الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الدعوات
Kitab: Duaon ke bayan mein
باب الدعاء برفع الوباء والوجع:
Dua se waba aur pareshaani door ho jaati hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6372
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اللهم حبب إلينا المدينة، كما حببت إلينا مكة، او اشد وانقل حماها إلى الجحفة، اللهم بارك لنا في مدنا وصاعنا".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «allaahumma habbib ilainal-madeenata kamaa habbabta ilainaa makkata au ashadda, wan-qul hummaahaa ilal-juhfati, allaahumma baarik lanaa fee muddinnaa wa saa-inaa» ”Ae Allah! Hamare dil mein Madinah ki aaisi hi mohabbat paida kar de jaisi tu ne Makkah ki mohabbat hamare dil mein paida ki hai balkay is se bhi zyada aur is ke bukhar ko Juhfa mein muntaqil kar de, Ae Allah! Hamare liye hamare mudd aur saa mein barkat ata farma.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1889
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة وعك ابو بكر، وبلال، فكان ابو بكر إذا اخذته الحمى، يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله وكان بلال إذا اقلع عنه الحمى يرفع عقيرته، يقول: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل يبدون لي شامة وطفيل قال: اللهم العن شيبة بن ربيعة، وعتبة بن ربيعة، وامية بن خلف، كما اخرجونا من ارضنا إلى ارض الوباء، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة او اشد، اللهم بارك لنا في صاعنا وفي مدنا وصححها لنا، وانقل حماها إلى الجحفة"، قالت: وقدمنا المدينة وهي اوبا ارض الله، قالت: فكان بطحان يجري نجلا تعني ماء آجنا.
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madinah tashreef laye to Abu Bakr aur Bilal (Radi Allahu Anhuma) bukhar mein mubtala ho gaye, Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) jab bukhar mein mubtala hue to ye sher parhte: Har aadmi apne ghar walon mein subah karta hai halankay is ki maut is ki jooti ke tasmay se bhi zyada kareeb hai. Aur Bilal (Radi Allahu Anhu) ka jab bukhar utarta to aap buland awaz se ye ashaar parhte: Kash! mein ek raat Makkah ki wadi mein guzar sakta aur mere charon taraf idhkhir aur jaleel (ghaas) hotein. Kash! ek din mein Majannah ke pani par pohanchta aur kash! mein Shamah aur Tufail (paharon) ko dekh sakta. Kaha ke ae mere Allah! Shaiba Bin Rabeeah, Utba Bin Rabeeah aur Umayyah Bin Khalaf mardoodon par lanat kar. Unhon ne apne watan se is waba ki zameen mein nikala hai. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye sun kar farmaya ae Allah! hamare dilon mein Madinah ki mohabbat isi tarah paida kar de jis tarah Makkah ki mohabbat hai balkay is se bhi zyada! ae Allah! hamare saa aur hamare mudd mein barkat ata farma aur Madinah ki aab-o-hawa hamare liye sehat khaiz kar de yahan ke bukhar ko Juhfa mein bhej de. Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab hum Madinah aaye to ye Allah ki sab se zyada waba wali sar zameen thi. Unhon ne kaha Madinah mein Buthan nami ek nala se zara zara bad-maza aur bad-boodar pani baha karta tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3926
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها , انها قالت:" لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة وعك ابو بكر , وبلال، قالت: فدخلت عليهما، فقلت: يا ابت كيف تجدك , ويا بلال كيف تجدك؟ قالت: فكان ابو بكر إذا اخذته الحمى يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله وكان بلال إذا اقلع عنه الحمى يرفع عقيرته ويقول: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل يبدون لي شامة وطفيل قالت عائشة: فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبرته , فقال:" اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة او اشد وصححها , وبارك لنا في صاعها ومدها , وانقل حماها فاجعلها بالجحفة".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Malik ne khabar di, unhein Hisham Bin Urwah ne, unhein un ke walid Urwah Bin Zubair ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke jab Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Madinah tashreef laye to Abu Bakr aur Bilal Radi Allahu Anhuma ko bukhar charha aaya, mein un ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya: Walid sahib! Aap ki tabiyat kaisi hai? Unhon ne bayan kiya ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ko jab bukhar charha to ye sher parhne lage. ”Har shakhs apne ghar walon ke sath subah karta hai aur maut to joti ke tasme se bhi zyada qareeb hai.“ Aur Bilal Radi Allahu Anhu ke bukhar mein jab kuch takhfeef hoti to zor zor se rote aur ye sher parhte ”kash mujhe ye maloom ho jata ke kabhi mein ek raat bhi wadi-e-Makkah mein guzar sakoon ga jab ke mere ard-gird (khushbudar ghaas) izkhir aur jaleel hon gi, aur kya ek din bhi mujhe aisa mil sake ga jab mein maqam-e-Majannah ke pani par jaoon ga aur kya Shamah aur Tufail ki pahariyon ko ek nazar dekh sakoon ga.“ Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke phir mein aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hui aur aap ko ittila di to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dua ki «Allahumma habbib ilaynal Madinata kahubbina Makkata au ashadda, wa sahhih-ha wa barik lana fi sa'i-ha wa muddi-ha, wanqul humma-ha faj'al-ha bil Juhfati» ”Ay Allah! Madinah ki mohabbat hamare dil mein itni paida kar de jitni Makkah ki thi balkay is se bhi zyada, yahan ki aab o hawa ko sehat bakhsh bana. Hamare liye yahan ke sa' aur mudd (anaaj napne ke paimane) mein barkat inayat farma aur yahan ke bukhar ko maqam-e-Juhfah mein bhej de
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5654
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة انها قالت: لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة، وعك ابو بكر، وبلال رضي الله عنهما، قالت: فدخلت عليهما، قلت: يا ابت كيف تجدك؟ ويا بلال كيف تجدك؟ قالت: وكان ابو بكر إذا اخذته الحمى يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله، وكان بلال إذا اقلعت عنه يقول: الا ليت شعري، هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل تبدون لي شامة وطفيل، قالت عائشة: فجئت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبرته، فقال:" اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة، او اشد، اللهم وصححها وبارك لنا في مدها، وصاعها، وانقل حماها فاجعلها بالجحفة".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Hijrat kar ke Madinah tashreef laaye to Abu Bakr razi Allahu anhu aur Bilal razi Allahu anhu ko bukhar ho gaya. Bayan kiya ke phir main in ke paas (iyadat ke liye) gayi aur poochha, muhtaram walid buzurgwar Aap ka mizaj kaisa hai? Bilal razi Allahu anhu se bhi poochha ke Aap ka kya haal hai? Bayan kiya ke jab Abu Bakr razi Allahu anhu ko bukhar hua to woh yeh shair parha karte thay ”har shakhs apne ghar walon mein subah karta hai aur maut is ke tasme se bhi zyada qareeb hai.“ Aur Bilal razi Allahu anhu ko jab afaqa hota to yeh shair parhte thay ”kaash mujhe maloom hota ke kya phir ek raat waadi mein guzar sakoon ga aur mere charon taraf izkhir aur jaleel (Makkah Mukarramah ki ghaas) ke jangal hon ge aur kya main kabhi Mijannah (Makkah se chand meel ke fasila par ek bazaar) ke pani par utroon ga aur kya phir kabhi Shamah aur Tufail (Makkah ke qareeb do paharon) ko main apne samne dekh sakoon ga.“ Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke phir main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur Aap ko is ki ittila di Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi ke Ae Allah! Hamare dil mein Madinah ki mohabbat bhi itni hi kar de jitni Makkah ki mohabbat hai balkay is se bhi zyada aur is ki aab o hawa ko hamare muwafiq kar de aur hamare liye is ke mudd aur saa mein barkat ata farma, Allah is ka bukhar kahin aur jagah muntaqil kar de usay Maqam e Juhfa mein bhej de.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة