الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْعِلْمِ
The Book of Knowledge
بَابُ مَتَى يَصِحُّ سَمَاعُ الصَّغِيرِ:
Chapter. At what age may a youth be listened to (i.e. quotation of the Hadith from a boy be acceptable).
Hadith Number: 76
حدثنا إسماعيل بن ابي اويس، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس، قال:" اقبلت راكبا على حمار اتان، وانا يومئذ قد ناهزت الاحتلام، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بمنى إلى غير جدار، فمررت بين يدي بعض الصف، وارسلت الاتان ترتع فدخلت في الصف، فلم ينكر ذلك علي".
Hum se Ismail ne bayan kiya, un se Malik ne, un se Ibn-e-Shihaab ne, un se Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah ne, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke main (ek martaba) gadhi par sawaar ho kar chala, us zamaane mein, main buloogh ke qareeb tha. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Minaa mein Namaz padh rahe the aur Aap ke saamne deewaar (ki aad) na thi, to main baaz safon ke saamne se guzra aur gadhi ko chor diya. Woh charne lagi, jab ke main saf mein shaamil ho gaya (magar) kisi ne mujhe us baat par toka nahi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 77
حدثني محمد بن يوسف، قال: حدثنا ابو مسهر، قال: حدثني محمد بن حرب، حدثني الزبيدي، عن الزهري، عن محمود بن الربيع، قال:" عقلت من النبي صلى الله عليه وسلم مجة مجها في وجهي، وانا ابن خمس سنين من دلو".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, un se Abu Mus-hir ne, un se Muhammed bin Harb ne, un se Zubaidi ne Zohri ke waaste se bayan kiya, woh Mahmood bin Ar-Rabee’ se naql karte hain, unhon ne kaha ke mujhe yaad hai ke (ek martaba) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek dol se munh mein paani le kar mere chehre par kulli farmaayi, aur main us waqt paanch saal ka tha.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة