الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {فمنهم من قضى نحبه ومنهم من ينتظر وما بدلوا تبديلا} :
Bab: Ayat ki tafseer“So un mein kuch aise log bhi hain jo apni nazr poori kar chuke aur kuch un mein se waqt aane ka intezar kar rahe hain aur unhon ne apne ahd mein zara farq nahi aane diya”.
Show diacritics
Hadith Number: 4784
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني خارجة بن زيد بن ثابت، ان زيد بن ثابت، قال:" لما نسخنا الصحف في المصاحف فقدت آية من سورة الاحزاب كنت كثيرا اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرؤها لم اجدها مع احد إلا مع خزيمة الانصاري الذي جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم شهادته شهادة رجلين من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه سورة الاحزاب آية 23".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , kaha ke mujhe Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke jab Allah Ta'ala ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko hukm diya ke Nabi Karim (salla Allahu alaihi wasallam) apni azwaj ko (Aap ke samne rehne ya Aap se alaihda-gi ka) ikhtiyar dein to Aap Aisha razi Allahu anha ke paas bhi tashreef le gaye aur farmaya ke main tum se ek muamla ke mutalliq kehne aaya hoon zaroori nahi ke tum is mein jald baazi se kaam lo , apne walidain se bhi mashwara kar sakti ho . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam to jaante hi thay ke mere walid kabhi Aap se judayi ka mashwara nahi de sakte . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ka farman hai «ya ayyuhan-nabiyyu qul li-azwaajika» ke ”Ae Nabi! Apni biwiyon se farma dijiye“ aakhir aayat tak . Main ne arz kiya , lekin kis cheez ke liye mujhe apne walidain se mashwara ki zaroorat hai , khuli hui baat hai ke main Allah , us ke Rasool aur aalam e aakhirat ko chahti hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2807
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان اراه، عن محمد بن ابي عتيق، عن ابن شهاب، عن خارجة بن زيد، ان زيد بن ثابت رضي الله عنه، قال نسخت الصحف في المصاحف، ففقدت آية من سورة الاحزاب كنت اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم" يقرا بها فلم اجدها إلا مع خزيمة بن ثابت الانصاري الذي جعل رسول الله صلى الله عليه وسلم شهادته شهادة رجلين" وهو قوله" من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه" سورة الاحزاب آية 23.
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di Zuhri se, doosri sanad aur mujh se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere bhai ne bayan kiya, un se Sulaiman ne, mera khayal hai ke Muhammad Bin Ateeq ke wasta se, un se Ibn Shihab (Zuhri) ne aur un se Kharija Bin Zaid ne ke Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab Quran Majeed ko ek mushaf (kitabi) ki surat mein jama kiya jaane laga to mein ne Surah Al-Ahzab ki ek aayat nahi payi jis ki Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se barabar Aap ki tilawat karte hue sunta raha tha (jab mein ne use talash kiya to) sirf Khuzaimah Bin Sabit Ansari (Radi Allahu Anhu) ke yahan wo aayat mujhe mili. Ye Khuzaimah (Radi Allahu Anhu) wahi hain jin ki akele ki gawahi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do aadmiyon ki gawahi ke barabar qarar diya tha. Wo aayat ye thi «mn almwmny n rjal sdqw ma eahdw allh elyh» (Surah Al-Ahzab: 23) "Mominon mein se kuch mard aise hain jinhon ne wo baat sach kahi jis par unhon ne Allah se ahd kiya."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4049
حدثنا موسى بن إسماعيل , حدثنا إبراهيم بن سعد , حدثنا ابن شهاب , اخبرني خارجة بن زيد بن ثابت انه , سمع زيد بن ثابت رضي الله عنه , يقول:" فقدت آية من الاحزاب حين نسخنا المصحف كنت اسمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقرا بها , فالتمسناها فوجدناها مع خزيمة بن ثابت الانصاري من المؤمنين رجال صدقوا ما عاهدوا الله عليه فمنهم من قضى نحبه ومنهم من ينتظر سورة الاحزاب آية 23 فالحقناها في سورتها في المصحف.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Kharija Bin Zaid Bin Sabit ne khabar di unhon ne Zaid Bin Sabit Radi Allahu Anhu se suna, wo bayan karte thay ke jab hum Quran Majeed ko likhne lage to mujhe Surah Al-Ahzab ki ek ayat (likhi hui) nahi mili. Mein ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko is ki tilawat karte barha suna tha. Phir jab hum ne is ki talash ki to wo ayat Khuzaima Bin Sabit Ansari Radi Allahu Anhu ke pas humein mili (ayat ye thi) «minal muminina rijalun sadaqu ma aahadullaha alaihi faminhum man qaza nahbahu waminhum man yantazir» phir hum ne is ayat ko is ki surat mein Quran Majeed mein mila diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4786
وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: لما امر رسول الله صلى الله عليه وسلم بتخيير ازواجه بدا بي، فقال:" إني ذاكر لك امرا فلا عليك ان لا تعجلي حتى تستامري ابويك"، قالت: وقد علم ان ابوي لم يكونا يامراني بفراقه، قالت: ثم قال:" إن الله جل ثناؤه، قال: يايها النبي قل لازواجك إن كنتن تردن الحياة الدنيا وزينتها إلى اجرا عظيما سورة الاحزاب آية 28 - 29، قالت: فقلت: ففي اي هذا استامر ابوي، فإني اريد الله ورسوله والدار الآخرة، قالت: ثم فعل ازواج النبي صلى الله عليه وسلم مثل ما فعلت. تابعه موسى بن اعين، عن معمر، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة، وقال عبد الرزاق وابو سفيان المعمري، عن معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة
Aur Layth ne byaan kiya ke mujh se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , kaha mujhe Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko hukm hua ke apni azwaj ko ikhtiyar dein to Aap salla Allahu alaihi wasallam mere paas tashreef laye aur farmaya ke main tum se ek muamla ke mutalliq kehne aaya hoon , zaroori nahi ke tum jaldi karo , apne walidain se bhi mashwara le sakti ho . Unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko to maloom hi tha ke mere walidain Aap se judayi ka kabhi mashwara nahi de sakte . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (woh aayat jis mein yeh hukm tha) parhi ke Allah Paak ka irshad hai «ya ayyuhan-nabiyyu qul li-azwaajika in kuntunna turidnal hayaatad-dunya wa zeenataha» ”Ae Nabi! Apni biwiyon se farma dijiye ke agar tum dunyawi zindagi aur is ki zeenat ko chahti ho se «ajran azeeman» tak . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne arz kiya lekin apne walidain se mashwara ki kis baat ke liye zaroorat hai , zahir hai ke main Allah aur us ke Rasool aur aalam e aakhirat ko chahti hoon . Byaan kiya ke phir doosri azwaj e mutahharat ne bhi wahi kaha jo main keh chuki thi . Is ki mutabia't Musa bin Ayan ne Mamar se ki hai ke un se Zuhri ne byaan kiya ke unhein Abu Salamah ne khabar di aur Abdur Razzaq aur Abu Sufyan Ma'mari ne Mamar se byaan kiya , un se Zuhri ne , aur un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة