الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب فضل قول الله تعالى: {ولا تحسبن الذين قتلوا فى سبيل الله أمواتا بل أحياء عند ربهم يرزقون فرحين بما آتاهم الله من فضله ويستبشرون بالذين لم يلحقوا بهم من خلفهم أن لا خوف عليهم ولا هم يحزنون يستبشرون بنعمة من الله وفضل وأن الله لا يضيع أجر المؤمنين} :
Bab: Un shaheedon ki fazilat jin ke bare mein un aayaat ka nuzool hua“woh log jo Allah ke raste mein qatl kar diye gaye unhein hargiz murda mat khayal karo balkeh woh apne Rab ke paas zinda hain (woh jannat mein) rizq paate rehte hain, un (ni'maton) se be-hadd khush hain jo Allah ne unhein apne fazl se ata ki hain aur jo log un ke baad walon mein se abhi un se nahi ja mile un ki khushiyan mana rahe hain ke woh bhi (shaheed hote hi) be-dar aur be-gham ho jayen ge. Woh log khush ho rahe hain Allah ke inaam aur fazl par aur is par ke Allah imaan walon ka ajr zaayi nahi karta“.
Hadith Number: 2815
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، سمع جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: اصطبح ناس الخمر يوم احد، ثم قتلوا شهداء، فقيل لسفيان: من آخر ذلك اليوم، قال: ليس هذا فيه.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya Amr se, unhon ne Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) se suna, Aap bayan karte thay ke kuch sahaba ne jung-e-Uhud ke din subah ke waqt sharab pi (rawi-e-hadees) se poocha gaya kya isi din ke aakhri hisse mein (un ki shahadat hui) thi jis din unhon ne sharab pi thi? To unhon ne jawab diya ke hadees mein is ka koi zikr nahi hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4044
اخبرني عبد الله بن محمد , حدثنا سفيان , عن عمرو , عن جابر , قال:" اصطبح الخمر يوم احد ناس ثم قتلوا شهداء".
Mujhe Abdullah Bin Muhammad ne khabar di, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Amr ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke baaz sahaba ne Ghazwa Uhud ki subah ko sharab pi (jo abhi haram nahi hui thi) aur phir shahadat ki maut naseeb hui
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4618
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، عن عمرو، عن جابر، قال:" صبح اناس غداة احد الخمر، فقتلوا من يومهم جميعا شهداء، وذلك قبل تحريمها".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Ibn Uyaynah ne khabar di , unhein Amr ne aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Ghazwa Uhud mein bahut se sahabah razi Allahu anhum ne subah subah sharab pi thi aur isi din woh sab shaheed kar diye gaye thay . Is waqt sharab haram nahi hui thi (is liye woh gunahgar nahi thehre) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة