الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب سترة الإمام سترة من خلفه:
Bab: Imam ka sutrah muqtadiyon ko bhi kafayat karta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 493
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس، انه قال:" اقبلت راكبا على حمار اتان وانا يومئذ قد ناهزت الاحتلام، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بالناس بمنى إلى غير جدار، فمررت بين يدي بعض الصف، فنزلت وارسلت الاتان ترتع، ودخلت في الصف فلم ينكر ذلك علي احد".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Imam Malik ne Ibn Shihab ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ubaidullah bin Abdullah bin Utba se ke Abdullah bin Abbas raziyallahu anhuma ne farmaya ke mein ek gadhi par sawar ho kar aaya . Is zamane mein baligh hone wala tha . Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam Mina mein logon ko namaz parha rahe thay . Lekin deewar aap salla Allahu alaihi wa sallam ke samne na thi . Mein saff ke baaz hissay se guzar kar sawari se utra aur mein ne gadhi ko charne ke liye chhor diya aur saff mein dakhil ho gaya . Pas kisi ne mujh par itraz nahi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 76
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس، قال:" اقبلت راكبا على حمار اتان، وانا يومئذ قد ناهزت الاحتلام، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بمنى إلى غير جدار، فمررت بين يدي بعض الصف، وارسلت الاتان ترتع فدخلت في الصف، فلم ينكر ذلك علي".
Hum se Ismail ne bayan kiya, un se Malik ne, un se Ibn-e-Shihaab ne, un se Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah ne, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke main (ek martaba) gadhi par sawaar ho kar chala, us zamaane mein, main buloogh ke qareeb tha. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Minaa mein Namaz padh rahe the aur Aap ke saamne deewaar (ki aad) na thi, to main baaz safon ke saamne se guzra aur gadhi ko chor diya. Woh charne lagi, jab ke main saf mein shaamil ho gaya (magar) kisi ne mujhe us baat par toka nahi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 476
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" لم اعقل ابوي إلا وهما يدينان الدين، ولم يمر علينا يوم إلا ياتينا فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم طرفي النهار بكرة وعشية، ثم بدا لابي بكر فابتنى مسجدا بفناء داره، فكان يصلي فيه ويقرا القرآن، فيقف عليه نساء المشركين وابناؤهم يعجبون منه وينظرون إليه، وكان ابو بكر رجلا بكاء لا يملك عينيه إذا قرا القرآن، فافزع ذلك اشراف قريش من المشركين".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne Aqeel ke wastay se bayan kiya , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne kaha mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki zauja mutahhara Umm ul Momineen Aisha raziyallahu anha ne batlaya ke mein ne jab se hosh sambhala to apne maan baap ko muslim hi paya aur hum par koi din aisa nahi guzra jis mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam subah wa sham din ke dono waqt hamare ghar tashreef na laye hun . Phir Abu Bakr raziyallahu anhu ki samajh mein ek tarteeb aayi to unhon ne ghar ke samne ek masjid bana li , woh is mein namaz parhte aur Quran Majeed ki tilawat karte . Mushrikeen ki auraten aur un ke bache wahan taajjub se sunte aur khare ho jate aur aap ki taraf dekhte rehte . Abu Bakr raziyallahu anhu bare rone wale aadmi thay . Jab Quran Kareem parhte to aansuon par qabu na rehta , Quraish ke mushrik sardar is surat e haal se ghabra gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 861
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال:" اقبلت راكبا على حمار اتان وانا يومئذ قد ناهزت الاحتلام، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بالناس بمنى إلى غير جدار، فمررت بين يدي بعض الصف فنزلت وارسلت الاتان ترتع، ودخلت في الصف فلم ينكر ذلك علي احد".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , un se Imam Malik ne byaan kiya , un se Ibn Shihab Zuhri ne byaan kiya , un se Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne byaan kiya , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne , Aap ne farmaya ke main ek gadhi par sawar ho kar aaya . Abhi main jawani ke qareeb tha (lekin baligh na tha) aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Mina mein logon ko namaaz parha rahe thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saamne deewar waghera (aar) na thi . Main saf ke ek hisse ke aage se guzar kar utra . Gadhi charne ke liye chhor di aur khud saf mein shamil ho gaya . Kisi ne mujh par itiraz nahi kiya (halaanke main nabaligh tha) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1857
حدثنا إسحاق، اخبرنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن اخي ابن شهاب، عن عمه، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان عبد الله بن عباس رضي الله عنه، قال:" اقبلت وقد ناهزت الحلم اسير على اتان لي، ورسول الله صلى الله عليه وسلم قائم يصلي بمنى، حتى سرت بين يدي بعض الصف الاول، ثم نزلت عنها فرتعت، فصففت مع الناس وراء رسول الله صلى الله عليه وسلم"، وقال يونس: عن ابن شهاب بمنى في حجة الوداع.
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Yaqub Bin Ibrahim ne khabar di, un se un ke bhatije Ibn Shihab Zuhri ne bayan kiya, un se un ke chacha ne, unhein Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne, khabar di ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha mein apni ek gadhi par sawar ho kar (Mina mein aya) is waqt mein jawani ke kareeb tha, Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Mina mein kharay namaz parha rahe thay. Mein pehli saff ke ek hissa ke aage se ho kar guzra phir sawari se neeche utar aya aur usay charne ke liye chor diya. Phir Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke peeche logon ke sath saff mein shareek ho gaya, Yunus ne Ibn Shihab ke wasta se bayan kiya ke ye Hajjat-ul-Wida ke mauqe par Mina ka waqiyah hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4412
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، حدثني عبيد الله بن عبد الله، انعبد الله بن عباس رضي الله عنهما اخبره:" انه اقبل يسير على حمار ورسول الله صلى الله عليه وسلم قائم بمنى في حجة الوداع يصلي بالناس، فسار الحمار بين يدي بعض الصف، ثم نزل عنه فصف مع الناس".
Hum se Yahya bin Qazah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Shihab ne byaan kiya (doosri sanad) aur Layth bin Saad ne byaan kiya ke mujh se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , un se Ubaydullah bin Abdullah ne byaan kiya aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke woh ek gadhe par sawar ho kar aaye to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Mina mein kharay logon ko namaz parha rahe thay . Yeh Hajjat al-Wida ka mauqa tha . Un ka gadha saff ke kuch hisse se guzra , phir woh utar kar logon ke saath saff mein kharay ho gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة