الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب فَضَائِلِ الْمَدِينَةِ
The Book About The Virtues Or Al-Madina.
بَابٌ:
Chapter.
Show diacritics
Hadith Number: 1888
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن عبيد الله بن عمر، قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما بين بيتي ومنبري روضة من رياض الجنة، ومنبري على حوضي".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah Bin Umar ne bayan kiya ke mujh se Khubaib Bin Abdur Rahman ne bayan kiya, un se Hafs Bin Asim ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mere ghar aur mere minbar ke darmiyan (wali jagah) jannat ke baghon mein se ek bagh hai aur mera minbar qayamat ke din mere hauz (Kauthar) par ho ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1889
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة وعك ابو بكر، وبلال، فكان ابو بكر إذا اخذته الحمى، يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله وكان بلال إذا اقلع عنه الحمى يرفع عقيرته، يقول: الا ليت شعري هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل يبدون لي شامة وطفيل قال: اللهم العن شيبة بن ربيعة، وعتبة بن ربيعة، وامية بن خلف، كما اخرجونا من ارضنا إلى ارض الوباء، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة او اشد، اللهم بارك لنا في صاعنا وفي مدنا وصححها لنا، وانقل حماها إلى الجحفة"، قالت: وقدمنا المدينة وهي اوبا ارض الله، قالت: فكان بطحان يجري نجلا تعني ماء آجنا.
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Madinah tashreef laye to Abu Bakr aur Bilal (Radi Allahu Anhuma) bukhar mein mubtala ho gaye, Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) jab bukhar mein mubtala hue to ye sher parhte: Har aadmi apne ghar walon mein subah karta hai halankay is ki maut is ki jooti ke tasmay se bhi zyada kareeb hai. Aur Bilal (Radi Allahu Anhu) ka jab bukhar utarta to aap buland awaz se ye ashaar parhte: Kash! mein ek raat Makkah ki wadi mein guzar sakta aur mere charon taraf idhkhir aur jaleel (ghaas) hotein. Kash! ek din mein Majannah ke pani par pohanchta aur kash! mein Shamah aur Tufail (paharon) ko dekh sakta. Kaha ke ae mere Allah! Shaiba Bin Rabeeah, Utba Bin Rabeeah aur Umayyah Bin Khalaf mardoodon par lanat kar. Unhon ne apne watan se is waba ki zameen mein nikala hai. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye sun kar farmaya ae Allah! hamare dilon mein Madinah ki mohabbat isi tarah paida kar de jis tarah Makkah ki mohabbat hai balkay is se bhi zyada! ae Allah! hamare saa aur hamare mudd mein barkat ata farma aur Madinah ki aab-o-hawa hamare liye sehat khaiz kar de yahan ke bukhar ko Juhfa mein bhej de. Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab hum Madinah aaye to ye Allah ki sab se zyada waba wali sar zameen thi. Unhon ne kaha Madinah mein Buthan nami ek nala se zara zara bad-maza aur bad-boodar pani baha karta tha
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1890
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن خالد بن يزيد، عن سعيد بن ابي هلال، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، عن عمر رضي الله عنه، قال:" اللهم ارزقني شهادة في سبيلك، واجعل موتي في بلد رسولك صلى الله عليه وسلم"، وقال ابن زريع، عن روح بن القاسم، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، عن حفصة بنت عمر رضي الله عنه، قالت: سمعت عمر، نحوه، وقال هشام: عن زيد، عن ابيه، عن حفصة، سمعت عمررضي الله عنه.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Khalid Bin Yazid ne, un se Saeed Bin Abi Hilal ne, un se Zaid Bin Aslam ne, un se un ke walid ne aur un se Umar (Radi Allahu Anhu) ne jo farmaya karte thay ae Allah! mujhe apne raste mein shahadat ata kar aur meri maut apne Rasul (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke shehar mein muqaddar kar de. Ibn Zuraie ne Rooh Bin Qasim se, unhon ne Zaid Bin Aslam se, unhon ne apni walda se, unhon ne Hafsa Bint Umar (Radi Allahu Anhuma) se bayan kiya ke mein ne Umar (Radi Allahu Anhu) se isi tarah suna tha, Hisham ne bayan kiya, un se Zaid ne, un se un ke walid ne, un se Hafsa (Radi Allahu Anha) ne ke mein ne Umar (Radi Allahu Anhu) se suna phir yehi hadees riwayat ki
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain