الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب الخبز المرقق والأكل على الخوان والسفرة:
(Meeda ki bareek) chapatiyan khana aur khwan (dabez) aur dastarkhwan par khana.
Show diacritics
Hadith Number: 5386
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا معاذ بن هشام، قال: حدثني ابي، عن يونس، قال علي هو الإسكاف: عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" ما علمت النبي صلى الله عليه وسلم اكل على سكرجة قط ولا خبز له مرقق قط ولا اكل على خوان قط"، قيل لقتادة:" فعلى ما كانوا ياكلون؟ قال: على السفر".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Maaz bin Hisham ne bayan kiya , kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya , in se Yunus ne , Ali bin Abdullah Madini ne kaha ke yeh Yunus Iskaaf hain (na ke Yunus bin Ubaid Basri) in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main nahi jaanta ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi tashtari rakh kar (ek waqt mukhtalif qism ka) khana khaya ho aur na kabhi Aap ne patli rotiyaan (chapatiyaan) khayein aur na kabhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne meiz par khaya . Qatadah se poochha gaya ke phir kis cheez par Aap khate thay ? Kaha ke Aap sufra (aam dastar-khwan) par khana khaya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4650
حدثنا الحسن بن عبد العزيز، حدثنا عبد الله بن يحيى، حدثنا حيوة، عن بكر بن عمرو، عن بكير، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما: ان رجلا جاءه فقال: يا ابا عبد الرحمن، الا تسمع ما ذكر الله في كتابه وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا سورة الحجرات آية 9 إلى آخر الآية، فما يمنعك ان لا تقاتل كما ذكر الله في كتابه؟ فقال: يا ابن اخي، اغتر بهذه الآية ولا اقاتل، احب إلي من ان اغتر بهذه الآية التي، يقول الله تعالى: ومن يقتل مؤمنا متعمدا سورة النساء آية 93 إلى آخرها، قال: فإن الله، يقول: وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة سورة البقرة آية 193، قال ابن عمر: قد فعلنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم إذ كان الإسلام قليلا، فكان الرجل يفتن في دينه، إما يقتلونه، وإما يوثقونه حتى كثر الإسلام، فلم تكن فتنة، فلما راى انه لا يوافقه فيما يريد، قال: فما قولك في علي وعثمان؟ قال ابن عمر:" ما قولي في علي وعثمان، اما عثمان، فكان الله قد عفا عنه، فكرهتم ان يعفو عنه، واما علي، فابن عم رسول الله صلى الله عليه وسلم وختنه، واشار بيده، وهذه ابنته او بنته حيث ترون".
Hum se Hasan bin Abdul Aziz ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Yahya ne , kaha hum se Haywah bin Shurayh ne , unhon ne Bakr bin Amr se , unhon ne Bukayr se , unhon ne Nafi se , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke ek shakhs (Habban ya Alaa bin Arar naami) ne poocha: Abu Abdur Rahman! Aap ne Quran ki yeh aayat nahi suni «wa in ta'ifatani minal momineena-qtatalu» ke ”jab Musalmanon ki do jama'atein larne lagein“ al-kh , is aayat ke bamujab tum (Ali aur Muawiyah razi Allahu anhuma donon se) kyun nahi larte jaise Allah ne farmaya «faqatilul-lati tabghi» . Unhon ne kaha mere bhatije! Agar main is aayat ki tawil kar ke Musalmanon se na laroon to yeh mujh ko achha maloom hota hai bah-nisbat is ke ke main is aayat «wa man yaqtul mominan mutammidan» ki tawil karoon . Woh shakhs kehne laga achha is aayat ko kya karo ge jis mein mazkoor hai «wa qatiloohum hatta la takoona fitnatun» ke ”un se laro taake fitna baqi na rahe aur saara deen Allah ka ho jaye .“ Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha (wah , wah) yeh larayi to hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ahad mein kar chuke , is waqt Musalman bahut thore thay aur Musalman ko Islam ikhtiyar karne par takleef di jati . Qatl karte , qaid karte yahan tak ke Islam phail gaya . Musalman bahut ho gaye ab fitna jo is aayat mein mazkoor hai woh kahan raha . Jab is shakhs ne dekha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma kisi tarah larayi par is ke muwafiq nahi hote to kehne laga achha batlao Ali razi Allahu anhu aur Usman razi Allahu anhu ke baare mein tumhara kya itiqad hai ? Unhon ne kaha haan yeh kaho to suno , Ali aur Usman razi Allahu anhuma ke baare mein apna itiqad byaan karta hoon . Usman razi Allahu anhu ka jo qasoor tum byaan karte ho (ke woh Jang e Uhud mein bhaag niklay) to Allah ne un ka yeh qasoor maaf kar diya magar tum ko yeh maafi pasand nahi (jab to ab tak un par qasoor lagate jate ho) aur Ali razi Allahu anhu to (Subhan Allah) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chacha zaad bhai aur Aap damad bhi thay aur hath se isharah kar ke batlaya yeh un ka ghar hai jahan tum dekh rahe ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5415
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا معاذ، حدثني ابي، عن يونس، عن قتادة، عن انس بن مالك، قال:" ما اكل النبي صلى الله عليه وسلم على خوان ولا في سكرجة ولا خبز له مرقق، قلت لقتادة: على ما ياكلون؟ قال: على السفر".
Hum se Abdullah bin Abi al-Aswad ne bayan kiya , kaha hum se Maaz bin Hisham ne bayan kiya , in se un ke walid ne bayan kiya , in se Yunus bin Abi al-Furat ne , in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi meiz par khana nahi khaya aur na tashtari mein do char qism ki cheezin rakh kar khayein aur na kabhi chapati khayi . Main ne Qatadah se poochha , phir Aap kis cheez par khana khate thay ? Batlaya ke sufra (chamre ke dastar-khwan) par .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6450
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا سعيد بن ابي عروبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" لم ياكل النبي صلى الله عليه وسلم على خوان حتى مات، وما اكل خبزا مرققا حتى مات".
Hum se Abu Mamar Abdullah bin Muhammad bin Amr bin Hajjaj ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Waris bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Aroobah ne bayan kiya , in se Qatadah ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi maiz par khana nahi khaya . Yahan tak ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ho gayi aur na wafat tak Aap salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi bareek chapati tanawul farmayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة