الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطَّلَاقِ
The Book of Divorce
بَابُ الْكُحْلِ لِلْحَادَّةِ:
Chapter. Can a mourning lady use kohl?
Show diacritics
Hadith Number: 5338
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا حميد بن نافع، عن زينب بنت ام سلمة، عن امها، ان امراة توفي زوجها، فخشوا على عينيها، فاتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاستاذنوه في الكحل، فقال: لا تكحل، قد كانت إحداكن تمكث في شر احلاسها او شر بيتها، فإذا كان حول فمر كلب رمت ببعرة، فلا حتى تمضي اربعة اشهر وعشر".
`Hum se Adam bin Abi Ayas ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne, kaha hum se Humaid bin Nafi' ne, un se Zainab bint Umm-e-Salama Radi Allahu Anha ne apni walida se ke ek aurat ke shohar ka intiqal ho gaya, is ke baad is ki aankh mein takleef hui to is ke ghar wale Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue aur Aap se surma lagane ki ijazat mangi. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke surma (zamana-e-iddat mein) na lagao. (Zamana-e-jahiliyat mein) tumhein bad-tareen kapre mein waqt guzarna parta tha, ya (rawi ko shak tha ke yeh farmaya ke) bad-tareen ghar mein waqt (iddat) guzarna parta tha. Jab is tarah ek saal poora ho jata to is ke paas se kutta guzarta aur wo is par meingni phenkti (jab iddat se bahar aati) pas surma na lagao. Yahan tak ke chaar mahine das din guzar jayein.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5339
وسمعت زينب بنت ام سلمة تحدث، عن ام حبيبة، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يحل لامراة مسلمة تؤمن بالله واليوم الآخر، ان تحد فوق ثلاثة ايام إلا على زوجها اربعة اشهر وعشرا".
`Aur mein ne Zainab bint Umm-e-Salama se suna, wo Umm-e-Habiba se bayan karti theen ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ek musalman aurat jo Allah aur Aakhirat ke din par iman rakhti ho. Is ke liye jaiz nahi ke wo kisi (ki wafat) ka sog teen din se zyada manaye siwa shohar ke ke is ke liye chaar mahine das din hain.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5340
حدثنا مسدد، حدثنا بشر، حدثنا سلمة بن علقمة، عن محمد بن سيرين، قالت ام عطية:" نهينا ان نحد اكثر من ثلاث إلا بزوج".
`Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Bishr ne bayan kiya, kaha hum se Salama bint Alqama ne bayan kiya, un se Muhammad bin Sireen ne ke Umm-e-Atiyya Radi Allahu Anha ne bayan kiya ke humein mana kiya gaya hai ke shohar ke siwa kisi ka sog teen din se zyada manayein.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain