لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول: كما قال العبد الصالح، وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله شهيد سورة المائدة آية 117، فيقال إن هؤلاء لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Mugheerah bin Numan ne jo qabila Nakhai ka ek burha tha , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek din khutba sunaya . Farmaya tum Qayamat ke din Allah ke samne nange paon nange badan be-khatna hashr kiye jao ge jaisa ke irshad e Baari hai «kama bada'na awwala khalqin nueeduhu waadan alayna inna kunna failina» phir sab se pehle Qayamat ke din Ibrahim alaihissalam ko kapre pehnaye jayein ge . Sun lo! Meri ummat ke kuch log laye jayein ge farishte un ko pakar kar bayein taraf wale dozakhiyon mein le jayein ge . Main arz karoon ga Parvardigar! Yeh to mere saath wale hain . Irshad ho ga tum nahi jaante unhon ne tumhari wafat ke baad kya kya kartoot kiye hain . Is waqt main wahi kahoon ga jo Allah ke naik bande Esa alaihissalam ne kaha ke main jab tak in logon mein raha un ka haal dekhta raha aakhir aayat tak . Irshad ho ga yeh log apni eeriyon ke bal Islam se phir gaye jab tu un se juda hua .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6524
حدثنا علي، حدثنا سفيان، قال عمرو، سمعت سعيد بن جبير، سمعت ابن عباس، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إنكم ملاقو الله حفاة عراة مشاة غرلا"، قال سفيان: هذا مما نعد ان ابن عباس سمعه من النبي.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya ke Amr bin Dinar ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum Allah se Qayamat ke din nange paon , nange badan aur paidal chal kar bin khatna milo ge .“ Sufyan ne kaha ke yeh hadees in (nau ya das hadeeson) mein se hai jin ke mutalliq hum samajhte hain ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khud in ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6525
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يخطب على المنبر، يقول:" إنكم ملاقو الله حفاة عراة غرلا".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , in se Amr bin Dinar ne bayan kiya , in se Saeed bin Jubayr ne , in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna ke Aap mimbar par khutba mein farma rahe thay ke tum Allah Ta'ala se is haal mein milo ge ke nange paon , nange jism aur baghair khatna ho ge .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6527
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا خالد بن الحارث، حدثنا حاتم بن ابي صغيرة، عن عبد الله بن ابي مليكة، قال: حدثني القاسم بن محمد بن ابي بكر، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" تحشرون حفاة عراة غرلا"، قالت عائشة: فقلت يا رسول الله: الرجال والنساء ينظر بعضهم إلى بعض، فقال:" الامر اشد من ان يهمهم ذاك".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Haris ne bayan kiya , kaha hum se Hatim bin Abi Sagheera ne bayan kiya , in se Abdullah bin Abi Mulaykah ne bayan kiya , kaha ke mujh se Qasim bin Muhammad bin Abi Bakr ne bayan kiya aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”tum nange paon , nange jism , bila khatna ke uthaye jao ge .“ Aisha razi Allahu anha farmati hain ke is par main ne poochha: ya Rasool Allah! To kya mard auratein ek doosre ko dekhte hon ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is waqt muamla is se kahin zyada sakht ho ga , is ka khayal bhi koi nahi kar sake ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة