الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب قوله: {فلا تعلم نفس ما أخفي لهم} :
Bab: Ayat ki tafseer“Kisi momin ko ilm nahi jo jo samaan (jannat mein) un ke liye posheeda kar ke rakhe gaye hain jo un ki aankhon ki thandak banenge”.
Hadith Number: 4779
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: قال الله تبارك وتعالى:" اعددت لعبادي الصالحين ما لا عين رات، ولا اذن سمعت، ولا خطر على قلب بشر"، قال ابو هريرة: اقرءوا إن شئتم: فلا تعلم نفس ما اخفي لهم من قرة اعين سورة السجدة آية 17، وحدثنا علي، قال: حدثنا سفيان، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال: قال الله مثله، قيل لسفيان رواية، قال: فاي شيء.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Abu al-Zinad ne , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ka irshad hai ke ”main ne apne salih aur naik bandon ke liye woh cheezin tayyar kar rakkhi hain jinhein kisi aankh ne dekha na kisi kaan ne suna aur na kisi ke guman o khayal mein woh aayi hain .“ Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar chaho to is aayat ko parh lo «fala talamu nafsun ma ukhfiya lahum min qurrati ayunin» ke ”so kisi ko nahi maloom jo jo saman aankhon ki thandak ka un ke liye jannat mein chhupa kar rakkha gaya hai .“ Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya ke hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Allah Ta'ala ne farmaya hai , pehli hadees ki tarah . Sufyan se poocha gaya ke yeh Aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki hadees riwayat kar rahe hain ya apne ijtihad se farma rahe hain ? Unhon ne farmaya ke (agar yeh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki hadees nahi hai) to phir aur kya hai ? Abu Muawiyah ne byaan kiya , un se Aamash ne aur un se Salih ne ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne (aayat mazkoora mein) qirat (sigha e jama ke saath) parha hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3244
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال الله:" اعددت لعبادي الصالحين ما لا عين رات، ولا اذن سمعت، ولا خطر على قلب بشر فاقرءوا إن شئتم فلا تعلم نفس ما اخفي لهم من قرة اعين".
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, kaha hum se Abu-uz-Zinad ne bayan kiya, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah Ta'ala ka irshad hai ke mein ne apne naik bandon ke liye wo cheezain tayyar kar rakhi hain, jinhein na ankhon ne dekha, na kanon ne suna aur na kisi insan ke dil mein un ka kabhi khayal guzra hai. Agar jee chahe to ye ayat parh lo 'fala talamu nafsun ma ukhfiya lahum min qurrati ayunin' 'Pas koi shakhs nahi janta ke is ki ankhon ki thandak ke liye kya kya cheezain chhupa kar rakhi gayi hain'."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7498
حدثنا معاذ بن اسد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: قال الله:" اعددت لعبادي الصالحين، ما لا عين رات، ولا اذن سمعت، ولا خطر على قلب بشر".
`Hum se Mu'az bin Asad ne bayan kiya kaha, hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Hammam bin Munabbih ne aur unhein Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Allah Ta'ala farmata hai ke jannat mein, Mein ne apne naik bandon ke liye wo cheezein tayyar kar rakkhi hain jinhein na aankhon ne dekha, na kaanon ne suna aur na kisi insan ke dil mein un ka khayal guzra.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة