الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Hadith Number: 3490
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قيل يا رسول الله،" من اكرم الناس، قال: اتقاهم، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فيوسف نبي الله".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne bayan kiya, un se Saeed Bin Abi Saeed ne bayan kiya, un se un ke baap ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ek martaba poocha gaya: Ya Rasul Allah! Sab se zyada shareef kaun hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo sab se zyada parhezgar ho." Sahaba ne arz kiya ke hamara sawal is ke baare mein nahi hai, is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir (nasab ki roo se) Allah ke Nabi Yusuf (Alaihis Salam) sab se zyada shareef thay
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3349
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، حدثنا المغيرة بن النعمان، قال: حدثني سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إنكم محشورون حفاة عراة غرلا، ثم قرا كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 واول من يكسى يوم القيامة إبراهيم، وإن اناسا من اصحابي يؤخذ بهم ذات الشمال فاقول: اصحابي، اصحابي، فيقول: إنهم لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم فاقول كما، قال: العبد الصالح وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني إلى قوله العزيز الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118".
Hum se Muhammad Bin Kaseer ne bayan kiya, kaha hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, un se Mugheera Bin Numan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Said Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum log hashar mein nange paon, nange jism aur bin-khatna uthaye jao ge." Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ayat ki tilawat ki "kama bada-na awwala khalqin nu-iduhu wa-dan alaina inna kunna fa-ileena" "Jaisa ke hum ne paida kiya tha pehli martaba, hum aise hi lautayeinge. Ye hamari taraf se ek waada hai jis ko hum poora kar ke raheinge (Surah Al-Anbiya). Aur anbiya mein sab se pehle Ibrahim Alaihis Salam ko kapda pehnaya jaye ga aur mere ashab mein se baaz ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga to mein pukar utthoon ga ke ye to mere ashab hain, mere ashab! Lekin mujhe bataya jaye ga ke Aap ki wafat ke baad in logon ne phir kufr ikhtiyar kar liya tha. Is waqt mein bhi wahi jumla kahoon ga jo naik bande (Isa Alaihis Salam) kaheinge 'wa-kuntu alaihim shahīdan ma dumtu fīhim' 'Jab tak mein un ke sath tha un par nigran tha.' Allah Ta'ala ke irshad 'al-Hakeemu' tak
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3374
حدثنا إسحاق بن إبراهيم سمع المعتمر، عن عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قيل للنبي صلى الله عليه وسلم" من اكرم الناس، قال: اكرمهم اتقاهم، قالوا: يا نبي الله ليس عن هذا نسالك، قال: فاكرم الناس يوسف نبي الله ابن نبي الله ابن نبي الله ابن خليل الله، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فعن معادن العرب تسالوني، قالوا: نعم، قال: فخياركم في الجاهلية خياركم في الإسلام إذا فقهوا".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya kaha ke hum ne Mu'tamir Bin Sulaiman se suna unhon ne Abdullah Umri se unhon ne Said Bin Abi Said Maqbari se aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha gaya: Sab se zyada shareef kaun hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo sab se zyada muttaqi ho wo sab se zyada shareef hai. Sahaba ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Hamare sawal ka maqsad ye nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir sab se zyada shareef Yusuf nabi-ullah Bin nabi-ullah (Yaqub) Bin nabi-ullah (Ishaq) Bin khaleel-ullah (Ibrahim Alaihis Salam) thay." Sahaba ne arz kiya: Hamare sawal ka maqsad ye bhi nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kya tum log Arab ke shurafa ke bare mein poochna chahte ho?" Sahaba ne arz kiya ke ji haan. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Phir jahiliyat mein jo log shareef aur acche aadat-o-akhlaq ke thay wo Islam lane ke baad bhi shareef aur acche samjhe jayeinge jab ke wo deen ki samajh bhi hasil karein."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3383
حدثني عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، قال: اخبرني سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم من اكرم الناس، قال:" اتقاهم لله، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فاكرم الناس يوسف نبي الله ابن نبي الله ابن نبي الله ابن خليل الله، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال: فعن معادن العرب تسالوني الناس معادن خيارهم في الجاهلية خيارهم في الإسلام إذا فقهوا".
Mujh se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya un se Ubaidullah ne bayan kiya unhein Said Bin Abi Said ne khabar di aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se pucha gaya ke sab se zyada shareef aadmi kaun hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo Allah ka khauf zyada rakhta ho." Sahaba ne arz kiya ke hamare sawal ka maqsad ye nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir sab se zyada shareef Allah ke nabi Yusuf Bin nabi-ullah Bin nabi-ullah Bin khaleel-ullah hain. Sahaba ne arz kiya ke hamare sawal ka maqsad ye bhi nahi hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum log Arab ke khanwadon ke bare mein poochna chahte ho. Dekho! Logon ki misal kano ki si hai (kisi kaan mein se accha mal nikalta hai kisi mein se bura) jo log tum mein se zamana-e-jahiliyat mein shareef aur behtar akhlaq ke thay wahi Islam ke baad bhi acche aur shareef hain bashart-e-ke wo deen ki samajh hasil karein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4689
حدثني محمد، اخبرنا عبدة، عن عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم، اي الناس اكرم؟ قال:" اكرمهم عند الله اتقاهم"، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال:" فاكرم الناس يوسف نبي الله، ابن نبي الله، ابن نبي الله، ابن خليل الله"، قالوا: ليس عن هذا نسالك، قال:" فعن معادن العرب تسالوني؟" قالوا: نعم، قال:" فخياركم في الجاهلية، خياركم في الإسلام إذا فقهوا". تابعه ابو اسامة، عن عبيد الله.
Mujh se Muhammad ne byaan kiya , kaha hum ko Abdah ne khabar di , unhein Ubaydullah ne , unhein Saeed bin Abi Saeed ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kisi ne sawal kiya ke insanon mein kaun sab se zyada shareef hai to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke sab se zyada shareef woh hai jo sab se zyada muttaqi ho . Sahabah ne arz kiya ke hamare sawal ka maqsad yeh nahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir sab se zyada shareef Yusuf alaihissalam hain «nabiyyullahi-bnu nabiyyullahi-bnu nabiyyullahi-bnu khaleelillahi» . Sahabah ne arz kiya ke hamare sawal ka yeh bhi maqsad nahi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke achha , Arab ke khandanon ke mutalliq tum maloom karna chahte ho ? Sahabah ne arz kiya ji haan . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahiliyat mein jo log shareef samjhe jate thay , Islam laane ke baad bhi woh shareef hain , jabke deen ki samajh bhi unhein haasil ho jaye . Is riwayat ki mutabia't Abu Usamah ne Ubaydullah se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة