الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 3494
«وتجدون شر الناس ذا الوجهين، الذي ياتي هؤلاء بوجه، وياتي هؤلاء بوجه» .
Aur aadmiyon mein sab se bura is ko pao ge jo do-rukha (doghla) ho. In logon mein ek munh le kar aaye, doosron mein doosra munh
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3353
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا عبيد الله، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قيل: يا رسول الله، من اكرم الناس؟ قال: اتقاهم، فقالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فيوسف نبي الله ابن نبي الله ابن نبي الله ابن خليل الله، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فعن معادن العرب تسالون خيارهم في الجاهلية خيارهم في الإسلام إذا فقهوا"، قال ابو اسامة ومعتمر، عن عبيد الله، عن سعيد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Ubaidullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Said Bin Abi Said ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke arz kiya gaya: Ya Rasul Allah! Sab se zyada shareef kaun hai? Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo sab se zyada parhezgar ho." Sahaba ne arz kiya ke hum Aap se is ke mutalliq nahi poochte. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir Allah ke nabi Yusuf Bin nabi-ullah Bin nabi-ullah Bin khaleel-ullah (sab se zyada shareef hain)" sahaba ne kaha ke hum is ke mutalliq bhi nahi poochte. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Accha Arab ke khandanon ke mutalliq tum poonchna chahte ho. Suno jo jahiliyat mein shareef thay Islam mein bhi wo shareef hain jab ke deen ki samajh unhein aa jaye." Abu Usama aur Mu'tamir ne Ubaidullah se bayan kiya, un se Said ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6058
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تجد من شر الناس يوم القيامة عند الله ذا الوجهين، الذي ياتي هؤلاء بوجه وهؤلاء بوجه".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , unhon ne mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , kaha hum se Abu Salih ne bayan kiya , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum Qayamat ke din Allah ke haan is shakhs ko sab se bad-tar pao ge jo kuch logon ke samne ek rukh se aata hai aur doosron ke samne doosre rukh se jata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7179
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن عراك، عن ابي هريرة، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:"إن شر الناس ذو الوجهين، الذي ياتي هؤلاء بوجه وهؤلاء بوجه".
`Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Yazid bin Abi Habib ne, un se Irak ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke bad-tareen wo shakhs do-rukha hai, kisi ke samne is ka ek rukh hota hai aur doosre ke samne doosra rukh bart-ta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة