الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب الخبز المرقق والأكل على الخوان والسفرة:
(Meeda ki bareek) chapatiyan khana aur khwan (dabez) aur dastarkhwan par khana.
Show diacritics
Hadith Number: 5385
حدثنا محمد بن سنان، حدثنا همام، عن قتادة، قال: كنا عند انس وعنده خباز له، فقال:" ما اكل النبي صلى الله عليه وسلم خبزا مرققا ولا شاة مسموطة حتى لقي الله".
Hum se Muhammad bin Sinan ne bayan kiya , in se Hammam ne bayan kiya , in se Qatadah ne kaha ke hum Anas razi Allahu anhu ki khidmat mein baithe huay thay , is waqt in ka roti pakaane wala khadim bhi maujood tha . Unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi chapati (maida ki roti) nahi khayi aur na sari dum-pukhta bakri khayi yahan tak ke Aap Allah se ja mile .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5421
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام بن يحيى، عن قتادة، قال: كنا ناتي انس بن مالك رضي الله عنه وخبازه قائم، قال:" كلوا فما اعلم النبي صلى الله عليه وسلم راى رغيفا مرققا حتى لحق بالله ولا راى شاة سميطا بعينه قط".
Hum se Hudbah bin Khalid ne bayan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne bayan kiya , in se Qatadah ne bayan kiya ke hum Anas razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir huay to in ki roti pakaane wala in ke paas hi khara thu . Unhon ne kaha ke khao . Main nahi jaanta ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi patli roti (chapati) dekhi ho . Yahan tak ke Aap Allah se ja mile aur na Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kabhi musallam bhuni hui bakri dekhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6357
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الحكم، قال: سمعت عبد الرحمن بن ابي ليلى، قال: لقيني كعب بن عجرة، فقال: الا اهدي لك هدية؟ إن النبي صلى الله عليه وسلم خرج علينا، فقلنا: يا رسول الله، قد علمنا كيف نسلم عليك، فكيف نصلي عليك؟ قال:" فقولوا: اللهم صل على محمد، وعلى آل محمد، كما صليت على آل إبراهيم إنك حميد مجيد، اللهم بارك على محمد، وعلى آل محمد، كما باركت على آل إبراهيم إنك حميد مجيد".
`Hum se Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba bin Hajjaj ne bayan kiya, kaha hum se Hakam bin Utba ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abdul Rahman bin Abi Laila se suna, kaha ke Ka'b bin Ujra Radi Allahu Anhu mujh se mile aur kaha ke mein tumhein ek tuhfa na doon? (yaani ek umda hadees na sunaoon) Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم hum logon mein tashreef laye to hum ne kaha: ya Rasul Allah! yeh to humein maloom ho gaya hai ke hum Aap ko salam kis tarah karein, lekin Aap par durood hum kis tarah bhejein? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke is tarah kaho «Allahumma salli ala Muhammadin, wa ala aali Muhammadin, kama sallaita ala aali Ibrahima, innaka Hameedum Majeed. Allahumma barik ala Muhammadin, wa ala aali Muhammadin, kama barakta ala aali Ibrahima, innaka Hameedum Majeed» ”Ae Allah! Muhammad ( صلی اللہ علیہ وسلم ) par apni rehmat nazil kar aur Aal-e-Muhammad ( صلی اللہ علیہ وسلم ) par, jaisa ke tu ne Ibrahim par rehmat nazil ki, bilashuba tu tareef kiya hua aur paak hai. Ae Allah! Muhammad par aur Aal-e-Muhammad par barkat nazil kar jaisa ke tu ne Ibrahim aur Aal-e-Ibrahim par barkat nazil ki, bilashuba tu tareef kiya hua aur paak hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة