الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب مناقب الأنصار:
Bab: Ansar Ridwanullahi Alayhim ki fazilat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3777
حدثني عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم بعاث يوما قدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم فقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد افترق ملؤهم، وقتلت: سرواتهم وجرحوا , فقدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم في دخولهم في الإسلام".
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Buas ki jang ko (jo Islam se pehle Aus aur Khazraj mein hui thi) Allah Ta'ala ne apne Rasul Sallallahu Alaihi Wasallam ke mufad mein pehle hi muqaddam kar rakha tha chunanche jab aap Madinah mein tashreef laye to ye qabail aapas ki phoot ka shikar thay aur un ke sardar kuch qatl kiye ja chuke thay, kuch zakhmi thay, to Allah Ta'ala ne is jang ko aap se pehle is liye muqaddam kiya tha taake wo aap ke tashreef laate hi musalman ho jayein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3846
حدثني عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم بعاث يوما قدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم , فقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد افترق ملؤهم وقتلت سرواتهم وجرحوا , قدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم في دخولهم في الإسلام".
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Buas ki larai Allah Ta'ala ne (maslahat ki wajah se) Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se pehle barpa kara di thi. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab Madinah tashreef laye to yahan Ansar ki jamaat mein phoot pari hui thi. Un ke sardar maare ja chuke thay ya zakhmi ho chuke thay, Allah Ta'ala ne is larai ko is liye pehle barpa kiya tha ke Ansar Islam mein dakhil ho jayein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3930
حدثنا عبيد الله بن سعيد، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم بعاث يوما قدمه الله عز وجل لرسوله صلى الله عليه وسلم , فقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة وقد افترق ملؤهم، وقتلت سراتهم في دخولهم في الإسلام".
Hum se Ubaidullah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Buas ki larai ko (Ansar ke qabail Aus o Khazraj ke darmiyan) Allah Ta'ala ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Madinah mein aane se pehle hi barpa kara diya tha chunanche jab aap Madinah tashreef laye to Ansar mein phoot pari hui thi aur un ke sardar qatl ho chuke thay. Is mein Allah ki ye hikmat maloom hoti hai ke Ansar Islam qabool kar lein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة