الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيض
Kitab: Haiz ke ahkam o masail
باب المرأة تحيض بعد الإفاضة:
Bab: Jo aurat (hajj mein) tawaf-e-ifaza ke baad ha’izah ho (us ke mutalliq kya hukm hai?).
Hadith Number: 329
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن عبد الله بن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس، قال:" رخص للحائض ان تنفر إذا حاضت.
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne Abdullah bin Tawus ke hawala se, woh apne baap Tawus bin Kaisan se, woh Abdullah bin Abbas Razi Allah Anhuma se, Aap ne farmaya ke haiza ke liye (jab ke us ne tawaf-e-ifaza kar liya ho) ruxat hai ke woh ghar jaye (aur tawaf-e-wida ke liye na ruki rahe). 104662
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1755
حدثنا مسدد، حدثنا سفيان، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" امر الناس ان يكون آخر عهدهم بالبيت، إلا انه خفف عن الحائض".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Ibn Taoos ne, un se un ke baap ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke logon ko is ka hukum tha ke un ka akhri waqt Bait Allah ke sath ho (yani tawaf-e-wada karein) albatta haiza se ye maaf ho gaya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1760
حدثنا مسلم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" رخص للحائض ان تنفر إذا افاضت.
Hum se Muslim ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibn Taoos ne bayan kiya, un se un ke baap ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke aurat ko is ki ijazat hai ke agar wo tawaf-e-ifazah (tawaf-e-ziyarat) kar chuki ho aur phir (tawaf-e-wada se pehle) haiz aa jaye to (apne ghar) wapas chali jaye
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة