الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب الحذر من الغضب:
Ghusse se parhez karna Allah Taala ke farmaan (Surat Ash-Shura) ki wajah se.
Show diacritics
Hadith Number: 6115
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن عدي بن ثابت، حدثنا سليمان بن صرد، قال: استب رجلان عند النبي صلى الله عليه وسلم ونحن عنده جلوس واحدهما يسب صاحبه مغضبا قد احمر وجهه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم كلمة لو قالها لذهب عنه ما يجد، لو قال: اعوذ بالله من الشيطان الرجيم"، فقالوا للرجل: الا تسمع ما يقول النبي صلى الله عليه وسلم، قال: إني لست بمجنون.
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Adi bin Sabit ne, in se Sulayman bin Surad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke do aadmiyon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki maujoodgi mein jhagra kiya, hum bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein baithe huay thay. Ek shakhs doosre ko ghussa ki halat mein gaali de raha thu aur is ka chehra surkh tha, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ek aisa kalma jaanta hoon ke agar yeh shakhs usay keh le to is ka ghussa door ho jaye. Agar yeh «aoozhu billahi min-ash-shaytan-ir-rajeemi» keh le. Sahabah ne is se kaha ke sunte nahi, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kiya farma rahe hain? Is ne kaha ke kiya main deewana hoon?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3282
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن عدي بن ثابت، عن سليمان بن صرد، قال: كنت جالسا مع النبي صلى الله عليه وسلم ورجلان يستبان فاحدهما احمر وجهه وانتفخت اوداجه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم كلمة لو قالها ذهب عنه ما يجد لو، قال: اعوذ بالله من الشيطان ذهب عنه ما يجد، فقالوا: له إن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: تعوذ بالله من الشيطان، فقال: وهل بي جنون".
Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamza ne, un se Aamash ne, un se Adi Bin Sabit ne aur un se Sulaiman Bin Surad (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein baitha hua tha aur (qareeb hi) do aadmi aapas mein gali galoch kar rahe thay ke ek shakhs ka munh surkh ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujhe ek aisa kalma maloom hai ke agar ye shakhs ise parh le to is ka ghussa jata rahega. Farmaya 'Auzu billahi minash shaitan' 'Mein panah mangta hoon Allah ki shaitan se.' To is ka ghussa jata rahega. Logon ne is par is se kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe hain ke tumhein shaitan se Allah ki panah mangni chahiye, us ne kaha, kya mein koi deewana hoon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6048
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني عدي بن ثابت، قال: سمعت سليمان بن صرد، رجلا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم قال: استب رجلان عند النبي صلى الله عليه وسلم فغضب احدهما فاشتد غضبه حتى انتفخ وجهه وتغير، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم كلمة لو قالها لذهب عنه الذي يجد"، فانطلق إليه الرجل، فاخبره بقول النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: تعوذ بالله من الشيطان، فقال: اترى بي باس، امجنون انا اذهب.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, kaha ke mujh se Adi bin Sabit ne bayan kiya ke main ne Sulayman bin Surad se suna woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabi hain, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne do aadmiyon ne aapas mein gaali-galouch ki ek sahab ko ghussa aa gaya aur bahut zyada aaya, in ka chehra phool gaya aur rang badal diya gaya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is waqt farmaya ke mujhe ek kalma maloom hai ke agar (ghussa karne wala shakhs) usay keh le to is ka ghussa door ho jaye ga. Chunanche ek sahab ne ja kar ghussa hone wale ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka irshad sunaya aur kaha shaytan se Allah ki panah maang woh kehne laga kiya tum mujhko roogi samajhte ho ya deewane? Ja apna rasta le.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة