الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {هب لي ملكا لا ينبغي لأحد من بعدي إنك أنت الوهاب} :
Bab: Ayat ki tafseer mein“Aur mujhe aisi saltanat de ke mere baad kisi ko maysar na ho, beshak Tu bohot bara dene wala hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4808
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا روح، ومحمد بن جعفر، عن شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن عفريتا من الجن تفلت علي البارحة، او كلمة نحوها ليقطع علي الصلاة، فامكنني الله منه واردت ان اربطه إلى سارية من سواري المسجد حتى تصبحوا وتنظروا إليه كلكم، فذكرت قول اخي سليمان: رب وهب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي سورة ص آية 35، قال روح: فرده خاسئا.
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Rauh bin Ubadah aur Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne , se Muhammad bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke guzashta raat ek sarkash jinn achanaak mere paas aaya , ya isi tarah ka kalma Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya taake meri namaz kharab kare lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par quwwat de di aur main ne socha ke usay masjid ke satoon se baandh doon taake subah ke waqt tum sab log bhi usay dekh sako . Phir mujh ko apne bhai Sulayman alaihissalam ki dua yaad aa gayi «rabbi hab lee mulkan la yan-baghee li-ahadin mim ba'dee» ke ”Ae mere Rabb! Mujhe aaisi sultant de ke mere baad kisi ko muyassar na ho .“ Rauh ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is jinn ko zillat ke saath bhaga diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 461
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، قال: اخبرنا روح ومحمد بن جعفر، عن شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن عفريتا من الجن تفلت علي البارحة او كلمة نحوها ليقطع علي الصلاة، فامكنني الله منه، فاردت ان اربطه إلى سارية من سواري المسجد حتى تصبحوا وتنظروا إليه كلكم، فذكرت قول اخي سليمان: رب هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي، قال: روح فرده خاسئا".
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Rooh bin Ubada aur Muhammad bin Jafar ne Shoba ke wastay se bayan kiya , unhon ne Muhammad bin Ziyad se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke guzarashta raat ek sarkash jinn achaanak mere pas aaya . Ya isi tarah ki koi baat aap ne farmayi , woh meri namaz mein khalal dalna chahta tha . Lekin Allah Tabarak wa Taala ne mujhe is par qabu de diya aur mein ne socha ke masjid ke kisi sutun ke sath isay bandh dun taake subah ko tum sab bhi isay dekho . Phir mujhe apne bhai Sulaiman ki yeh dua yaad aa gayi jo Surah Sad mein hai aye mere Rab! mujhe aisa mulk ata karna jo mere baad kisi ko hasil na ho . Raawi hadees Rooh ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne is shaitan ko zaleel kar ke dhatkar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1210
حدثنا محمود، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم" انه صلى صلاة , قال:" إن الشيطان عرض لي فشد علي ليقطع الصلاة علي فامكنني الله منه، فذعته ولقد هممت ان اوثقه إلى سارية حتى تصبحوا فتنظروا إليه , فذكرت قول سليمان عليه السلام: رب هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي، فرده الله خاسيا"، ثم قال: النضر بن شميل فذعته بالذال اي خنقته وفدعته من قول الله: يوم يدعون سورة الطور آية 13 اي يدفعون والصواب فدعته إلا انه كذا قال بتشديد العين والتاء.
Hum se Mahmood bin Ghaylan ne byaan kiya , kaha ke hum se Shababah ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Ziyad ne byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ek martaba ek namaaz parhi phir farmaya ke mere saamne ek Shaytan aa gaya aur koshish karne laga ke meri namaaz tor de . Lekin Allah Ta'ala ne is ko mere qaboo mein kar diya main ne is ka gala ghoonta ya is ko dhakel diya . Aakhir mein mera irada hua ke ise masjid ke ek sutoon se baandh doon aur jab subah ho to tum bhi dekho . Lekin mujhe Sulayman alaihis salam ki dua yaad aa gayi ”Ae Allah! mujhe aisi sultanat ata kijiyo jo mere baad kisi aur ko na mile“ (is liye main ne ise chhor diya) aur Allah Ta'ala ne ise zillat ke saath bhaga diya . Is ke baad Nadar bin Shumayl ne kaha ke «za'atahu» ”zaal“ se hai . Jis ke maani hain ke main ne is ka gala ghoont diya aur «da'atahu» Allah Ta'ala ke is qaul se liya gaya hai . «yauma yuda-oona» jis ke maani hain Qayamat ke din woh Dozakh ki taraf dhakele jayein ge . Durust pehla hi lafz hai . Albatta Shubah ne isi tarah ”ayn“ aur ”taa“ ki tashdeed ke saath byaan kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3284
حدثنا محمود، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:"انه صلى صلاة، فقال: إن الشيطان عرض لي فشد علي يقطع الصلاة علي فامكنني الله منه فذكره".
Hum se Mahmud Bin Ghaylan ne bayan kiya, kaha hum se Shababa ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek martaba namaz parhi aur farigh hone ke baad farmaya ke shaitan mere samne aa gaya tha aur namaz tudwane ki koshishein shuru kar di theen, lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par ghalib kar diya. Phir hadees ko tafseel ke sath aakhir tak bayan kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3423
حدثني محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم:"إن عفريتا من الجن تفلت البارحة ليقطع علي صلاتي فامكنني الله منه فاخذته فاردت ان اربطه على سارية من سواري المسجد حتى تنظروا إليه كلكم، فذكرت دعوة اخي سليمان رب هب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي فرددته خاسئا عفريت متمرد من إنس او جان مثل زبنية جماعتها الزبانية".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Jafar ne bayan kiya un se Shuba ne bayan kiya un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek sarkash jinn kal raat mere samne aa gaya taake meri namaz kharab kar de lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par quwwat de di aur mein ne ise pakar liya. Phir mein ne chaha ke ise masjid ke kisi sutoon se baandh doon ke tum sab log bhi dekh sako. Lekin mujhe apne bhai Sulaiman (Alaihis Salam) ki dua yaad aa gayi ke ya Allah! Mujhe aisi sultanat de jo mere siwa kisi ko muyassar na ho. Is liye mein ne ise namurad wapas kar diya. «ifreetun» sarkash ke maani mein hai khwah insanon mein se ho ya jinnon mein se."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة