الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 4006
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن عدي، عن عبد الله بن يزيد، سمع ابا مسعود البدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" نفقة الرجل على اهله صدقة".
Hum se Muslim Bin Ibrahim Qassab ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Adi Bin Aban, un se Abdullah Bin Yezid Ansari, unhon ne Abu Masood Badri Radi Allahu Anhu Uqbah Bin Amr Ansari se suna ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”insan ka apne baal bacchon par kharch karna bhi bais-e-sawab hai.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 55
حدثنا حجاج بن منهال، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، قال: سمعت عبد الله بن يزيد، عن ابي مسعود، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا انفق الرجل على اهله يحتسبها فهو له صدقة".
Hum se Hajjaaj bin Minhaal ne bayan kiya, woh kehte hain ke hum se Sho’bah ne bayan kiya, woh kehte hain mujh ko ’Adi bin Saabit ne khabar di, unhon ne Abdullah bin Yazeed se suna, unhon ne Abdullah bin Mas’ood se naql kiya, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jab aadmi sawab ki niyyat se apne ahl-o-iyaal par kharch kare pas woh bhi us ke liye sadqa hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5351
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، قال: سمعت عبد الله بن يزيد الانصاري، عن ابي مسعود الانصاري، فقلت عن النبي، فقال: عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا انفق المسلم نفقة على اهله وهو يحتسبها كانت له صدقة".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Adi bin Sabit ne byaan kiya kaha main ne Abdullah bin Yazid Ansari se suna aur unhon ne Abu Masood Ansari razi Allahu anhu se (Abdullah bin Yazid Ansari ne byaan kiya ke) main ne in se poocha kiya tum is hadees ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat karte ho . Unhon ne kaha ke ji haan , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab Musalman apne ghar mein apne joru baal bachon par Allah ka hukm ada karne ki niyat se kharch kare to is mein bhi is ko sadqe ka sawab milta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة