الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب ذكر الملائكة:
Bab: Farishton ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3208
حدثنا الحسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن الاعمش، عن زيد بن وهب، قال عبد الله، حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو الصادق المصدوق، قال:" إن احدكم يجمع خلقه في بطن امه اربعين يوما، ثم يكون علقة مثل ذلك، ثم يكون مضغة مثل ذلك، ثم يبعث الله ملكا فيؤمر باربع كلمات، ويقال له: اكتب عمله ورزقه واجله وشقي او سعيد، ثم ينفخ فيه الروح فإن الرجل منكم ليعمل حتى ما يكون بينه وبين الجنة إلا ذراع فيسبق عليه كتابه فيعمل بعمل اهل النار، ويعمل حتى ما يكون بينه وبين النار إلا ذراع فيسبق عليه الكتاب فيعمل بعمل اهل الجنة".
Hum se Hasan Bin Rabi ne bayan kiya, kaha hum se Abu-ul-Ahwas ne, un se Aamash ne, un se Zaid Bin Wahb ne aur un se Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum se Sadiq-ul-Masdooq Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bayan farmaya aur farmaya ke tumhari paidayish ki tayyari tumhari maan ke pait mein chalis dinon tak (nutfa ki surat) mein ki jati hai itni hi dinon tak phir ek basta khoon ke surat mein ikhtiyar kiye rehta hai aur phir wo itne hi dinon tak ek mudhgha gosht rehta hai. Is ke baad Allah Ta'ala ek farishta bhejta hai aur ise char baaton (ke likhne) ka hukm deta hai. Is se kaha jata hai ke is ke amal, is ka rizq, is ki muddat-e-zindagi aur ye ke badd hai ya naik, likh le. Ab is nutfa mein rooh dali jati hai (yaad rakh) ek shakhs (zindagi bhar naik) amal karta rehta hai aur jab Jannat aur is ke darmiyan sirf ek hath ka fasla reh jata hai to is ki taqdeer samne aa jati hai aur Dozakh walon ke amal shuru kar deta hai. Isi tarah ek shakhs (zindagi bhar bure) kaam karta rehta hai aur jab Dozakh aur is ke darmiyan sirf ek hath ka fasla reh jata hai to is ki taqdeer ghalib aa jati hai aur Jannat walon ke kaam shuru kar deta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3332
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا زيد بن وهب، حدثنا عبد الله، حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو الصادق المصدوق:" إن احدكم يجمع في بطن امه اربعين يوما، ثم يكون علقة مثل ذلك، ثم يكون مضغة مثل ذلك، ثم يبعث الله إليه ملكا باربع كلمات فيكتب عمله واجله ورزقه وشقي او سعيد، ثم ينفخ فيه الروح فإن الرجل ليعمل بعمل اهل النار حتى ما يكون بينه وبينها إلا ذراع فيسبق عليه الكتاب فيعمل بعمل اهل الجنة فيدخل الجنة، وإن الرجل ليعمل بعمل اهل الجنة حتى ما يكون بينه وبينها إلا ذراع فيسبق عليه الكتاب فيعمل بعمل اهل النار فيدخل النار".
Hum se Umar Bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se mere walid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, kaha hum se Zaid Bin Wahb ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bayan farmaya aur Aap sacchon ke sacche thay ke insan ki paidayish is ki maan ke pait mein pehle chalis din tak poori ki jati hai. Phir wo itne hi dinon tak "alaqatun" yaani ghaleez aur jamid khoon ki surat mein rehta hai. Phir itne hi dinon ke liye "mudhghatun" (gosht ka lothda) ki shakal ikhtiyar kar leta hai. Phir (chauthe chilla mein) Allah Ta'ala ek farishta ko char baaton ka hukm de kar bhejta hai. Pas wo farishta is ke amal, is ki muddat-e-zindagi, rozi aur ye ke wo naik hai ya badd, ko likh leta hai. Is ke baad is mein rooh phoonki jati hai. Pas insan (zindagi bhar) dozakhiyon ke kaam karta rehta hai. Aur jab is ke aur dozakh ke darmiyan sirf ek hath ka fasla reh jata hai to is ki taqdeer samne aati hai aur wo jannatiyon ke kaam karne lagta hai aur jannat mein chala jata hai. Isi tarah ek shakhs jannatiyon ke kaam karta rehta hai aur jab is ke aur jannat ke darmiyan sirf ek hath ka fasla reh jata hai to is ki taqdeer samne aati hai aur wo dozakhiyon ke kaam shuru kar deta hai aur wo dozakh mein chala jata hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6594
حدثنا ابو الوليد هشام بن عبد الملك حدثنا شعبة انباني سليمان الاعمش قال: سمعت زيد بن وهب عن عبد الله قال: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو الصادق المصدوق قال: «إن احدكم يجمع في بطن امه اربعين يوما، ثم علقة مثل ذلك، ثم يكون مضغة مثل ذلك، ثم يبعث الله ملكا فيؤمر باربع برزقه، واجله، وشقي، او سعيد، فوالله إن احدكم- او الرجل- يعمل بعمل اهل النار، حتى ما يكون بينه وبينها غير باع او ذراع، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل بعمل اهل الجنة، فيدخلها، وإن الرجل ليعمل بعمل اهل الجنة، حتى ما يكون بينه وبينها غير ذراع او ذراعين، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل بعمل اهل النار، فيدخلها» . قال آدم إلا ذراع.
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abd-ul-Malik ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , kaha mujhko Sulayman Aamash ne khabar di , kaha ke main ne Zayd bin Wahb ne suna , in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hamako Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bayan sunaya aur Aap sachon ke sache thay aur Aap ki sachayi ki zabardast gawahi di gayi . Farmaya ke tum mein se har shakhs pehle apni maan ke pait mein chalis din tak nutfa hi rakkha jata hai . Phir itni hi muddat mein «alaqah» yani khoon ki phutki (basta e khoon) banta hai phir itne hi arsa mein «muzh-ghah» (yani gosht ka lothra) phir char mah baad Allah Ta'ala ek farishta bheijta hai aur is ke baare mein (maan ke pait hi mein) char baaton ke likhne ka hukm diya jata hai . Is ki rozi ka , is ki maut ka , is ka ke woh bad-bakht hai ya naik-bakht . Pas wallah , tum mein se ek shakhs dozakh walon ke se kaam karta rehta hai aur jab is ke اور dozakh ke darmiyan sirf ek balisht ka fasila ya ek hath ka fasila baqi reh jata hai to is ki taqdeer is par ghalib aati hai aur woh jannat walon ke se kaam karne lagta hai aur jannat mein jata hai . Isi tarah ek shakhs jannat walon ke se kaam karta rehta hai aur jab is ke aur jannat ke darmiyan ek hath ka fasila baqi reh jata hai to is ki taqdeer is par ghalib aati hai aur woh dozakh walon ke kaam karne lagta hai aur dozakh mein jata hai . Imam Bukhari rahmahullah kehte hain ke Adam bin Abi Iyas ne apni riwayat mein yun kaha ke jab ek hath ka fasila reh jata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7454
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الاعمش، سمعت زيد بن وهب، سمعت عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو الصادق المصدوق:" ان خلق احدكم يجمع في بطن امه اربعين يوما، او اربعين ليلة، ثم يكون علقة مثله، ثم يكون مضغة مثله، ثم يبعث إليه الملك، فيؤذن باربع كلمات، فيكتب رزقه، واجله، وعمله، وشقي ام سعيد، ثم ينفخ فيه الروح فإن احدكم ليعمل بعمل اهل الجنة حتى لا يكون بينها وبينه إلا ذراع، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل بعمل اهل النار، فيدخل النار، وإن احدكم ليعمل بعمل اهل النار حتى ما يكون بينها وبينه إلا ذراع، فيسبق عليه الكتاب، فيعمل عمل اهل الجنة، فيدخلها".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Aamash ne bayan kiya, unhon ne kaha Zayd bin Wahb se suna aur unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhuse suna ke hamase Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne bayan farmaya jo sadiq wa musad-diq hain ke insan ka nutfa maan ke pait mein chalis din aur raaton tak jama rehta hai phir woh khoon ki phatki ban jata hai, phir woh gosht ka lothra ho jata hai phir is ke baad farishta bheija jata hai aur usay char cheezon ka hukm hota hai. Chunanche woh is ki rozi, is ki maut, is ka amal aur yeh ke woh bad-bakht hai ya naik-bakht likh laita hai. Phir is mein rooh phoonkta hai aur tum mein se ek shakhs jannat walon ke se amal karta hai aur jab is ke aur jannat ke darmiyan sirf ek hath ka farq reh jata hai to is ki taqdeer ghalib aati hai aur woh dozakh walon ke amal karne lagta hai aur dozakh mein dakhil hota hai. Isi tarah ek shakhs dozakh walon ke amal karta hai aur jab is ke aur dozakh ke darmiyan sirf ek balisht ka fasila reh jata hai to taqdeer ghalib aati hai aur jannat walon ke kaam karne lagta hai, phir jannat mein dakhil hota hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة