الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحيض
Kitab: Haiz ke ahkam o masail
باب الطيب للمرأة عند غسلها من المحيض:
Bab: Aurat haiz ke ghusl mein khushboo istimal kare.
Hadith Number: 313
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن حفصة، قال ابو عبد الله: او هشام بن حسان، عن حفصة، عن ام عطية، قالت:" كنا ننهى ان نحد على ميت فوق ثلاث، إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا، ولا نكتحل ولا نتطيب ولا نلبس ثوبا مصبوغا إلا ثوب عصب، وقد رخص لنا عند الطهر إذا اغتسلت إحدانا من محيضها في نبذة من كست اظفار، وكنا ننهى عن اتباع الجنائز"، قال: رواه هشام بن حسان، عن حفصة، عن ام عطية، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sikhtiyaani se, unhon ne Hafsa se, woh Umm-e-Atiyyah se, aap ne farmaaya ke hamein kisi mayyat par teen din se ziyada sog karne se mana kiya jaata tha. Lekin shauhar ki maut par chaar mahine das din ke sog ka hukm tha. Un dinon mein hum na surmah lagatein na khusbhoo aur Asb (Yemen ki bani hue ek chaadar jo rangeen bhi hoti thi) ke alawah koi rangeen kapda hum iste’maal nahi karti thien aur hamein (iddat ke dinon mein) haiz ke ghusl ke baad kust-e-azfaar iste’maal karne ki ijazat thi aur hamein janaaze ke peeche chalne se mana kiya jaata tha. Is Hadees ko Hishaam bin Hassan ne Hafsa se, unhon ne Umm-e-Atiyyah se, unhon ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1278
حدثنا قبيصة بن عقبة، حدثنا سفيان، عن خالد الحذاء، عن ام الهذيل، عن ام عطية رضي الله عنها , قالت:" نهينا عن إتباع الجنائز ولم يعزم علينا".
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya ‘ un se Khalid Hazza ne ‘ un se Umm Huzayl Hafsa bint Sirin ne ‘ un se Umm Atiya razi Allahu anha ne byaan kiya ke humein (auraton ko) janaze ke saath chalne se mana kiya gaya magar takeed se mana nahin hua .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1279
حدثنا مسدد حدثنا بشر بن المفضل، حدثنا سلمة بن علقمة، عن محمد بن سيرين , قال: توفي ابن لام عطية رضي الله عنها، فلما كان اليوم الثالث دعت بصفرة فتمسحت به , وقالت" نهينا ان نحد اكثر من ثلاث إلا بزوج".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Bishr bin Mufaddal ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Salamah bin Alqamah ne aur un se Muhammad bin Sirin ne ke Umm Atiya razi Allahu anha ke ek bete ka intiqal ho gaya . Intiqal ke teesre din unhon ne ”sufrah khuloog“ (ek qism ki zard khushbu) mangwayi aur ise apne badan par lagaya aur farmaya ke khawand ke siwa kisi doosre par teen din se zyada sog karne se humein mana kiya gaya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1280
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا ايوب بن موسى , قال: اخبرني حميد بن نافع، عن زينب بنت ابي سلمة , قالت:" لما جاء نعيابي سفيان من الشام دعت ام حبيبة رضي الله عنها بصفرة في اليوم الثالث، فمسحت عارضيها وذراعيها , وقالت: إني كنت عن هذا لغنية لولا اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول: لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلاث، إلا على زوج فإنها تحد عليه اربعة اشهر وعشرا".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Sufyan Thauri ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Ayub bin Musa ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujhe Humayd bin Nafi ne Zaynab bint Abi Salamah se khabar di ke Abu Sufyan razi Allahu anhu ki wafat ki khabar jab Shaam se aayi to Umm Habiba razi Allahu anha (Abu Sufyan razi Allahu anhu ki saahibzadi aur Umm al-Mumineen) ne teesre din ”sufrah“ (khushbu) mangwa kar apne donon rukhsaaron aur baazuon par mala aur farmaya ke agar main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh na suna hota ke koi bhi aurat jo Allah aur Aakhirat ke din par iman rakhti ho is ke liye jaiz nahin hai ke woh shauhar ke siwa kisi ka sog teen din se zyada manaye aur shauhar ka sog chaar maheene das din kare . To mujhe is waqt is khushbu ke istemal ki zaroorat nahin thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1282
ثم دخلت على زينب بنت جحش حين توفي اخوها فدعت بطيب فمست به , ثم قالت: ما لي بالطيب من حاجة غير اني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم على المنبر , يقول: لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر تحد على ميت فوق ثلاث، إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا".
Phir main Zaynab bint Jahsh razi Allahu anha ke yahan gayi jabke un ke bhai ka intiqal hua ‘ unhon ne khushbu mangwayi aur ise lagaya ‘ phir farmaya ke mujhe khushbu ki koi zaroorat na thi lekin main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko mimbar par yeh kehte huay suna hai ke kisi bhi aurat ko jo Allah aur Yaum-e-Aakhirat par iman rakhti ho ‘ jaiz nahin hai ke kisi mayyat par teen din se zyada sog kare . Lekin shauhar ka sog (iddat) chaar maheene das din tak kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5334
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن ابي بكر بن محمد بن عمرو بن حزم، عن حميد بن نافع، عن زينب ابنة ابي سلمة، انها اخبرته هذه الاحاديث الثلاثة، قالت زينب: دخلت على ام حبيبة زوج النبي صلى الله عليه وسلم حين توفي ابوها ابو سفيان بن حرب، فدعت ام حبيبة بطيب فيه صفرة خلوق او غيره، فدهنت منه جارية، ثم مست بعارضيها، ثم قالت: والله ما لي بالطيب من حاجة غير اني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلاث ليال إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا".
Zaynub razi Allahu anha ne byaan kiya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Umm Habibah razi Allahu anha ke paas is waqt gayi jab in ke walid Abu Sufyan bin Harb razi Allahu anhu ka intiqal hua tha . Umm Habibah ne khushboo mangwayi jis mein khulooq khushboo ki zardi ya kisi aur cheez ki milawat thi , phir woh khushboo ek laundi ne un ko lagayi aur Umm al-Momineen ne khud apne rukhsaaron par usay lagaya . Is ke baad kaha ke wallah! Mujhe khushboo ke istemal ki koi khwahish nahi thi lekin main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi aurat ke liye jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhti ho jaiz nahi ke woh teen din se zyada kisi ka saug manaye siwa shohar ke (ke is ka saug) char mahine das din ka hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5335
قالت زينب: فدخلت على زينب بنت جحش حين توفي اخوها، فدعت بطيب، فمست منه، ثم قالت: اما والله ما لي بالطيب من حاجة غير اني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول على المنبر:" لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر ان تحد على ميت فوق ثلاث ليال إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا".
Zaynub bint Umm Salamah razi Allahu anha ne kaha ke main ne Umm Salamah razi Allahu anha ko bhi yeh kehte suna ke ek khatoon Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aayin aur arz kiya: ya Rasool Allah! Meri larki ke shohar ka intiqal ho gaya hai aur is ki aankhon mein takleef hai to kiya woh surma laga sakti hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke nahi , do teen martaba (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya) har martaba yeh farmate thay ke nahi! Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh (shar-ee iddat) char mahine aur das din hi ki hai . Jahiliyat mein to tumhein saal bhar tak meingni phenkni parti thi (jab kahien iddat se bahar hoti thi) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5337
قال حميد فقلت لزينب وما ترمي بالبعرة على راس الحول فقالت زينب كانت المراة إذا توفي عنها زوجها دخلت حفشا، ولبست شر ثيابها، ولم تمس طيبا حتى تمر بها سنة، ثم تؤتى بدابة حمار او شاة او طائر فتفتض به، فقلما تفتض بشيء إلا مات، ثم تخرج فتعطى بعرة فترمي، ثم تراجع بعد ما شاءت من طيب او غيره. سئل مالك ما تفتض به قال تمسح به جلدها.
`Humaid ne bayan kiya ke mein ne Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha se poocha ke is ka kya matlab hai ke ”Saal bhar tak meingni phenkni parti thi?“ Unhon ne farmaya ke zamana-e-jahiliyat mein jab kisi aurat ka shohar mar jata to wo ek nihayat tang o tareek kothri mein dakhil ho jati. Sab se bure kapre pehenti aur khushbu ka istemal tark kar deti. Yahan tak ke isi halat mein ek saal guzar jata phir kisi chaupaye gadhe ya bakri ya parinda ko is ke paas laya jata aur wo iddat se bahar aane ke liye is par haath pherti. Aisa kam hota tha ke wo kisi janwar par haath pher de aur wo mar na jaye. Is ke baad wo nikali jati aur ise meingni di jati jise wo phenkti. Ab wo khushbu wagaira koi bhi cheez istemal kar sakti thi. Imam Malik se poocha gaya ke «Taftazzu bihi» ka kya matlab hai to Aap ne farmaya wo is ka jism chooti thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5339
وسمعت زينب بنت ام سلمة تحدث، عن ام حبيبة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يحل لامراة مسلمة تؤمن بالله واليوم الآخر، ان تحد فوق ثلاثة ايام إلا على زوجها اربعة اشهر وعشرا".
`Aur mein ne Zainab bint Umm-e-Salama se suna, wo Umm-e-Habiba se bayan karti theen ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ek musalman aurat jo Allah aur Aakhirat ke din par iman rakhti ho. Is ke liye jaiz nahi ke wo kisi (ki wafat) ka sog teen din se zyada manaye siwa shohar ke ke is ke liye chaar mahine das din hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5340
حدثنا مسدد، حدثنا بشر، حدثنا سلمة بن علقمة، عن محمد بن سيرين، قالت ام عطية:" نهينا ان نحد اكثر من ثلاث إلا بزوج".
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Bishr ne bayan kiya, kaha hum se Salama bint Alqama ne bayan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne ke Umm-e-Atiyya Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke humein mana kiya gaya hai ke shohar ke siwa kisi ka sog teen din se zyada manayein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5341
حدثني عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن حفصة، عن ام عطية، قالت:" كنا ننهى ان نحد على ميت فوق ثلاث إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا، ولا نكتحل ولا نطيب ولا نلبس ثوبا مصبوغا إلا ثوب عصب، وقد رخص لنا عند الطهر إذا اغتسلت إحدانا من محيضها في نبذة من كست اظفار، وكنا ننهى عن اتباع الجنائز".
`Mujh se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayub ne, un se Hafsa ne aur un se Umm-e-Atiyya Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke humein is se mana kiya gaya ke kisi mayyat ka teen din se zyada sog manayein siwa shohar ke ke is ke liye chaar mahine das din ki iddat thi. Is arsa mein hum na surma lagate na khushbu istemal karte aur na ranga kapra pehente thay. Albatta wo kapra is se alag tha jis ka (dhaga) bunne se pehle hi rang diya gaya ho. Humein is ki ijazat thi ke agar koi haiz ke baad gusl kare to is waqt Azfar ka thoda sa ood istemal kar le aur humein janaza ke peeche chalne ki bhi mamanat thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5342
حدثنا الفضل بن دكين، حدثنا عبد السلام بن حرب، عن هشام، عن حفصة، عن ام عطية، قالت: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر ان تحد فوق ثلاث إلا على زوج، فإنها لا تكتحل ولا تلبس ثوبا مصبوغا إلا ثوب عصب".
`Hum se Fazl bin Dukain ne bayan kiya, kaha hum se Abdus Salam bin Harb ne bayan kiya, un se Hisham bin Hassan ne, un se Hafsa bint Sireen ne aur un se Umm-e-Atiyya Radi Allahu Anha ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke jo aurat Allah aur Aakhirat ke din par iman rakhti ho is ke liye jaiz nahi ke teen din se zyada kisi ka sog manaye siwa shohar ke wo is ke sog mein na surma lagaye na ranga hua kapra pehne magar Yaman ka dhari dar kapra (jo bunne se pehle hi ranga gaya ho).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5343
وقال الانصاري، حدثنا هشام، حدثتنا حفصة، حدثتني ام عطية،" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ولا تمس طيبا إلا ادنى طهرها إذا طهرت نبذة من قسط واظفار". قال ابو عبد الله: القسط والكست مثل الكافور والقافور.
`Imam Bukhari Rahimahullah ke Shaikh Ansari ne bayan kiya ke hum se Hisham bin Hassan ne bayan kiya, kaha hum se Hafsa bint Sireen ne aur un se Umm-e-Atiyya ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mana farmaya ke (kisi mayyat par) khawand ke siwa teen din se zyada sog karne se aur (farmaya ke) khushbu ka istemal na kare, siwa tuhr ke waqt jab haiz se paak ho to thoda sa ood (Qist) aur (maqaam) Azfar (ki khushbu istemal kar sakti hai), Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) kehte hain ke «Qist» aur «al-Kust» ek hi cheez hain, jaise ”Kafoor“ aur ”Qafoor“ donon ek hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5345
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن عبد الله بن ابي بكر بن عمرو بن حزم، حدثني حميد بن نافع، عن زينب بنت ام سلمة، عن ام حبيبة بنت ابي سفيان، لما جاءها نعي ابيها دعت بطيب، فمسحت ذراعيها، وقالت: ما لي بالطيب من حاجة، لولا اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يحل لامراة تؤمن بالله واليوم الآخر تحد على ميت فوق ثلاث إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا".
`Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya, un se Sufyan Sauri ne bayan kiya, un se Abdullah bin Abi Bakr bin Amr bin Hazm ne bayan kiya, un se Humaid bin Nafi' ne bayan, un se Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya aur un se Umm-e-Habiba bint Abi Sufyan Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke jab un ke walid ki wafat ki khabar pahunchi to unhon ne khushbu mangwayi aur apne donon bazoo'on par lagayi phir kaha ke mujhe khushbu ki koi zaroorat na thi lekin mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna hai ke jo aurat Allah aur Aakhirat par iman rakhti ho wo kisi mayyat ka teen din se zyada sog na manaye siwa shohar ke ke is ke liye chaar mahine das din hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5707
وقال عفان، حدثنا سليم بن حيان، حدثنا سعيد بن ميناء، قال: سمعت ابا هريرة يقول، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا عدوى ولا طيرة، ولا هامة ولا صفر، وفر من المجذوم كما تفر من الاسد"
Aur Affan bin Muslim (Imam Bukhari rahmahullah ke shaykh) ne kaha (in ko Abu Nuaym ne wasl kiya) hai ke hum se Sulaim bin Hayyan ne bayan kiya, in se Saeed bin Mina ne bayan kiya, kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke chhoot lagna, bad-shuguni lena, ullu ka manhoos hona aur Safar ka manhoos hona yeh sab lagh-v khayalaat hain albatta juzami shakhs se aise bhaagta reh jaise ke sher se bhaagta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة