الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب قتل أبى جهل:
Bab: (Badr ke din) Abu Jahl ka qatl hona.
Hadith Number: 3964
حدثنا علي بن عبد الله، قال: كتبت عن يوسف بن الماجشون، عن صالح بن إبراهيم، عن ابيه، عن جده في بدر يعني حديث ابني عفراء.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein ne Yusuf Bin Majashoon se ye hadees likhi, unhon ne Salih Bin Ibrahim se bayan kiya, unhon ne apne walid se unhon ne Salih ke dada (Abdur Rahman Bin Auf) se, Badr ke bare mein Afra ke dono beton ki hadees murad lete thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3141
حدثنا مسدد، حدثنا يوسف بن الماجشون، عن صالح بن إبراهيم بن عبد الرحمن بن عوف، عن ابيه، عن جده، قال: بينا انا واقف في الصف يوم بدر فنظرت عن يميني وعن شمالي، فإذا انا بغلامين من الانصار حديثة اسنانهما تمنيت ان اكون بين اضلع منهما فغمزني احدهما، فقال: يا عم هل تعرف ابا جهل؟ قلت: نعم ما حاجتك إليه يا ابن اخي، قال: اخبرت انه يسب رسول الله صلى الله عليه وسلم والذي نفسي بيده لئن رايته لا يفارق سوادي سواده حتى يموت الاعجل منا فتعجبت لذلك فغمزني الآخر، فقال لي: مثلها فلم انشب ان نظرت إلى ابي جهل يجول في الناس، قلت: الا إن هذا صاحبكما الذي سالتماني فابتدراه بسيفيهما فضرباه حتى قتلاه، ثم انصرفا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبراه، فقال:" ايكما قتله، قال: كل واحد منهما انا قتلته، فقال: هل مسحتما سيفيكما، قالا: لا فنظر في السيفين، فقال: كلاكما قتله سلبه معاذ بن عمرو بن الجموح وكانا معاذ بن عفراء ومعاذ بن عمرو بن الجموح".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yusuf Bin Majishoon ne, un se Salih Bin Ibrahim Bin Abdur Rahman Bin Auf ne, un se un ke baap ne aur un se Salih ke dada (Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Badr ki ladai mein, mein saff ke sath khada hua tha. Mein ne jo dayein bayein janib dekha, to mere dono taraf qabile Ansar ke do nau-umar larke thay. Mein ne aarzu ki kash! Mein un se zabardast zyada umar walon ke beech mein hota. Ek ne meri taraf isharah kiya, aur pucha chacha! Aap Abu Jahl ko bhi pehchante hain? Mein ne kaha ke haan! Lekin bete tum logon ko is se kya kaam hai? Larke ne jawab diya mujhe maloom hua hai ke wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko galiyan deta hai, is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai agar mujhe wo mil gaya to is waqt tak mein is se juda na hoon ga jab tak hum mein se koi jis ki qismat mein pehle marna hoga, mar na jaye, mujhe is par badi hairat hui. Phir doosre ne isharah kiya aur wahi baatein us ne bhi kahein. Abhi chand minute hi guzre thay ke mujhe Abu Jahl dikhayi diya jo logon mein (kuffar ke lashkar mein) ghoomta phir raha tha. Mein ne in larkon se kaha ke jis ke mutaliq tum log mujh se puch rahe thay, wo samne (phirta hua nazar aa raha) hai. Dono ne apni talwarain sanbhalein aur is par jhapat pade aur hamla kar ke ise qatl kar dala. Is ke baad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar Aap ko khabar di, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne pucha ke tum dono mein se kis ne ise mara hai? Dono nau-jawanon ne kaha ke mein ne qatl kiya hai. Is liye Aap ne un se pucha ke kya apni talwarain tum ne saaf kar li hain? Unhon ne arz kiya ke nahi. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dono talwaron ko dekha aur farmaya ke tum dono hi ne ise mara hai. Aur is ka saman Muaz Bin Amr Bin Jamuh ko milega. Wo dono nau-jawan Muaz Bin Afra aur Muaz Bin Amr Bin Jamuh thay. Muhammad ne kaha Yusuf ne Salih se suna aur Ibrahim ne apne baap se suna
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3963
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا ابن ابي عدي، عن سليمان التيمي، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم بدر:" من ينظر ما فعل ابو جهل" , فانطلق ابن مسعود فوجده قد ضربه ابنا عفراء حتى برد , فاخذ بلحيته، فقال: انت ابا جهل، قال: وهل فوق رجل قتله قومه؟ او قال: قتلتموه. حدثني ابن المثنى، اخبرنا معاذ بن معاذ، حدثنا سليمان، اخبرنا انس بن مالك نحوه.
Mujh se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, un se Sulaiman Taimi aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Badr ki larai ke din farmaya ”Kaun dekh kar aaye ga ke Abu Jahl ka kya hua?“ Ibn Masood Radi Allahu Anhu maloom karne gaye to dekha ke Afra ke dono larkan ne ise qatl kar diya tha aur is ka jism thanda para hai. Unhon ne is ki darhi pakar kar kaha, tu hi Abu Jahl hai? Us ne kaha, kya is se bhi bara koi aadmi hai jise aaj is ki qaum ne qatl kar dala hai ya (is ne yun kaha ke) tum logon ne ise qatl kar dala hai? Mujh se Ibn Musanna ne bayan kiya, hum ko Muaz Bin Muaz ne khabar di, kaha hum se Sulaiman ne bayan kiya aur unhein Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di, isi tarah aage hadees bayan ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4020
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن علية، حدثنا سليمان التيمي، حدثنا انس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم بدر:" من ينظر ما صنع ابو جهل؟" فانطلق ابن مسعود فوجده قد ضربه ابنا عفراء حتى برد، فقال: آنت ابا جهل؟ قال ابن علية: قال سليمان: هكذا قالها انس، قال: انت ابا جهل؟ قال: وهل فوق رجل قتلتموه، قال سليمان: او قال: قتله قومه، قال: وقال ابو مجلز: قال ابو جهل: فلو غير اكار قتلني.
Mujh se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Alaiyyah ne bayan kiya, kaha hum se Sulaiman Taimi ne bayan kiya, kaha hum se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Badr ki larai ke din farmaya ”kaun dekh kar aaye ga ke Abu Jahl ke sath kya hua? Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu is ke liye rawanah hue aur dekha ke Afra ke dono beton ne ise qatl kar diya hai aur is ki laash thanda hone wali hai. Unhon ne poocha, Abu Jahl tum hi ho? Ibn Alaiyyah ne bayan kiya ke Ibn Masood Radi Allahu Anhu ne poocha tha ke tu Abu Jahl hai? Is par is ne kaha, kya is se bhi bara koi ho ga jise tum ne aaj qatl kar diya hai? Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke ya is ne yun kaha, ”jise is ki qaum ne qatl kar diya hai? (Kya is se bhi bara koi ho ga) kaha ke Abu Mijlaz ne bayan kiya ke Abu Jahl ne kaha, kash! Ek kisan ke siwa mujhe kisi aur ne maara hota
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة