الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب مَنَاقِبِ الْأَنْصَارِ
The Merits of Al-Ansar
بَابُ مَنَاقِبُ الأَنْصَارِ:
Chapter. The merits of Al- Ansar.
Show diacritics
Hadith Number: Q3776
والذين تبوءوا الدار والإيمان من قبلهم يحبون من هاجر إليهم ولا يجدون في صدورهم حاجة مما اوتوا سورة الحشر آية 9
Allah ne farmaya " Jo log pehle hi ek ghar mein (yani Madinah mein) jam gaye iman ko bhi jama diya jo musalman un ke paas hijrat kar ke jaate hain is se mohabbat karte hain aur Muhajireen ko (mal-e-ghanimat mein se) jo hath aaye is se un ka dil nahi karrhta balkay aur khush hote hain. "
.


Show diacritics
Hadith Number: 3776
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا غيلان بن جرير، قال: قلت لانس: ارايت اسم الانصار كنتم تسمون به ام سماكم الله، قال:" بل سمانا الله عز وجل" , كنا ندخل على انس فيحدثنا بمناقب الانصار ومشاهدهم ويقبل علي او على رجل من الازد، فيقول: فعل قومك يوم كذا وكذا , كذا وكذا.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Mahdi Bin Maimoon ne, kaha hum se Ghailan Bin Jarir ne bayan kiya mein ne Anas Radi Allahu Anhu se poocha batlaiye (Ansar) apna naam aap logon ne khud rakh liya tha ya aap logon ka ye naam Allah Ta'ala ne rakha? Unhon ne kaha nahi balkay hamara ye naam Allah Ta'ala ne rakha hai. Ghailan ki riwayat hai ke hum Anas Radi Allahu Anhu ki khidmat mein hazir hote to aap hum se Ansar ki fazilatein aur ghazwat mein un ke mujahidana waqiaat bayan kiya karte phir meri taraf ya qabila Azd ke ek shakhs ki taraf mutawajje ho kar kehte: Tumhari qaum (Ansar) ne falan din falan din falan falan kaam anjam diye
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3777
حدثني عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان يوم بعاث يوما قدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم فقدم رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد افترق ملؤهم، وقتلت: سرواتهم وجرحوا , فقدمه الله لرسوله صلى الله عليه وسلم في دخولهم في الإسلام".
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke Buas ki jang ko (jo Islam se pehle Aus aur Khazraj mein hui thi) Allah Ta'ala ne apne Rasul Sallallahu Alaihi Wasallam ke mufad mein pehle hi muqaddam kar rakha tha chunanche jab aap Madinah mein tashreef laye to ye qabail aapas ki phoot ka shikar thay aur un ke sardar kuch qatl kiye ja chuke thay, kuch zakhmi thay, to Allah Ta'ala ne is jang ko aap se pehle is liye muqaddam kiya tha taake wo aap ke tashreef laate hi musalman ho jayein
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 3778
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي التياح، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، يقول: قالت الانصار يوم فتح مكة: واعطى قريشا , والله إن هذا لهو العجب إن سيوفنا تقطر من دماء قريش وغنائمنا ترد عليهم , فبلغ ذلك النبي صلى الله عليه وسلم , فدعا الانصار، قال: فقال:" ما الذي بلغني عنكم" وكانوا لا يكذبون، فقالوا: هو الذي بلغك، قال:" اولا ترضون ان يرجع الناس بالغنائم إلى بيوتهم وترجعون برسول الله صلى الله عليه وسلم إلى بيوتكم لو سلكت الانصار واديا او شعبا لسلكت وادي الانصار او شعبهم".
Hum se Abu-ul-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abu-at-Tayyah ne, unhon ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke fatah Makkah ke din jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Quraish ko (ghazwa Hunain ki) ghanimat ka sara mal de diya to baaz naujawan Ansariyon ne kaha (Allah ki qasam!) ye to ajeeb baat hai abhi hamari talwaron se Quraish ka khoon tapak raha hai aur hamara hasil kiya hua mal-e-ghanimat sirf unhein diya ja raha hai, is ki khabar jab aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko mili to aap ne Ansar ko bulaya. Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo khabar mujhe mili hai kya wo sahih hai? Ansar log jhoot nahi bolte thay unhon ne arz kar diya ke aap ko sahih ittila mili hai. Is par aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum is se khush aur razi nahi ho ke jab sab log ghanimat ka mal le kar apne gharon ko wapas hon aur tum log Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko sath liye apne gharon ko jao ge? Ansar jis naale ya ghaati mein chalein ge to mein bhi isi naale ya ghaati mein chaloon ga
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain