الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الإيمان
Kitab: Iman ke bayan mein
باب ظلم دون ظلم:
Bab: Ba’z zulm ba’z se adna hain.
Show diacritics
Hadith Number: 32
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة. ح قال: وحدثني بشر بن خالد ابو محمد العسكري، قال: حدثنا محمد، عن شعبة، عن سليمان، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال:" لما نزلت الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82، قال اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم: اينا لم يظلم؟ فانزل الله عز وجل إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hamaare saamne Abul Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne bayan kiya (doosri sanad) aur Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke hum se (isi Hadees ko) Bishr ne bayan kiya, un se Muhammed ne, un se Sho’bah ne, unhon ne Sulaiman se, unhon ne Alqamah se, unhon ne Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se jab Surah Al-An’aam ki yeh Aayat utri“jo log imaan laaye aur unhon ne apne imaan mein gunaaho ki aamezish nahi ki”to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke ashaab ne kaha ya RasoolAllah! Yeh to bahut hi mushkil hai. Hum mein kaun aisa hai jis ne gunaah nahi kiya. Tab Allah paak ne Surah Luqman ki yeh Aayat utaari «إِنَّ الشِّرْكَ لَظُلْمٌ عَظِيمٌ» ke be-shak shirk bada zulm hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3360
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" لما نزلت الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82 قلنا يا رسول الله اينا لا يظلم نفسه، قال: ليس كما تقولون ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82 بشرك او لم تسمعوا إلى قول لقمان لابنه يا بني لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya kaha ke mujh se Ibrahim ne bayan kiya, un se Alqama ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab ye ayat utri "allazina amanu wa-lam yalbisū imānahum bi-zhulmin" "Jo log iman laye aur apne iman mein kisi qism ke zhulm ki milawat na ki." To hum ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Hum mein aisa kaun ho ga jis ne apni jaan par zhulm na kiya ho ga? Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke waqiya wo nahi jo tum samajhte ho. Jis ne apne iman ke sath zhulm ki milawat na ki. (mein zhulm se murad) shirk hai kya tum ne Luqman Alaihis Salam ki apne bete ko ye nasihat nahi suni ke "Ae bete! Allah ke sath shareek na karna, beshak shirk bahut hi bada zhulm hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3428
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال: لما نزلت الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82، قال: اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم" اينا لم يلبس إيمانه بظلم فنزلت لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Abu Al-Walid ne bayan kiya kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amash ne un se Ibrahim ne un se Alqamah ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab aayat «allazina amanu walam yalbisoo imanahum bizulmin» "Jo log iman laye aur apne iman mein zulm ki milawat nahi ki." Nazil hui to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba ne arz kiya hum mein aisa kaun hoga jis ne apne iman mein zulm nahi kiya hoga. Is par ye aayat nazil hui «la tushrik billahi innash shirka lazulmun azeemun» "Allah ke sath kisi ko shareek na thehra. Beshak shirk hi zulm-e-azeem hai."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3429
حدثني إسحاق، اخبرنا عيسى بن يونس، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: لما نزلتالذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82 شق ذلك على المسلمين، فقالوا: يا رسول الله اينا لا يظلم نفسه، قال: ليس ذلك إنما هو الشرك الم تسمعوا ما، قال: لقمان لابنه وهو يعظه يا بني لا تشرك بالله إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Mujh se Ishaq Bin Rahwayh ne bayan kiya kaha hum ko Isa Bin Yunus ne khabar di kaha hum se Amash ne bayan kiya un se Ibrahim Nakhi ne un se Alqamah ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab aayat «allazina amanu walam yalbisoo imanahum bizulmin» "Jo log iman laye aur apne iman ke sath zulm ki milawat nahi ki." Nazil hui to Musalmanon par bara shaaq guzra aur unhon ne arz kiya hum mein kaun aisa ho sakta hai jis ne apne iman ke sath zulm ki milawat na ki hogi? Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke is ka ye matlab nahi zulm se murad aayat mein shirk hai. Kya tum ne nahi suna ke Luqman (Alaihis Salam) ne apne bete se kaha tha ise nasihat karte hue ke ae bete! Allah Ta'ala ke sath kisi ko shareek na thehra beshak shirk bara hi zulm hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4629
حدثني محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" لما نزلت ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82، قال اصحابه: واينا لم يظلم، فنزلت إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Mahdi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Qatadah ne , un se Abu al-Aaliyah ne byaan kiya ke mujh se tumhare Nabi ke chacha zaad bhai yani Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi ke liye munasib nahi ke mujhe Yunus bin Matta alaihissalam se behtar bataye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4776
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: لما نزلت هذه الآية: الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82 شق ذلك على اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقالوا: اينا لم يلبس إيمانه بظلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنه ليس بذاك، الا تسمع إلى قول لقمان لابنه: إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Ibrahim ne , un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab aayat «allazhina aamanu wa lam yalbisoo imanahum bi-zhulmin» ke ”jo log iman laye aur apne iman ke saath zulm ki aamezish nahi ki .“ Nazil hui to as-haab e Rasool salla Allahu alaihi wasallam bahut ghabraye aur kehne lage ke hum mein kaun aisa ho ga jis ne apne iman ke saath zulm ki milawat nahi ki ho gi ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aayat mein zulm se yeh murad nahi hai . Tum ne Luqman alaihissalam ki woh nasihat nahi suni jo unhon ne apne bete ko ki thi «innash-shirka la-zhulmun azeemun» ke ”beshak shirk karna bara bhaari zulm hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4937
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت زرارة بن اوفى، يحدث عن سعد بن هشام، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" مثل الذي يقرا القرآن وهو حافظ له مع السفرة الكرام البررة، ومثل الذي يقرا القرآن وهو يتعاهده وهو عليه شديد فله اجران".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , kaha ke main ne Zurarah bin Aufa se suna , woh Saad bin Hisham se byaan karte thay aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is shakhs ki misal jo Quran parhta hai aur woh is ka hafiz bhi hai , mukarram aur naik likhne wale (farishton) jaisi hai aur jo shakhs Quran Majeed baar baar parhta hai . Phir bhi woh is ke liye dushwar hai to usay dugna sawab mile ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6918
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: لما نزلت هذه الآية: الذين آمنوا ولم يلبسوا إيمانهم بظلم سورة الانعام آية 82، شق ذلك على اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، وقالوا:" اينا لم يلبس إيمانه بظلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنه ليس بذاك، الا تسمعون إلى قول لقمان: إن الشرك لظلم عظيم سورة لقمان آية 13".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, unhon ne Aamash se, unhon ne Ibrahim Nakhai se, unhon ne Alqama se, unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se, unhon ne kaha ke jab (Surah al-An'am ki) yeh aayat «al-lazheena aamanoo wa lam yalbisooo imaanahum bi-zhulmin» utri ”jo log iman laaye aur unhon ne iman ko gunah se aalood nahi kiya (yani zhulm se)“ to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabah ko bahut garaan guzri woh kehne lage bhala ham mein kaun aisa hai jis ne iman ke saath koi zhulm (yani gunah) na kiya ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is aayat mein zhulm se gunah murad nahi hai (balkay shirk murad hai) kiya tum ne Luqman alaihissalam ka qaul nahi suna «innash-shirka la-zhulmun azheemun» ”shirk bada zhulm hai“ .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة